CHAPTER 10 😶

247 85 10
                                    

Lijiye friends ek super long part of 1600+ words

SANTOSH: Ammi ab toh bta do ki KARISHMA ji ke bare me konsi baat hai jo mere alawa sabko pta hai.
Noor Ji (sab kuchh btakar): Aur aaj KARISHMA ki jeet hui hai.
SANTOSH: Ammi, KARISHMA ji ne kitna kuchh saha hai. Koi aur ladki hoti toh kabki himmat har gyi hoti.
Noor Ji: Haa beta.

KARISHMA: Aisa isliye ammi kyuki mujhe sambhalne me aap sabka hath hai khaaskar HASEENA ka. Usne har pal mera sath diya aur mujhe dard se bahar nikalne me madad ki hai. Agar HASEENA na hoti toh main kabka suicide kar chuki hoti.

Noor Ji: Aisa nhi kehte beta. Ab sab theek ho gya hai na.
KARISHMA: Ha ammi. Shukriya.

Sab hall me baithkar baatein kar rahe the par SANTOSH ke dimag me toh bas yhi ek khayal tha ki HASEENA aur KARISHMA ki jodi kitni acchi hai.
HASEENA: Kyu na aaj dinner karne kahin bahar chale?
SANTOSH: Great idea bro. Chaliye na papa chalte hain.
Ashraf Ji: Theek hai.
SANTOSH: Yess main taiyaar hokar aati hu.
HASEENA: Dinner karne jaa rahe hai Shaadi me nhi jo taiyaar hona hai.
SANTOSH: Bro aap chup raho. Hum konsa roj bahar dinner karte hai.
HASEENA: Ha ja ja hoja taiyaar.
Noor Ji: KARISHMA beta tum bhi taiyaar ho jaao.

Thodi der baad sab taiyaar ho gye. HASEENA aur uske dad ne formal kapde pehne the. Noor ji halki blue saree pehen kar aa gyi. SANTOSH ne Kurti Jeans aur KARISHMA ne anarkali suit pehna tha. Ashraf Ji ne aankhon se hi Noor ji ki tareef ki.
SANTOSH: Bro KARISHMA ji kaisi lag rahi hai?
HASEENA: Bahut sundar.
SANTOSH: Aur main.
HASEENA: Theek hi lag rahi hai.
SANTOSH: Kya bro kabhi meri bhi tareef kar diya karo.
HASEENA: Pehle tareef layak kuchh kaam kar.

Dono ki isi nok jhok me sab hotel pahunch gye. Sabne khana order kiya aur order ka wait karne lage. Tab tak SANTOSH ne family photo kheenchne ke liye kaha. Sab ek hi sofe pe pas pas baith gye.
SANTOSH: Bro thoda paas baitho varna photo se out ho jaoge.
HASEENA: Itne paas toh hu ab kya god me baith jaau.

HASEENA ki baat sunkr KARISHMA muskurane lagi toh HASEENA uski taraf dekhne lagi. Tabhi SANTOSH ne unki ek perfect photo kheench li.
Uske baad sab dinner karne lage.

Dinner karne ke baad sab walk karte hue ghar jaa rahe the. Tabhi SANTOSH ke bahut kehne par HASEENA sabke liye ice-cream le aayi. Ice-cream khate hue thodi si ice-cream HASEENA ki naak pe lag gyi. KARISHMA ne usse kaha toh HASEENA ko samjh nhi aaya.

Phir KARISHMA ne rumal lekar HASEENA ki naak saf kar di aur SANTOSH ne unke iss moment ka photo kheench liya. Aise hi masti karte hue sab ghar aa gye. Uske baad sab sone chale gye.

Ab MAYUR ki death ko 15 din ho gye the. HASEENA aur KARISHMA ko aaj MAYUR ki bahut yaad aa rahi thi. Pure din voh dono udas the par dono hi apni udasi ek dusre se chhupa rahe the. Aaj KARISHMA ne dinner bhi nhi kiya tha.

Noor Ji dono bachhon ki aisi halat dekhkar dukhi thi. Voh pehle HASEENA ke room me gyi. HASEENA uss time bed par leti thi. Noor Ji bed par baith gyi aur HASEENA ka sir apni god me rakh liya.
Noor Ji: Kya hua beta. Aaj tum dono itne udas kyu ho?
HASEENA: Dono kaun ammi??
Noor Ji: Tu aur KARISHMA.
HASEENA: Kya? KARISHMA bhi udas hai?
Noor Ji: Haa usne toh dinner bhi nhi kiya hai. Abhi jaane khilaungi use.
HASEENA: KARISHMA kab tak yuhi dukh sehti rahegi ammi. Kya uski zindagi me khushiyan kabhi vapas nhi aayengi.
Noor Ji: Aayengi beta. Jaroor aayengi.
HASEENA: Sach ammi.
Noor Ji: Haa beta. Ab udas mat ho.
HASEENA: Ji ammi.

Ab Noor ji ek plate me khana rakhkar KARISHMA ke room me gyi. Unhone dekha ki KARISHMA apni mummy ke photo ko sine se lagakar ro rahi thi.
Noor Ji: KARISHMA beta.
KARISHMA: Are ammi aap yahan. Kuchh chahiye tha aapko?
Noor Ji: Nahi beta. Main khana lekar aayi thi.
KARISHMA: Ammi bhook nhi hai.
Noor Ji: Apni ammi ke haath se bhi nhi khaogi.

Noor ji ka pyar dekhkar KARISHMA mana nhi kar payi. Ab Noor ji ne KARISHMA ko apne haath se khana khilaya aur phir sula diya.

Agle din sunday tha. KARISHMA ki neend shor sunkar der se khuli. Pehle use laga ki HASEENA ka family matter hai. Isliye voh uthkar nahane chali gyi. Bahut der baad bhi jab shor band nhi hua toh voh room se bahar aayi. Bahar aakar usne dekha ki sofe par ek aurat baithi hai aur voh gusse me sabko daat rahi hai.

HASEENA aur uski puri family usse haath jodkar maafi maang rahe hai. Itne din se HASEENA ki family me use bahut pyaar mil raha tha aur isliye use sabse lagav ho gya tha. HASEENA ki family ka kisi insaan ke aage haath jodna uski aankhon me khatak raha tha.

KARISHMA gusse me uss aurat ki taraf aane lagi toh Noor Ji ne use kamre ko jane ko kaha.
Noor Ji: KARISHMA beta tum andar jaao.
KARISHMA: Nhi ammi main bahut der se dekh rahi hu ki aap sab inse maafi mang rahe hain.
Ashraf Ji:KARISHMA beta tum jaao. Hum sambhal lenge.

Tabhi voh aurat sofe se uthi aur KARISHMA ki taraf palti. KARISHMA ne dekha ki voh aurat kuchh 65 saal ki thi par chehre par abhi bhi chamak thi.
KARISHMA: Acha toh aap hai jo tab se inn sab par gussa kar rahi hai.
HASEENA: KARISHMA please kuchh mat bolo.
KARISHMA: Kyu na bolu? Yeh kya kahin ki top hain jo ammi aur papa inke aage hath jode khade rahe.
HASEENA: Yeh meri dadi hain.

HASEENA ki baat sunkr KARISHMA ke hosh udd gye. Voh HSSEENA ke parents ko sawalo bhari nazar se dekhne lagi. HASEENA ke parents ne bhi aankhon se Haa kaha.

Ab KARISHMA Dadi se nazre nhi mila paa rahi thi. Usne sorry dadi kaha aur kehkar chup chap khadi ho gyi. Dadi ne pehle KARISHMA ko upar se neeche tak ghoor kar dekha aur phir Noor ji se thodi sakht awaj me puchha.
Dadi: Noor, Yhi hai voh?
Noor: Ji maa ji.
KARISHMA ( dadi ke pair chhute hue): Namaste dadi.
Dadi: Sada suhagan raho.

Dadi ka aashirwad sunkar KARISHMA samajh gyi ki unhe shaadi ke bare me pta chal gya hai. Phir bhi voh kuchh nhi boli kyuki usne pehle hi bolkar ek baar galti  kar di thi.
Dadi: Meri HASEENA ki shaadi ho gyi aur mujhe hi pta nhi hai. Isiliye shehar me rehne aaye the ki badon ko bhool jaao.
Ashraf Ji: Maa voh sab kuchh jaldbaazi me hua toh time nhi mila.
Dadi: 15 din me ek baar bhi time nhi mila.
HASEENA: Dadi please naraz mat hoiye.
Dadi: Chup ek toh chup chap shaadi kar li aur ab main naraz bhi na hou.
HASEENA: Ek baar meri baat toh suniye dadi.
Dadi: Bolo.

HASEENA ne KARISHMA ki mom ki death wali baat, aur VIRAJ se judi baatein bta di. Thodi der baad dadi maan gyi. Dadi sabse bahut pyar karti hai par HASEENA er sabse jyada. Noor Ji ke sath kabhi kabhi saas ki tarah behave karti hai.

NOTE: HASEENA ki family Muslim hai par maine HASEENA ki dadi ko Hindu rakha hai kyuki main ek hindu hu aur mujhe Muslim religion ke culture ke bare me jyada pta nhi hai.
Aur KARISHMA bhi hindu hai toh story me hum mainly hindu culture hi dekhenge.

Dadi: KARISHMA tumhari shaadi hui hai toh sindoor aur mangalsutra pehna karo.
HASEENA: Are dadi aajkal fashion hai.
Dadi: Ashraf pandit ji ko bolo ki aaj hamare ghar pooja hai aur pooja ka saman mangwao.
Ashraf Ji: Jii maa.
Dadi: HASEENA jaa market se pooja ka saman laa aur KARISHMA ko bhi le jaa. Iske liye kuchh saree leke aana.
HASEENA: Dadi KARISHMA ko sar...
Dadi: Tu kya iski vakil hai. Yeh abhi toh itna bol rahi thi ab kyu chup hai??
KARISHMA: Dadi mujhe saree pehenna nhi aata.
Dadi: Koi baat nhi. Main sikha dungi.
KARISHMA: Ji dadi.
HASEENA: Dadi aapke liye kuchh laau gaon le jane ke liye...
Dadi: Abhi nhi. Iss baar toh 2-3 mahine rukungi. Phir kabhi le aana.

Dadi ki baat sunkr HASEENA ke hosh udd gye. Yu toh dadi samajhdar thi par culture ko lekar thodi sakht thi. Unke yahan rehne ka matlab tha KARISHMA ke liye nayi musibat khadi hona.

Toh kaisi hogi voh musibat? Kya voh musibaten laayengi HASEENA aur KARISHMA ko kareeb??

Aage ki story jaanne ke liye story ke sath bane rahiye aur aise hi story ko apna pyar dete rahiye.
Bye 👋 Friends.

Dosti🤝 Ka Saaya - Pyaar❤❤जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें