CHAPTER 25 💚

213 90 60
                                    

Hello friends. Lijiye ek lamba part jaisa ki maine bola tha. Chaliye aaj ka part shuru karte hai.

Sabhi students bus me baith gye the aur bus college se nikal chuki thi. Sabhi students masti kar rahe the.
DIVYA: Chalo sab antakshari khelte hai.
RAHUL: Ha theek hai. Bus ki dono sides do teams ban jayengi.

Sabhi antakshari khelne lage. Kuchh der baad HASEENA ki turn aayi aur use (T)se gana tha.
HASEENA ne gana shuru kiya.
Teri kaali ankhiyon se
jind meri jaage
Dhadkan se tej daudu
sapno se aagey
Ab jaan lut jaaye
ye jahaan choot jaaye
Sang pyaar rahe
main rahun na rahun
Sajda tera sajda
din rain karoon
na hi chain karoon
Sajda tera sajda
lakvaar karoon
meri jaan lut doon…

HASEENA gana gate hue baar baar KARISHMA ki taraf dekh rahe the. Yeh dekhkar DIVYA aur RAHUL man hi man has rahe the. Uske baad dusri team ne bhi apni turn me gana gaya. Iske baad KARISHMA ki turn aayi aur use (M) se gana tha. KARISHMA ne ek baar HASEENA ki taraf dekha aur gana shuru kiya.
Mera yaar hai rab warga
Dildaar hay rab varga
Mera yaar hai rab warga
Dildaar hay rab varga
Ishq karu ya karu ibaadat
Ishq karu ya karu ibaadat
Iko hee gall ae..
Alif allah, alif allah,..Hooo
Alif allah, alif allah,..Hooo
Alif allah, alif allah,..Hooo

Isi tarah baki bachhon ne bhi gana gaya. Kuchh der baad bus ek restaurant pe ruki aur sabne lunch kiya. Sabke lunch karne ke baad bus dobara chalne lagi. Ab DIVYA ne RAHUL ke kaan me kuchh kaha.
RAHUL: Suno..Chalo sab dumb sheraz khelte hai.
DIVYA: Iss baar bhi pehle ki tarah hi teams hongi.
Students(ek sath): Ha chalo khelte hai.

Teams ban gyi aur khel shuru ho gya. Sabhi students bahut maje kar rahe the. Kuchh der baad RAHUL ne KARISHMA ko uthaya aur uske kaan me movie ka naam bataya: Hum tumpe marte hain.

KARISHMA kuchh der sochkar isharon me batane lagi. KARISHMA ke 3rd word batate hi HASEENA ne jaldi se guess kar liya.
HASEENA: Hum tumpe marte hai.
KARISHMA: Right😊.
RAHUL: Chalo HASEENA ne toh KARISHMA ko bta diya ki "Hum tumpe marte hain"🤭.
KARISHMA: Kyaa😠??
RAHUL: Aa...mera matlab hai ki HASEENA ne sahi guess kiya😮‍💨.
KARISHMA: Hmm.

Unki team ki agli turn me DIVYA ne HASEENA ko uthaya aur uske kaan me boli: I Love You.
HASEENA(shocked): Kyaaaa😳
DIVYA: Are itni jor se kyu chilla rahe ho😟??
HASEENA: Are tumne movie hi aisi batayi...aisi koi movie nhi hai.
RAHUL: Are hai. Jaldi karo varna haar mano.

Ab HASEENA ne bhi majboori me acting shuru ki. 2nd word ke liye jaise hi HASEENA ne dil ka ishara kiya KARISHMA jaldi se boli: I Love You.
KARISHMA ke muh se I Love You sunte hi HASEENA ki dhadkan tej ho gyi. HASEENA bas KARISHMA ko hi dekhe jaa rahe the.
DIVYA: Sahi jawab.

Kuchh der baad sabki turn aa chuki thi bas RAHUL hi bacha tha. HASEENA ne RAHUL ke kaan me movie ka naam bataya: Pakiza. RAHUL ko samajh hi nhi aa raha tha ki voh iss word ki acting kaise kare. Usne kafi der tak apni team ko samjhane ki koshish ki par unki team se koi bhi guess nhi kar paya.

Iss tarah HASEENA ki team jeet gyi aur sab use Thanks bolne lage. Vahin RAHUL ki team me sab RAHUL pe gussa ho rahe the ki use dhang se acting bhi nhi aati. Ab 8 baj gye the aur bus ek hotel pe ruki. Sabhi students dinner karke dobara bus me baith gye aur bus chalne lagi.

Dinner ke baad koi gana sunne laga toh koi movie dekhne laga. HASEENA bhi gane sunte hue hi  apne phone me office ka kaam kar rahe the. KARISHMA bhi gane sunte sunte so gyi thi. Tabhi HASEENA ke phone me gana chal raha tha.
Teri jhulf jab bhi bikhar jati hai
Ae haseen tu aur haseen ho jati hai
Jo kitabon me padhte rahe aaj tak
Voh pari humko tujhme nazar aati hai

Khidki se aati hui hawa baar baar KARISHMA ki jhulfein udaa rahi thi. Gane ki lines bhi mahaul ke anusaar chal rahi thi. KARISHMA ko dekhte dekhte hi HASEENA ko bhi nind aa gyi. Bus bhi apni destination ki taraf badhti jaa rahi thi.

Dosti🤝 Ka Saaya - Pyaar❤❤जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें