Mere papa Mr. Rajesh ko hamesha se hi ek ladka chahiye tha jo unka business vgera sambhaale!!! But unfortunately unke pehli baar mein hi do betiyan ho gyi... judwa!!
Mahir - Tanya is your twin??
Bela chidte huye - han... beech mein mat roko!!
Hum dono Nani ke ghar huye the.... Nani ne mera naam Bela rakha.... aur maa ne uska Tanya!!!
Uske baad maa ke koi bacha nahi huya!! Itna try karne ke baad bhi....
phir dad ne ek naya idea socha ke vo hum dono ki shadi kisi raees ladkon se karwa denge jo business sambhaal lein!!!
Yahan entry hoti hai Papa ke dost ke Bete ki- Karan ki!!! Ameer baap ka beta...
Starting se unki yhi planning thi ke hum dono mein se kisi ek ko Karan pasand kar le so that my dad can die peacefully...
Meri aur Tanya ki bachpan mein toh achi banti thi... par Karan ke chakkar mein sab barbaad ho gya!!! Ab toh mujhe afsos hota hai ke mujhe uss stupid par crush tha!!!
Mahir yeh sunte hi hasne lag jata hai....
But Tanya toh usse pyar karti thi🙂
Usse uss pyar ki wajah se mujh par doubt hota rehta tha ke kahin main usse cheen na loon!!! So main peeche hatt gyi... maine apna crush wahin rok liya... aur main class ke ladkon mein hi interest rakha!!!
You know hamare ghar mein specially meri!! Koi izzat nahi hai... sab log mujhe useless maante hain😂... even my mom doesn't much likes me!! Tanya ki toh khair wajah hi alg hai😐.....
Mahir tense hote huye "kyu?? Aisa kyu??"
Bela ek baar aankhein band karti hai... aur ek dum se khol kar bolne ki koshish karti hai.... "Because I can't be a mother!!! Never ever...."
Mahir ko yeh baat sun kar zor ka jhatka lagta hai....
In the starting mere ghar wale mujh par hi shakk kar rahe the... Tanya got her periods... but I don't!!
You know I was 15!!! When literally my mom took me to the hospital for get to know that am I pregnant?? Because why I didn't got my periods..
Mahir ko ab thoda bura lag raha tha... ke usne kyu usko force kiya!!!
So I can't be a mother....
Bela yaad karte huye"Han... Karan ka topic toh main bhool hi gyi thi....
At 17 Tanya ne Karan ko khud purpose kiya tha.... aur unfortunately Karan ne usko reject kar diya kyon ke Karan sirf apni books ko pyar karta tha... usse international level par no.1 jo bnna tha!!!
Jab mujhe pta chala toh maine apna crush mode on kar liya... mtlb main Karan ke studies ke bahane ya aise-vaise uske sath time spend karna start kiya.... aur 1 month tak mujhe ehsaas huya... vo mujh mein bhi interested nahi hai... thank God maine usse purpose nahi kiya!!!!
Mahir ek cute si smile karta hai....
Then maine apna crush kya... sab kuch khatam kar diya.....
Life normal chal rahi thi... Tanya ki nafrat, mom ka rookhapan, papa ki daant!!! Torture and all!!!
Aur when I was 21..... ek raat Karan apni family ke sath hamare ghar function par aaya.... aur vo itna handsome lag raha tha yaar!!! Without specks toh vo hot dikhta tha!!! I don't know how, when and why!!!! We just had sex with each other....
like seriously!!
Mahir gaur se Bela ke expressions dekh raha tha..... Vo kyi sawaal poochna chahta tha par Bela ne usse mana kiya tha toh.....
After that sex!!! Karan ko achanak se mujhse pyar ho gya.... usne mujhe purpose kiya.... maine naa kar di... kyon ke vo ek hook up tha!!! Usse zyada kuch nahi...
Bas uske baad Karan mere peeche pad gya!!! Tanya toh aur bhi zyada chidne lag gyi... papa khush the ke finally usko kisi se toh pyar huya!!! Aur biggest secret.... papa ne unko bataya bhi nahi... ke agar by chance meri shadi hoti bhi.... main bache paida nahi kar sakti!!!
He is just a selfish person.... paise ke bare mein sochte hain... ab unhone ne mujhe finally apni sab property vgera se nikaal diya!! Mtlb koi zabardasti ki shaadi nahi hogi... ab jaake life thodi sahi huyi hai...
You know, yeh meri zindagi ke ab tak ke best days hain... mera koi bhi boyfriend scene nahi hai, best friend wala drama bhi khatam, papa ka koi chakkar nahi, Karan se chutkara mil gya, Tanya ke tantrums nhi hain.....
Mahir usse beech mein hi rok deta hai "ok ok Bela g!!! Main samjh gya.... par ek baat poochni thi!!!"
Bela uski or apni aankhon se hi sawaal poochti hai...
"Meri kya ehmiyat hai, tumahari zindagi mein??"
Bela ke paas iss sawaal ka koi pakka jawaab nahi tha.... vo kitni bhi koshish kar rahi thi par Mahir ghoom-phir kar wahi baat par atka huya tha... toh vo iss cheez ka koi jawaab nahi deti...

YOU ARE READING
Strangers (Behir)
FanfictionThis story about two strangers Bela & Mahir, who met each-other Intentionally. And how they fell in kinda different relationship that can't be described.