Hii friends. Missed me?? Chaliye aaj ka part shuru karte hai.
Agle din dadi sabse pehle uth gyi. Unhone sabko taiyaar hone ke liye bol diya. Kuchh der baad sab taiyaar hokar hall me aa gye. Aaj sab kuldevi ke mandir me pooja karne wale the. Kuldevi ka mandir ghar se thodi hi dur tha. Dadi ke bina kahe hi aaj KARISHMA ne saree peheni thi.
Tabhi dadi ne KARISHMA ko kuchh jewellery pehenne ke liye di. HASEENA ke kehne par KRISH ne jewellery pehen li. Kuchh der baad sabne pooja ka saman le liya aur sab mandir ki taraf chal diye. Sab log paidal hi mandir jaa rahe the. Gaon me HASEENA ki dadi ka bahut izzat thi. Raste me milne wala har insaan dadi ko pranam kar raha tha.
Kuchh hu der me sab mandir pahunch gye. Mandir pahunchkar sabne pujari ji ke pair chhue aur pooja ka saman pujari ko de diya. Pujari ji ne pooja shuru ki. Phir unhone HASEENA aur KARISHMA ke haath se pooja karwayi. Iske baad baki sab ne bhi pooja ki. HASEENA aur KARISHMA ne ek sath pooja ki aur phir sab man hi man prathna karne lage.
KARISHMA(in mind): Hey bhagwan, HASEENA bahut acche insaan hai. HASEENA aur uski family ne mujhe sara pyaar diya hai. Inki sari wishes puri karna aur inn sab ko hamesha khush rakhna.
HASEENA(in mind): Hey bhagwan, KARISHMA ne apni zindagi me bahut dard dekhe hai. Ab ise aur dukh mat dijiye aur iski zindagi khushiyo se bhar dijiye.
Pooja ke baad sab bhagwan ke aage jhuk kar aashirwad lene lage. Tabhi idol pe se ek phool KARISHMA ke hath me gir gya.
Pujari Ji: Beta yeh bhagwan ka aashirwad hai. Tumhari prarthna jaroor sach hogi. Bhagwan tum dono ki jodi hamesha aise hi banaye rakhenge.
KARISHMA(in mind): Par yeh toh maine nhi manga.Iske baad pujari ne idol ke niche se ek dibbi HASEENA ko di.
Pujari Ji: Yeh lo HASEENA beta. Yeh bhagwan ke charnon ka sindoor hai. Ise lagane walo ki jodi hamesha bani rehti hai.
Dadi: Chal HASEENA laga de.Pujari Ji aur dadi ki baat sunkar HASEENA sirf KARISHMA ki taraf dekh rahe the. KARISHMA ko kuchh samajh nhi aa raha tha isliye voh HASEENA se nazre chura rahi thi.
Dadi(thoda strictly): KARISHMA bahu aage aao.Dadi ke kehne par KARISHMA HASEENA ke aage jaakar khadi ho gyi. Unn dono ke paas aur koi rasta hi nhi tha. HASEENA ne thali me se sindoor uthaya aur KARISHMA ke pairon ki taraf dekhte hue KARISHMA ki mang me sindoor bhar diya. SANTOSH ne inn sabhi palon ko phone me kaid karne me koi kasar nhi chhodi.
Sab pooja karke ghar laut aaye. Ghar aakar sabne kapde change kiye aur lunch kiya. Lunch ke baad sab aaram karne chale gye. Tabhi gaon ki kuchh auratein dadi ke paas aayi. Sabhi auratein dadi se nayi bahu ke liye muh dikhai ki rasm ke liye bolne lagi. Dadi ne bhi kuchh sochkar shaam ko rasm rakhne ke liye bol diya. Dadi ne unn auraton ko gaon ki baki auraton ko bhi batane ko kaha.
Sabhi auratein ke jane ke baad dadi bhi aaram karne chali gyi. Kuchh der baad dadi ne sabko hall me bulaya aur sabko KARISHMA ki muh dikhai ki taiyari karne ko kaha. Bas phir kya tha, sab kaam me jut gye. Kishan kaka ne sara jaroori saman laakar rakh diya. HASEENA aur SANTOSH ne jaldi se sari sabjiyan kaat di. Noor Ji aur Jamuna kaki kitchen me baki ka kaam dekhne lagi. KARISHMA hall me saaf safai kar rahi thi.
Shaam ke samay sabhi auraton ka aana shuru ho gya. Kuchh auratein gaana gaa rahi thi toh kuchh dholak baja rahi thi. Noor Ji aur Jamuna kaki ne sabko chai nashta karwaya. Kuchh der baad rasm shuru ho gyi. Sabhi ne KARISHMA ko neg aur tohfe diye. Pehle toh sabhi KARISHMA ki tareef kar rahe the par kuchh der baad sab KARISHMA ko chhedne lagi.
Lady 1: Bahu toh bahut nazuk hai. HASEENA ko toh haath lagane me bhi dar lagta hoga🤭.
Lady 2: Rang dekho doodh sa safed par gaal tamatar jaise laal hai🤭.
Lady 3: Are bahut pyar karte hoge dulhe raja🤭.
Lady 4: Are angrezi me kehte hai na, Kiss karte honge gaalon pe isiliye laal hai.KARISHMA sir jhukaye unn sabhi ki baatein sun rahi thi. Tabhi ek aurat boli: Dekh rahi ho, Dulhe raja ko yaad karke sharma rahi hai. Uss aurat ka itna kehna tha ki baki sabhi auratein hasne lagi. Idhar Ashraf Ji ko kisi kaam ke liye HASEENA se baat karni thi. Isliye unhone phone karke HASEENA ko bahar garden me bula liya tha.
HASEENA garden me jaa hi rage the ki hall me baithi auraton ne HASEENA ko dekh liya. Sabhi auratein use pakad layi aur KARISHMA ke paas bitha diya. Iske baad sabhi auratein HASEENA ko bhi chhedne lagi.
Lady 1: Kya baat hai HASEENA beta. Aajkal kamre se bahar hi nhi nikalte ho🤭🤭?
HASEENA: Are nhi kaki aisi koi baat nhi hai.
Lady 2: Toh kaisi baat hai? Hume bhi batao zara🤭🤭.
HASEENA: Kaki main aata hu. Mujhe papa ne bulaya tha.
Lady 3: Are kahe bahane bana rahe ho beta. Yhi aa jaayenge papa bhi. Tab tak tum to baitho.KARISHMA ko unn sabhi baatein sunkar hasi aa rahi thi toh vahin HASEENA ko sharam. HASEENA ne vahan se uthne ki bahut koshish ki par voh auratein use uthne hi nhi de rahi thi. Tabhi Ashraf Ji HASEENA ko dhundte hue vahan aaye aur HASEENA ko khane ka intezaam dekhne ko bola. HASEENA ko bolkar Ashraf Ji bhi vahan se chale gye. Tabhi kuchh auratein KARISHMA se boli: Bahu tumhe koi geet aata ho kuchh suna do. Hum bhi toh dekhe HASEENA ki dulhan kaisa gaati hai.
KARISHMA: Par mujhe dhang se gana nhi aata.
Ladies: Are hum konsi Lata Mangeshkar hai. Kaisa bhi gaa do humko chalega. KARISHMA ne gana shuru kiya
Piya tose naina lage re
Piya tose naina lage re naina lage re
Jaane kya ho ab aage re, naina lage re
Piya tose naina lage re
Ho jag ne utaare
Ho dharti pe taare
Par man mera murjhaaye haaye
Ho un bin aaliHo aisi Diwaali
Milne ko jiya afnaaye
Aa saajan payal pukare
Piya tose
Piya tose naina lage re, naina lage re
Jaane kya ho ab aage re, naina lage re
Piya tose naina lage re
Bhor ki bela suhani, nadiya ke teere
Bhar ke gaagar jis ghadi
Main chaloon dheere dheere
Bhor ki bela suhani, nadiya ke teere
Bhar ke gaagar jis ghadi
Main chaloon dheere dheere
Tujh pe nazar jab jaaye haaye re haaye
O jaane kyon baj uthe kangna
Chhanak chhan chhan, chhanak chhan chhan
Piya tose
Piya tose naina lage re, naina lage re
Jaane kya ho ab aage re, naina lage re
Piya tose naina lage re
Piya tose naina lage re, naina lage re
Jaane kya ho ab aage reKARISHMA ka gana sunkar sabhi halke halke muskurane lage. Iske baad Noor Ji aur Jamuna Kaki ne sabhi auraton ko khana khilaya. Khana khane ke baad HASEENA aur KARISHMA ne sabhi ka aashirwad liya aur sabhi apne ghar chale gye. Iske baad Jamuna Kaki ne HASEENA aur KARISHMA ko khana khane ko bola toh dono ek dusre ko dekhkar muskurane lage. Iske baad KARISHMA ne puri banayi aur HASEENA ne sabko serve kiya.
Sabko khana khilane ke baad HASEENA aur KARISHMA ne bhi khana khaya. Ab raat ke 10 baj gye the. Sabhi apne kamre me chale gye. KARISHMA room me change kar rahi thi. HASEENA kitchen me aaye the. Tabhi Jamuna Kaki kitchen me aayi.
Jamuna Kaki: HASEENA beta abhi soye nhi.
HASEENA(jug dikhate hue): Kaki voh pani lene ke liye yahan aaye.
Jamuna Kaki: Acha, Yeh lo sabke liye Kesar ka doodh banaya tha. Baki sabko de diya hai. Apna aur KARISHMA ka le jao.
HASEENA: Ji kaki.HASEENA doodh lekar room me chale gye. Iske baad dono ne doodh khatam kiya aur dono so gye.
Don't worry guys. I am back. Kal se regular updates aayenge. Baki do stories ke updates kal aa jaayenge. Tab tak ke liye Bye.
आप पढ़ रहे हैं
Dosti🤝 Ka Saaya - Pyaar❤❤
RomanceAn unusual love story of three friends. Just start reading!!