Bela door se baithi usse dekhti hai...
Mahir - yaar tum mujhe aise dekha mat karo!!
Main idiot sochta hoon.. you love me!!🙍♂️🙍♂️
Bela smile karti hai...
Mahir - aankhein kahin aur lagao...
Aur Bela apne phone mein lag jati jai..
Mahir - vaise tumhe cooking aati hai?
Bela - mujhe adarsh patni.. wala kuch nahi aata... so please apne liye yeh perfect mate kahin aur dhoondho!!💁♀️💁♀️
Mahir - mera vo mtlb nhi tha!!!
Bela - sab samjhti hoon main... tumahara kya mtlb hai... so don't be too smart... specially in front of me.
Aur Mahir ki zubaan ko tala lag jata hai..
Doosri or ghar mein Tanya, Bela ko dhoondh rahi thi... it's been 2 days!!
Usne usse dekha nhi tha...
Ayr aaj raat unke ghar Karan dinner ke liye apne dad ke sath aata hai..
Vo Bela ko dhoondhta hai.. but usse pta chalta hai ke vo apni kisi friend ke ghar mein ruki hui hai...🙂
Aur yeh koi first time nahi tha... Bela hamesha hi yeh jhooth bol kar apne friends ke sath night out par jati hi rehti thi... so it's not a big deal for them!!!
Vo sab sath mein baith kar dinner karna start karte hain..
Tanya toh 10 mintue mein hi finish karke ooper chali jati hai.. kyon ke usse Karan ko dekhna acha nhi lagta hai..
Vo usse avoid hi karti hai..
Aur frr wahi hota hai... jo Bela ne socha tha..
Karan ke Dad ghar mein Bela aur Karan ke rishtey ke bare mein baat karne aaye the..
Aur as expected Bela ke dad without hesitation haan kar dete hain...
Vo toh jald se jald Shadi bhi fix karne ki sochte hain.. but.. Karan itni jaldi nhi chahta tha...
Iss liye vo sirf rishta hi pakka karte hain.. aur Bela ke Dad apni beti se poochna bhi zaroori nhi samjhte...😶😶
Bela ka bhi dinner ho gya tha.. vo aur Mahir bas normal chat karte hain.. then sone ke liye apne-apne rooms mein!!!
Par aaj Bela ko neend nhi aa rahi thi.. uski wajah Karan tha!!!

YOU ARE READING
Strangers (Behir)
FanfictionThis story about two strangers Bela & Mahir, who met each-other Intentionally. And how they fell in kinda different relationship that can't be described.