Bela ab properly Independent ho gyi toh vo khud ke liye koi job karne ka sochti hai.. part time job...
Aur aaj vo college jane ka bhi plan bnati hai.. it's seems like ages!!! Jab vo college gyi thi...
Aur Bela tyar hokar college ke liye nikal padti hai.. pair mein dard tha par ab vo heal ho raha tha...
Aaj itne din ke baad sab Bela ko achanak dekh kar hairaan ho jate hain, aur uski peeth peeche sab gossip karte hain...
Vaise bhi Bela ki koi acgi reputation nagi thi sab usse ameer baap ki bigadi huyi beti samjhte the!!! Toh unka toh roz ka kaam tha!!
Aur Bela ko bhi kisi se koi farak nahi padta tha... vo apni class mein aakar baith ti hai aur tabhi wahan Varun aa jata hai... vo Bela ko class mein dekh kar hairaan tha par vo usse ignore karke sharuti ke sath baith jata hai... Sharuti vo ladki thi, jo Varun ke liye pagal thi aur Varun usse dekhta bhi nahi tha!!! And now!!!!
Bela kafi hairaan thi... ke kaise 1 mahine mein sab change ho gya!!!
Aur tabhi wahan Sameer aa jata hai... kisi bench par jagah na milne par vo darte-darte
Bela ke paas baith jata hai...
Bela khushi se - hi Sameer...
Sameer class ka topper tha!!! Aur yeh Bela ke sath uski pehli vaartalaap thi... "hi Bela."
Bela - toh kya chal raha hai class mein?
Sameer - padhayi!!
Bela - han.. kahan tak syllabus ho gya?
Sameer usse bta deta hai... Bela usse notes bhi borrow karti hai...
Aur kaafi sochne ke baad "sameer, class mein kya-kya huya? Meri absence mein?"
Sameer samjhte huye - you mean Varun aur Sharuti??
Bela han mein jawaab deti hai...
Sameer - Shruti ne 15 din pehle Varun ko purpose kiya tha Purpose Day par!!! Aur Varun be usse han kar di!!!
Bela ko shock lagta hai 'fu*k'
Sameer - who??
Bela - any other update??
Sameer - poore college mein tumahari T.V wali news popular ho gyi!!! Aur ab sab tumse nafrat karte hain!!
Bela - ismein kya nya hai!!!
Sameer suspicious hote huye - tumne sach mein apne fiance ke saamne kisi aur ko kiss ki??
Bela usse ghoor ke dekhti hai.. jisse Sameer darr jata hai... "han ki thi!! Kyon ko mujhe shadi nahi karni yaar.... aur by the way... vo mera fiance nahi hai!!! Sab toot gya!!"
Sameer hairaani se - tumahare andar itne guts kahan se aate hain?? You are bad girl!! Mtlb Bad boy suna hai but you are....
Bela haste huye - han toh?? Am not Bad... am worst!!!!
Sameer - yeh dialogue suna-suna sa hai..
Bela - han.. maine bhi Instagram par padha tha...
Aur tabhi wahab professor aa jate hain... aur padhayi start ho jati hai...
Lecture khatam hote hi Bela seedha Varun
ke paas jakar khadi ho jati hai...
Bela - Sharuti kya tum 2 mintue ke liye Sameer ke paas baithogi?? Mujhe Varun se kuch zaroori baat karni hai...
Sharuti, Bela ko pasand nahi karti thi par Varun usse jane ka ishara kar deta hai...
Bela - tumne isse Han kar di?? Why??
Varun - ab sari zindagi tum par thodi baitha rahoonga!!! Mujhe move on karna tha!!
Bela - seriously, Sharuti??
Varun - yeah.. seriously... Sharuti...
Bela - pagal ho gye ho kya??
Varun gusse mein - tumahari problem kya hai Bela?? What do you want from me!!! I am not your friend anymore!!! Toh tumhe meri life mein interfare karne ka koi haqq nahi hai... please leave me alone!!! Main chahe sharuti ko date karoon chahe samriti ko!!!! Tumse mtlb???
Tum itne ladkon ke sath hook up karti ho... maine bola kabhi kuch?? Question bhi nahi kiya kabhi!!! Toh why???? Mere peeche kyu padi ho??? Please yaar Bela.... leave me!!! Am sorry ke maine tumhe pyar kiya, dosti ka rule toda I love you bolkar....
Am sorry....
Please leave me....
Aur vo gusse mein wahan se chala jata hai...
Sharuti ko bhi bura lagta hai "ho gyi tassalli?? Ab hamara peecha chod do Bela!!! Tum kisi ko deserve nahi karti..."
Aur vo Varun ke peeche chali jati hai....
Aur sari class Bela ko apradhi ki nazron se dekh rahi thi...
Bela ko Varun ka yeh behavior bilkul acha nahi lagta!!! Usse boht gussa aa raha tha!!! Ke sab usse hi blame kyu kar rahe hain!!!
Vo jitna kisi ke liye soch rahi thi utna hi sab uss par chadh rahe the!!!
Vo bhi dukhi hokar College se hi chali jati hai... aur ghar aakar lait jati hai...
Usse samjh hi nahi aa raha tha ke uski galti kahan hai??

YOU ARE READING
Strangers (Behir)
FanfictionThis story about two strangers Bela & Mahir, who met each-other Intentionally. And how they fell in kinda different relationship that can't be described.