Chapter 17

401 67 7
                                    

Bela aur Karan ke rishtey ki baat sun kar Mahir ka chehra utar jata hai... clapping karta-karta vo wahi pause ho jata hai...
Ab uske mind mein thodi clarity aati hai.. Karan wahi Cafe wala ladka tha!! Jiski uss din Mahir shakal nahi dekh paya!!!
Ab Mahir ko boht zyada dukh ho raha tha..
Vo chup-chap apni seat par jaakar baith jata hai..
Poora office iss khushi mein party ki demand kar raha tha.. aur Bela ke dad maan jate hain.. Party kal raat ki fix ho jati hai.. sab log Bela ko bhi office mein laane ke liye kehte hain..
Karan bhi sehmat ho jata hai..
Aur aaj ke din ki shuruaat Mahir ki jitni achi huyi thi... uska yeh din kuch zyada hi kharaab jaa raha tha..
Sab log party ko lekar excited the... par Mahir nahi...
Aur finally 5 bjj jate hain.. vo ghar jaane ke liye ready ho jata hai...
Jaise hi vo Ghar ke nazdeek jata hai... wahan already ek car khadi thi.. toh Mahir apni car mein baith kar hi sab dekhta hai..
30 mintue wahan wait karne par finally Karan bahar aata hai...
But vo akela nahi tha...
Uski baahon mein Bela thi...
Bela ke chehre par koi khushi nahi thi...
Vo bas sda sa mooh bna kar phone chala rahi thi...
Aur Karan usse Car mein baitha kar le jata hai...
Mahir jaldi se car se nikal kar ghar ke paas jata hai.. vo door open karne ki koshish karta hai but vo lock tha!! Mahir ka sara samaan usmein tha!!
Vo thoda preshaan ho jata hai.. aur tabhi vo ghar ke paas lage flower pot mein ek chabi dekhta hai..
Vo usse utha kar door open kar leta hai!!
Aur shukar manata hai ke Bela ne isse yahan chod diya!!
Mahir ghar mein jata hai... aur idhar-udhar dekhta hai.. then vo kitchen mein jata hai.. microwave mein uske evening snacks the!! Jinke sath ek note bhi pda tha!!!
"Sorry Mahir...
Mujhe jana pad raha hai...
But you don't worry... yeh ghar mere baad
tumahara hi hai..
Tum ismein jab tak chaho reh sakte ho...
And thanks..  mera itna kheyaal rakhne ke 
liye..
Mujhe bhoolna mat.. main dubara milne
zaroor aaoongi.."
Mahir to himself  : han... Karan se shadi karke!!
Mahir ko boht gussa aa raha tha.... par vo confuse tha ke usse Gussa bhi kyu aa raha hai?

Strangers (Behir)Where stories live. Discover now