CHAPTER 11 😔

269 87 8
                                    

Lijiye aaj ka dusra part.

Dadi ke kehne par. HASEENA aur KARISHMA market chale gye. Raste me HASEENA ne KARISHMA se kaha:-
HASEENA: Sorry KARISHMA. Maine dadi se hamare bare me jhoot bola.
KARISHMA: Koi baat nhi par mere khayal se toh hume unhe sach bta dena chahiye.
HASEENA: Main samajh sakti hu KARISHMA par meri dadi heart patient hai. Unhe agar hum achanak se sach bta dete toh kahin....
KARISHMA: Aisa mat bolo HASEENA.
HASEENA: Tumhe koi pareshaani toh nhi hai na KARISHMA.
KARISHMA: Nhi abhi toh koi pareshaani nhi hai. Aage kuchh hoga toh hum milkar sambhal lenge.

Iske baad KARISHMA ne 2-3 saree li aur dono pooja ka saman lekar ghar pahunch gye. Noor Ji ne bhi KARISHMA se puchha ki kahin use koi problem toh nhi. Noor Ji janti thi ki KARISHMA ko kitni problem ho sakti hai iss jhoot se iska KARISHMA ko andaza nhi hai.

Noor Ji kitchen me prasad bana rahi thi. KARISHMA ko saree pehenne me problem ho rahi thi. Isliye usne Noor ji ko bulana chaha par dadi ne Noor ji ko rokkar kaha, Main madad karti hu. Kuchh hi der me pandit ji bhi aa gye aur pooja ki taiyari karne lage.

Dadi ne HASEENA ko KARISHMA ke kamre me bulaya. KARISHMA jo ulti sidhi saree lapet kar khadi thi thoda asahaj feel karne lagi. KARISHMA ko aise dekhkar HASEENA jane lagi. Dadi ne use rokkar KARISHMA ko saree pehenane ko kaha.
HASEENA: Kya????Mai???Par main kyu??
Dadi: Biwi teri hai na. Tujhe hi pehenani hogi.
HASEENA: Par dadi mujhe saree pehnani nhi aati.
Dadi: Koi baat nhi. Jaise jaise main bolu vaise pehnati jaa.

Jaise taise karke HASEENA ne KARISHMA ko saree pehnayi. KARISHMA ko saree pehnate waqt HASEENA ne KARISHMA ki aankhon ke alawa ek pal ke liye bhi kahin aur nhi dekha. Thodi der me sabhi taiyar hokar pooja me baith gye.

Pooja karte waqt pandit ji ne HASEENA ko KARISHMA ko sindoor lagane aur mangalsutra pehnane ko kaha. Kisi ki bhi dadi ke khilaf jane ki himmat nhi ho rahi thi. Jab bachne ke liye koi rasta nazar nhi aaya toh HASEENA ne gussa hone ka natak kiya. Uske natak se dadi ko thoda sa jhatka laga aur unki tabiyat bigadne lagi.

Noor ji jaldi se dadi ke liye dawai aur pani lekar aayi. Unki halat dekhkar HASEENA toh buri tarah se dar gyi par KARISHMA ne apne dil ko kada kar liya.
KARISHMA: HASEENA hume yeh karna hoga.
HASEENA: Par KARISHMA.......
KARISHMA: Main pehle hi bahut kuchh kho chuki hu HASEENA. Pehle papa mummy aur ab MAYUR.

Tab mere paas khone ke liye aur kuchh nhi tha par ab ek family hai. Ab main aur kuchh nhi khana chahti. Isliye hume yeh natak karna padega.
HASEENA ne sirf hmm kaha aur dono pooja me aakar baith gye. Uske baad dono rasam puri hui. HASEENA KARISHMA se nazre nhi mila paa rahi thi. Pooja puri ho gyi aur ab raat ho gyi thi. HASEENA aur KARISHMA ko chhodkar sabne khana khaya aur sab sone chale gye.

Uss raat HASEENA bahut guilt me thi. Use KARISHMA se majboori me shaadi karne ka, Dadi se jhoot bolne ka aur Inn rasmo kp nibhane ka guilt tha. Vahin KARISHMA ko dar tha ki pta nhi aage unhe aur kya kya karna padega.

Kya hoga aage? HASEENA aur KARISHMA ki zindagi kaisa mod legi? Yeh kisi ko nhi pta tha.

I know yeh part chhota hai par kal do parts aayenge dono hi 1000+ words.
Bye Friends👋

Dosti🤝 Ka Saaya - Pyaar❤❤जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें