Vo mug ka ek kaanch ka tukda Bela ki ankle par chubh jata hai.. aur deep cut pad jata hai..
Aur frr uske dad wapis office ke liye chale jate hain..
Bela's Mom : kya Bela... itna nuksaan kyu beta?
Tanya - dimaag se kaam lo meri behan..
Aur vo dono apne-apne rooms mein chali jati hain..
Unke jaane ke baad Bela apni edi se vo tukda nikaalti hai.. aur bleeding start ho jati hai...
Bela ke dard ho raha tha.. uski aankhon mein aansu aa jate hain..
Vo gusse mein ghar se bahar chali jati hai..
Pehle vo Varun ko call karne ka sochti hai.. but unka jhagda huya tha toh vo cancel kar deti hai..
And frr uski nazar Mahir ke number par jati hai.
Vo Mahir ko call karti hai..
Mahir, ussi ki call ka intezaar kar raha tha..
Bela - please can you help me!!
Aur Mahir uski help ke liye aa jata hai..
Vo usko gadi mein baitha kar le jata hai.. luckily yeh uski behan Tanya nhi dekhti..
Aur vo seedha usse doctor ke paas lekar jata hai..
Doctor uske patti karta hai then...
Mahir - so.. ab kahan?
Bela - mera ek khud ka ghar hai.. please wahan drop kar do!!
Mahir - aur kaun rehta hai wahan?
Bela - koi ni.. vo mera ghar hai!!
Mahir - am sorry Bela.. I can't leave you like this!!
Doctor ne kaha hai yeh cut ke band hone mein bhi 15 din lag jayenge!!
Aur tum akeli sab manage kaise karogi?
Bela - chill.. I'll do it.. tum bas drop kar do.. ab mujhe ghar nhi jana!!
Mahir - okay.. main tumahare sath shift ho raha hoon.. 15 din ke liye!!
Bela - tumahari job?? Esha??
Mahir - relax I'll handle it..
Aur vo Bela ko hotel ke bahar wait karne ko bol kar room se apne kapde lekar aata hai..
Esha ko bas basic matter samjha deta hai..
Aur jaldi-jaldi mein neeche aa jata hai..
Bela smile kar rahi thi!!
- strange na!!!
Hum aaj hi mile hain..
Aur tum mere liye itna kyu kar rahe ho?
Promotion chahiye??
Mahir - nhi.. bas I vibe with you.
Bela - how? Can you explain?
Mahir - I don't know how!! But I can connect with you.
Bela surprisingly uski or dekh rahi thi..
Aur vo dono shehar ke bahar ek chote se farm house mein aa jate hain!!
Mahir - who gave you this beautiful house?
Bela - meri Nani... she used live here.. and then claim to me!!
Mahir : lucky!!
Aur vo usse utha kar ghar mein le jata hai..
Bela : thanks Mahir..
I don't know why are you doing this but seriously... thank you very much.
Mahir smile karta hai..
Vo usko bahar baitha kar uska poora room set karta hai..
Then Bela ko khana bana kar khilaata hai..
Bela toh bas pyar se usko dekh rahi thi..
Aur pta ni kab raat ho gyi thi..
Vo dono alag-alag rooms mein so jate hain..

YOU ARE READING
Strangers (Behir)
FanfictionThis story about two strangers Bela & Mahir, who met each-other Intentionally. And how they fell in kinda different relationship that can't be described.