Karan - so, Tanya... tum yahan rukogi aaj raat ya main??
Bela beech mein hi tok deti hai "uski koi zaroorat nahi padegi.. Am all good. Thanks for your help... both of you... "
Karan - are you sure.?
Bela - 101% sure... just go.. thanks... it's nice gesture...
Tanya smile karti hai aur vo dono chale jate hain...
Bela ko yakeen hi nahi ho raha tha... ke Tanya uske sath itna nice behave kaise kar sakti hai?? Aur Karan??? Vo itna calm kaise?? Aur yeh itna bda badlaaw sirf 3 din mein kaise??? Yeh boht wierd tha!!!
Khair Belapar ab koi burden nahi tha...she is feeling light and cool... vo T.V dekhne hi lagti hai ke usse Mahir ka kheyaal aata hai..
"Oh... shit.... Mahir!!! Vo kaisa hoga?? Maine uska dil tod diya!!! Bhagwaan mujhe kabhi maaf nahi karega!!!
Par yaar main aur kya karti?? Mahir mujhe deserve nahi karta!!! Look at me!!! I am a baddest bicth!!!! Aur vo!!! He is so Kind, innocent, lovable, cute..... agar sath rahe toh uski life barbaad ho jayegi... aur main vo nahi chahti. .. ache logon ke sath acha hi hona chahiye!!!
May be in the next life Mahir."
Aur vo T.V dekhne lag jati hai...
Mahir chup-chap letkar Bela ko yaad kar raha tha aur soch raha tha ke vo jahan bhi ho theek ho!!! "Mujhe yakeen nahi ho raha, ke main Bela ko itna miss karoonga!!!
Ohhh God..... jab vo kismat mein thi hi nahi... toh bheja kyu???"
Khair agla din shuru ho jata hai... Mahir ready hokar Office jata hai... vo kaam par focus karta hai... lunch time uski Mulaqat Karan se hoti hai... jise dekh kar Mahir ke chere par alg si khushi aati hai, vo bhaag kar Karan ke paas jata hai "Bela ka kuch pta chala??
Aur Karan weirdly usse dekhta hai...
"I mean Bela mam ka??"
Karan - well, yes... vo mil gyi... aur ab theek hai... tum chinta mat karo!!!
Mahir ko yeh jaan kar khushi hoti hai... aur sath hi vo ek dukh bhi mehsoos karta hai "toh aap dono ki shaadi kab ho rahi hai??"
Karan surprisingly dekhta hai "well... abhi nahi ho rahi, we need a break!! Jab hogi...toh pta chal jayega!!! Tab tak ke liye tum apna kaam karo..."
Aur Karan wahan se chala jata hai...
Mahir thoda relaxed tha... "thank God!!! Warna mujhe toh heartattack aa jata agar Bela abhi isse shaadi karti toh...
Aur suddenly uske views badal jate hai... han who cares!! Shadi kare chahe kuch bhi... mujhe kya?? Jab usse meri nahi pdi toh main uski parwaah kyu karoon??
Kya likha tha!!! Stop loving me!!!
Screw you Bela!!!
Now you are nothing for me more than a stranger!!! We are strangers!!!
Because I am done!!"
Aur vo lunch ke liye chala jata hai...
Bela bhi apna lunch kar rahi thi ke uski doorbell bajti hai...
Jaise hi vo dekhti hai it's Varun!!!
Bela with a super shock - ohhhh okay.... Varun???
Varun - hey...
Bela - hey....
Varun - how are you?
Bela - am fine...
Aur Varun uske pair ki or dekhta hai jo abhi tak theek nahi huya tha..
Bela - tumhe yahan kisne bheja??
Varun - well main khud se aaya hoon...
Bela - address kisne diya??
Varun - Tanya ne!!!
Bela - that bitch!!!!
Varun - what.?
Bela - nothing ....
Varun - can I come in??
Aur Bela usse andar aane deti hai.. Bela ko iski bhi umeed nahi thi ke Varun usse dekhne ke liye aayega!!!
Varun aakar baith jata hai... "so, uncle ko thappad maarne ke chakkar mein tumahari waat lag gyi na!!!"
Bela gusse se - no...... maine unki band bajayi hai...
Varun - han.. uske kisi employee ko kiss karke!!!
Bela khushi se - yeah!! Uss Karan ka chehra dekhne layaka tha.
Varun - toh ab??
Bela - shaadi cancel ho gyi, papa se peecha choot gya!!! Life set🤟
Varun hairaani se - seriously ??
Bela - yes... am serious.
Varun khushi se - yeh toh badhiya baat hai yaar... toh tumne kar dikhaya...
Aur phir vo dono hi chup ho jate hain....
Kaafi der sochne ke baad Bela bolti hai "tune kabhi socha tha, ke hamari baatein kabhi khatam hongi!! Ke hum ek din chup kar jayenge..."

YOU ARE READING
Strangers (Behir)
FanfictionThis story about two strangers Bela & Mahir, who met each-other Intentionally. And how they fell in kinda different relationship that can't be described.