Mahir chup-chap Bela ki sari baatien sun raha tha, usse dukh toh tha hi par sath mein khush bhi thi.... ke uske bina kuch kiye, Bela usse chahne lagi thi, aur Bela ko apni galti ka ehsaas ho gya!!! Aur ab vo uske sath ek proper relationship mein aana chahti hai....
Mahir Bela ko gale se laga leta hai....
"Toh kya ho gya... yeh sab toh hota hi rehta
hai.... socho agar tum mujhe vo choice na deti toh kya tum mujhse pyar karti?? Tum mujh par dheyaan deti??
Toh iss liye Bela.... jo bhi hota hai, ache ke liye hota hai.....
Itna mat socho.... aur yeh rona band karo...
Tumhe zyada fikar karne ki koi zaroorat nahi hai....
Main ab bhi tumse pyar karta hoon....
Tumse pyar tha, iss liye toh uss choice ko accept kiya!!! Warna uss din hi chod deta!!
Tumhe kya lga!!!
Ke main sex ke liye tumahare sath hoon!????
Toh tum bilkul galat ho!!
Aisa kuch nahi hai.....
Agar tum mujhe kabhi touch bhi na karne do na!!!! Main tab bhi tumahare sath rahoonga!!!!
Always and Forever"
Bela ko iss ki umeed nahi thi... par ab vo finally khush thi....
Vo Rona band kar deti hai... aur Mahir ke maathe par kiss karti hai....
"I love you Mahir"
"I love you Bela!!!"
Aur aise hi vo dono so jate hain!!!
Yeh ek achi raat thi... dukh ke sath dher sari khushi!!!!
Subah hote hi vo dono apne-apne kaam ke liye nahi bhaagte!!!!!
Kuch der aise hi gale lagakar laite rehte hain...
Dono ke chehron par ek khushi thi, ek sakoon tha!!!
Kar-kara ke vo uth te hain... bathroom mein jate hain... aur then breakfast karke Mahir Bela ko uske college drop karta hai...
Then apne office aata hai...
Yeh boht dino ke baad aisi achi subah thi!!
Mahir ko finally complete sa feel ho raha tha!!! Jo kitne hi samay se missing tha!!!
Aaj vo sach mein boht khush tha...
Aur aaj theek 5 mahine ke baad vo apni best friend ko phone karta hai...
"Hlo Esha!!!
Kaisi ho??"
Esha thode se taunt se jawaab deti hai "aaj kaise yaad aa gyi?? Galti se lag gya kya??"
"Arre yaar Esha!!! Ab tum ldo mat!! Mera mood boht acha hai... '
"Toh main kya karoon?? Mumbai jaane ke
baad tum Mumbai ke ho gye ho!! Mujhse
jhgda kar liya, kisi ladki ne tumhe kiss kar
di!!! Aur pta nahi kya-kya!!!"
Aur achanak se Mahir ko apna jhagda yaad aata hai "am sorry yaar Esha!!! Mujhe gussa nahi karma chahiye tha.... maaf kar de yaar!!! Abki baar aisa nahi hoga!!! I promise...."
Aur iss sab ke alawa vo har ek shabad bolta hai jisse Esha maan jaye!!!
Esha toh uski childhood friend thi... toh apne aise doston se kya naeaazgi??
Iss trah un dono ki sulah ho jati hai...
Mahir boht khush tha!!!Doosri or .... Bela ka last year tha... toh uske last semester ke exam start hone hi wale the!!! Toh Bela aaj se padhna shuru kar deti hai..
Vo sameer se notes borrow karti hai...
Ab uska class kya, college ke kisi bhi ladke par koi focus nahi tha!!!
Vo khush thi....
Ab toh vo roz ghar aakar Mahir se bhi padhti thi!!!
Issi dauraan usse pta chala Mahir sach mein hi boht talented hai... aise hi usse "The Innovation" company mein job nahi
mili!!!
Mahir Bela par boht mehnat karta hai kyon ke Bela sach mein boht buri thi apne stream mein!!!
"Bela tumne yeh stream chose hi kyu kiya?
Kuch nahi pta tumhe!!"
Bela preshaan hote huye "maine apni marzi se thodi liya tha!!! Papa ne zabardasti dilwaya!!!
Tanya bhi toh yhi kar rahi hai!!"
Mahir ko thodi hairaani hoti hai "vo college bhi jati hai??"
"Nahi, usne toh online bhara huya hai sab!!"
Mahir haste huye "ohh... acha!! Main bhi sochoon!!
Har teesre din toh vo office aa jati hai... college kab jati hogi!!!"
Bela hairaani se "vo office aati hai?"
"Han, jis game par main aur Karan pichle
kyi mahino se mehnat kar rahe hain... ussi
ki designing vgera vo kar rahi hai!!"
Bela ko zor se jhatka lagta hai "vo designing karwa rahi hai?? Tum dono ke sath milke?? Seriously???"Guys....vote kiya kro yr....itne log padhte hain lekin phir bhi vote kyu nhi krte ....

YOU ARE READING
Strangers (Behir)
FanfictionThis story about two strangers Bela & Mahir, who met each-other Intentionally. And how they fell in kinda different relationship that can't be described.