Chapter 37

353 60 6
                                    

Subah hote hi Bela ko pehle jaag aati hai aur uski gardan mein dard ho raha tha!!!
Par Mahir abhi bhi so raha tha toh vo usse nahi uthaati....
Bela ko college ke liye late ho raha tha toh vo dheere se Mahir ke sir ko pillow par rakhne ka try karti hai aur Mahir jag jata hai...
Aur Bela ka chehra utar jata hai ke ab vo usse face kaise karegi??
Mahir khud ko Bela ke paas, aisi position mein dekh kar thoda hairaan ho jata hai...
Vo ek dum se uth jata hai.. "raat hamare beech kuch huya kya??"
Bela aankhein badi karte huye - no....
Mahir - okay.... aur vo uske ghar se nikal jata hai...
Bela peeche se bhaag kar jati hai... "am sorry Mahir..... maine jo bhi kiya tumahare benefit ke liye kiya tha"
Mahir nahi rukta... vo apni car mein baith jata hai...
"we are nothing, more than strangers!!!"
Aur wahan se chala jata hai... Bela ko issi ki umeed thi... ke Mahir iss baar seriously gusse tha... aur asani se nahi maanega!!
Aur vo dukhi hokar college ke liye ready ho jati hai...
Mahir dukhi tha par somewhere vo khush tha!!! Ke Bela ne usse maafi maangi...
Air usse raat uski engagement ki cancellation ke bare mein bhi pta chala tha!!! Kabir bhi ek imagination tha!!! Tph vo thoda khush tha... ke shyed Bela uski ho jaye!!! Maybe usse bhi pyar ho jaye....
Kyon ke yeh sab hona usse positive omens hi lag rahe the... ke shyed sara nature un dono ke liye hi yeh jaal bun raha ho....
Ab usse bas ek hi umeed thi ke Bela usse manaa le!!!
Vo hardly gusse tha!!! Aur gusse wale koi.. manane par hi uaka gussa utarta hai...
Mahir to himself - I know main too much soch raha hoon... par kaash yeh sab ho jaye!!!! Kaash....
Aur usse aaj Bela ko ignore karke bhi thoda acha lag raha tha....
Vo bhi office ke liye ready ho jata hai...
Jaate hi Hiba usse zor se gale lagati hai jo ke Mahir ke liye boht ajeeb tha!!! Vo usse hta deta hai... "sorry Hiba, mujhe acha nahi lagta agar koi aise mere kareeb aaye!!!"
Hiba - oh am so sorry....
Mahir - aur agar tumhe meri liye koi feeling hai toh abhi se peeche hatt jao... because I already in love with someone...
Hiba - yeah you told me last night!! Relax!!! Am not gonna fall for you...
Mahir - well that's good...
Hiba - hum dost toh ban sakte hain na??
Mahir - yeah... ofcourse...
Hiba chedte huye - toh kaun hai vo??
Mahir - nahi bta sakta... jab tak vo impress na ho jaye...
Hiba - okay.... jaisa tumhe theek lage...
Aur vo apne-apne kaam mein lag jaate hain.
Aaj Mahir, Hiba ke sath lunch karta hai, dedh mahine ke baad hi sahi...usse ab koi dost mil gya tha.
Hiba - vaise Mahir, tumne aisa kyu socha ke main tumahare liye feeling loongi??
Mahir - nahi.. aisa kuch nahi hai... bas main khud se sab clear karna chahta tha, mujhe kisi ko ullu bnane mein koi interest nahi hai.
Hiba haste huye - lagta hai uss ladki ne tumhe ullu bnakar fasaya han??
Mahir - han kuch aisa hi samjh lo... usne mujhe apne bare mein kuch bataya nahi.. aur main feeling leta raha...
Hiba - you are so cute!!!
Mahir iss par koi react nahi karta!!
Aur office khatam hote hi vo ghar jane lagta hai ke Hiba usse shopping ke kiye poochti hai... par Mahir mana kar deta hai...
Hiba haar maan-ne Walon mein se nahi thi.. vo zabardasti usse kheench kar le jati hai...
Mahir ko yeh sab acha nahi lagta!!! Dost toh theek hai par uska khud ka mann nahi tha aise!!!
Hiba khud ke liye toh kuch nahi leti par Mahir ke liye t-shirts pasand karti hai...
Vo abhi chose kar rahi thi ke ussi mall mein Bela bhi thi... vo bhi aaj shopping ke liye aayi thi because of Saturday!!!
Mahir ki nazar uss par jati hai... aur vo jaan-boojh kar Hiba ke sath kapde chose karne mein lag jata hai...
Aur tabhi Bela ki nazar bhi Mahir par jati hai.. vo usse aise kisi ladki ke sath dekh kar thodi surprised thi aur uss ladki ki shakal dekhne ki koshish karti hai par Mahir ne usse bilkul cover kar rakha tha!!! par khait yeh usse awkward nahi lagta...
Vo aage chali jati hai, vo usse disturb nahi karna chahti thi..
Mahir jab sir utha ke dekhta hai wahan Bela nahi thi... aur uski nazrien usse dhoondhne lag jati hain...
Par vo usse nahi milti.... jisse Mahir thoda udaas ho jata hai..

Strangers (Behir)Where stories live. Discover now