Chapter 61

319 60 16
                                    

Karan gusse se bolta hai "maine Mahir ko apne bhai ke jaise maana!! Usne mujhe hi dhokha diya?? Mujhe iski umeed nahi thi!!"
Tanya - han.. kitna bhola banta tha!!
Karan gusse se wahan se chala jata hai!! Ab toh vo zid pakad leta hai, ke no matter what?? Ab Bela se vo shaadi karke hi rahega!!!
Tanya toh boht khush thi, ab jo vo nahi kar sakti thi, Karan karega!! Aur baithe bithaye Mahir usse mil jayega!!

Next day Mahir office aa jata hai!! Karan aaj pehle se hi uska wait kar raha tha!!!
Karan - hlo Mahir...

Mahir smile karte huye - hlo Karan Sir!!!

Karan - kaisi rahi holiday??

Mahir - amazing!!!

Karan - hmm, chehre se toh dikh raha hai!
Koi ladki vgera pasand aa gyi kya??

Mahir haste huye - han... aapko kaise pta?

Karan - main sab jaan jaata hoon, chahe koi kitna bhi chupa le!!!

Mahir - bade experienced ho....

Karan - toh aage kya plan hai??

Mahir - ladki ka ya kaam ka??

Karan haste huye - dono ka!!

Mahir - ladki se toh main shaadi karne wala hoon, aur kaam ka... toh aaj baith ke nya idea sochna hai!!

Karan haste huye - wow... what a co incident???? Main bhi shaadi karne wala hoon!!!

Mahir thoda surprised hote huye - wow.... kisse?? Tanya???

Karan - nahi... Bela se!!!

Yeh sunte hi Mahir ke chehre se smile gayab ho jati hai!!!

Karan - kya huya?? Tumahari smile kahin gayab ho gyi??

Mahir - n....n... nahi.... Bela se shadi kaise??

Karan - kyu?? Ho nahi sakti kya??

Mahir - nahi, vaisa nahi... aap ne toh....

Karan - arre vo sab toh purani baatein hain, ab tum dekhna!!! Mujhe wahi ladki milne wali hai, jisse main pyar karta hoon!!!

Mahir iss par koi reply nahi deta!!!

Karan - waise tumahari shaadi kab hai??

Mahir ke paas toh koi jawaab hi nahi tha!! Toh vo ab kya kahe?? "Abhi date final nahi huyi!!!"

Karan - ohh.... koi ni... par meri toh final ho gyi hai... 1 hafte baad hai!!! Tum zaroor aana!!! Card main bhijwa doonga!!!
Yeh keh kar Karan chala jata hai!!!
Par Mahir ko tension ho jaati hai!! Usse toh yakeen hi nahi ho raha tha!!! Vo Bela ko call karta hai... par vo uthaa nahi paati..... toh Mahir baar-baar issi ke bare mein soch raha tha!!! Uske hath literally shake kar rahe the!!!
Vo boht sochta hai... aur then.... uske dimaag mein kheyaal aata hai!!!
Ke shyed Karan ko uske aur Bela ke bare mein pta chal gya hai!!!
"Shyed kya?? Mahir!!!!! Pkka pta chal gya hai!!!!"
Aur just because usne sach chupaa kar rakha, usko yeh sazza mil rahi thi!!!
Uska mann nahi lag raha tha!!

Toh vo half-day ki chutti lekar.... seedha Bela ke office aa jata hai!!!!
Bela neeche Reception mein usko immediately milne aati hai... vo Mahir ka chehra aise dekh kar nervous ho jati hai...
"Kya huya Mahir???"

Mahir - Karan ko hum dono ke bare mein pta chal gya!!!

Bela iss baat se ekdum surprise ho jati hai!!
"Usse kaise pta chala???"

Mahir - pta nahi!!! Vo agle hafte tumse shaadi kar raha hai?? Do you know it??

Bela - ek mintue.... agle hafte shaadi??? Like seriously???? Kya bol rahe ho tum??

Mahir - vo aaj subah mere paas aaya, sur ussi ne mujhse yeh sab kaha!!!
Ywh sun kar Bela ke pairon tale zameen khisak jaati hai!!

Strangers (Behir)Where stories live. Discover now