Chapter 23

368 64 4
                                    

Bela ke papa uski or attitude se dekhte hain..
Aur vo Bela ke reply ka intezaar kar rahe the..
Then
Bela with a big smile : awwwwwww thank you so much..... Rajesh....
"Rajesh" theek hai na!!! Kyon ke aap ne toh    mujhse rishta tod liya hai!!
And Thank you very very much!!!!!
Yeh sun kar uske papa ko boht ajeeb lagta hai.
Bela continues- Kyon ke koi bhi jagah.... aapke iss shit se behtar hi hogi!!!! Mujhe vaise bhi aapke sath rehne mein aur aapki property mein koi interest nahi hai...
Bela ke papa ka attitude gayab ho jata hai.. Bela ko sun kar.
Bela to Tanya : well thanks Sissie...... tumne bhi aaj tak kuch acha toh nahi kiya mere sath... but still!! Thanks.....
And good bye!!! Now everything yours!!
So have fun... because I am better without you!!!
Aur Bela bahar chali jati hai....
Tanya aur Dad usse langda kar chalte dekh rahe rhe... koi rok nahi raha tha kyon ke kisi ko kuch samjh hi nahi aa raha tha ke yeh ho kya gya?? Aur kaise ho gya??
Bela ke papa ko umeed nahi thi ke Bela usko, aur uske ghar ko prison maanti hai... aur chodne par itni khush hogi!!
Bela wahan se chali gyi thi.....
Bela's Dad in anger : dekhta hoon... kab tak rahegi... kal tak khud aa jayegi.... aur sath rehne ke liye bheekh maangegi...
Tanya in serious mood : mujhe yakeen dilaa rahe hain... ya khud ko??
Dad with surprise : what do you mean?
Tanya ignore karte huye : nothing....
chalien ab??
Mujhe toh bhookh lag rahi hai...
Ooper se mom ko bhi sab batana hoga!!!!
Bela ke papa ke chehre par aaj alg hi kisam ki udaasi thi.. unhone kabhi aisa nahi socha tha.. jis baat par unka heart fail ho raha tha wahi baat ko uski betiyan itna light way mein le rahi thi...
Unhein ehsaas hi nahi tha ke yeh dono aisi kab se ho gyi?? Ke koi farak hi nahi pad raha dono ko!!!
Vo kafi mayoos ho gye the...
Unhein samjh hi nahi aa raha tha ke vo Sahi kar rahe the ya galat!!
Today.... for the first time......
Vo apni dono betiyon ki actual personality se mil rahe the!!!!!
It's crazy!!!!!
Vo khud itne preshaan the... aur unki betiyan... itni zyada normal!!!
Jaise kuch bda huya hi nahi.....
Bela araam se chali gyi... bina kisi sawaal ke..
Aur Tanya ko apni bhookh ka kheyaal tha!!!
Un par koi asar hi nahi tha...
ke abhi kitna bda faisla kiya gya tha!!!!!
Aur vo confusion mein chalkar car mein baith jate hain....
Bahar kahin bhi Bela nazar nahi aa rahi thi...
Aur vo poore raaste na chahte huye bhi usse har sadak par dekhne ki koshish kar rahe the.....
Aur frr itne mein ghar aa jata hai...
Doosri or Bela Office ke parking lot mein khadi koi suitable car dekh rahi thi.... aur tabhi usse peeche se awaz aati hai....
- kahan drop karoon??
Aur Bela peeche mud ke dekhti hai... vo Mahir tha
Bela ke chehre par relief tha : jahan koi mujhe na dhoondh sake!!!
Mahir haste huye : toh chaliye madam....
Aur vo usko apni baahon mein utha leta hai...
Car mein baitha deta hai...
Khud driving start kar deta hai....
Mahir haste huye : you are crazy!!!
Bela bhi has rahi thi : I know!!! Kuch nya batao??
Mahir : that was epic.... mujhe bhi kuch der tak samjh nahi aaya!!!!
Bela : phir kaise pta chala?
Mahir : main door ke peeche khada sab sun raha tha!!!
Bela : acha huya... tum nahi gye!!! Warna mujhe koi car chori karni padti....
Mahir haste huye : tumhe car chori karni aati hai??
Bela : han... 18 ki umar se....
Mahir : kisne sikhaya??
Bela (haste huye) : mere best friend Varun ne....
(Aur achanak se Serious hote huye) I mean mere enemy ne...
Mahir hairaani se : ab enemy ban gya??

Strangers (Behir)Where stories live. Discover now