Bela, Mahir ko bhi avoid karne ke liye canteen mein jaakar baith jati hai...
Varun pehle se hi samjh gya tha ke yeh Mahir kaun hai?? Toh vo bhi ab iss maamle se door hi rehta hai..
Aur doosri or vo ek ghanta bhi beet jata hai
Mahir ko bhookh lag rahi thi toh vo bhi unki canteen visit karne aata hai... boht sare students uske sath the.. specially ladkiyan!!!
Vo jaise hi canteen mein aata hai.. uski pehli nazar Bela par padti hai jo saamne baithi coke pee rahi thi + phone use kar rahi thi....
Usse dekh kar Mahir ko mini heart attack feel hota hai... uski dayini aankh mein thoda sa pani bhi tha...
Usse andar hi andar se boht hurt ho raha tha....
pehla, toh vo bina usse bataye ghar chod kar chali gyi... jab ke Mahir ne uske liye itna kiya!!! Ohir usne usse paraya kar diya!!!
Doosra, vo iss college mein aane lag gyi thi... usse kuch pta hi nahi tha!!! Bela ke chehre par itna relief dekh kar vo aur hurt hota hai... kyon ke vo pichle 2 din se Bela ko extremely miss kar raha tha!!! Aur Bela ne usse batana bhi zaroori nahi samjha!!
Uska ab khane ka mann nahi kar raha tha!!!
Vo wapis mud jata hai, aur Bela usse side se dekhti hai aur khadi ho jati hai...
Mahir unke college se chala jata hai...
Sameer toh usse car mein baithaane ke liye bhi jata hai...
Mahir jate-jate Sameer se poochta hai "tum kaunse year mein ho Sameer?"
Sameer - 3rd!!!
Mahir - tumahari class mein koi Kabir Singh Rajput hai??
Sameer yaad karte huye - nahi sir. Aisa toh koi student poore college mein nahi hai...
Vaise kyu sir.??
Mahir - nahi... aise hi poocha!!
Aur vo Sameer ko best wishes dekar chala jata hai... "Nahi pyar tha toh keh deti... aise jhooth bolne ki kya zaroorat thi Bela???"
Bela ko yeh boht ajeeb lagta hai.. usse samjh hi nahi aa raha tha ke Mahir ne ysse dekha ya nahi!!!
Aur vo issi confusion mein ghar aa jati hai..
Bela ko acha nahi lag raha tha!! Aur ooper se vo confuse thi ke aaj Mahir ko dekh kar vo emotional kyu huyi?? Aur usse milne ka mann kyu kiya??
Issi trah 1 hafta beet jata hai... aur finally Bela ek cafe mein part time job karne lag jati hai.. usse yeh kaam acha lagta hai...
Doosri or Mahir ki game boht zyada acha profit karti hai ke unki company 1st position par aa jati hai..
Isse badhiya news Rajesh ke liye ho hi nahi sakti thi.. vo boht zyada khush the!!! Ab tak ki unki yeh best game thi....
Rajesh, Mahir ko apne office mein bulwaate hain...
Vo uske kaam se boht khush the... "Aao Mahir.... welcome!!! And take a seat!!!"
Mahir baith jata hai....
"I know Mahir, meri Beti ne tumahare sath
jo bhi behave kiya main uske liye boht
sharminda hoon... par I want to say you
thank you Mahir!!! Tumne company nahi
chodi, hamare sath bane rahe, aur ab hum
2 saal baad hi sahi... par ussi position par
aa gye jiska sabko wait tha!!! We are on
1st and hamari iss game ki installment
sabse zyada huyi hai... jo ke boht hi proud
ki baat hai..."
Aur vo Mahir ko gale lagaate hain... iss sucess ke liye vo choti si party arrange karte hain... aur Mahir ko company ki taraf se ek flat bhi diya jata hai + car!!!
Yeh boht bdi baat thi, usne dedh mahine mein yeh sab kar liya!!! That's quite amazing!!!!
Mahir ko apne success ki khushi thi par vo andar ka khaalipan nahi bhar sakti thi...
Aur finally Mahir ko uski first pay milti hai...70,000....
Aur uska personal house!!! Jiske liye rent nahi dena padega!!! Own car!!!!
That's pretty cool!!!
Mahir apne naye ghar mein shift ho gya tha!! Vo boht acha aur bda tha!!!
Mahir ne aaj tak itna sundar ghar nahi dekha tha!!! Vo boht khush tha!!
Sabse pehle vo photos apni Mom ko send karta hai then unke accout mein apni half Salary bhi tranfer karwa deta hai....
Uski Maa boht khush thi ke finally ab unhein worst days se chutti mil gyi...
Mahir toh unko Mumbai aane ke liye bhi bolta hai.. par uski Maa ko Banglore se zyada pyar tha!!! Vo ghoomne ke liye aa sakti thi par rehne ke liye toh kabhi nahi!!! Kyon ke uss ghar mein Uske papa ki yaadein judi huyi thi... baki vo bimaar bhi thi toh!!!
Khair yeh sab toh aam baat thi... Mahir raat ki party ke liye ready ho jata hai...

YOU ARE READING
Strangers (Behir)
FanfictionThis story about two strangers Bela & Mahir, who met each-other Intentionally. And how they fell in kinda different relationship that can't be described.