Chapter 53

323 62 11
                                    

Mahir Bela ke expressions ko samjh nahi paa raha tha ke vo itni shock kyu ho rahi hai!! "Kya huya Bela??"
"Nahi hona toh kya hai, it's miracle!! Vo
papa ki company mein kaam kar rahi hai..
mtlb Papa toh hamein office aane hi nahi
dete the!!
Unke according hum sirf ghar ke kaam ke liye bane hain!!!  
So it's surprising!!!"
Mahir uski or smile karta hai "no, you are jealous!!!
Because tum bhi vaise hi company mein help karna chahti thi!!
Right??"
Bela usko ghoor ke dekhti hai.... phir hasne lag jati hai "sahi baat!! Am jealous."
"Koi naat nahi, tum kisi aur company mein help kar dena...
Ek hi baat hai..."
Aur vo Bela ko zor se gale lagata hai...
Bela ke exam ache ho rahe the!!
Usko end mein aakar vo sab samjh aa raha tha jo pehle nahi aaya!!!
Yeh technology wali duniya ab usse zyada buri nahi lagti thi...
Ek-Ek karke Bela ke sare exam ho jaate hain..
Aur vo college se hamesha - hamesha ke liye free ho jati hai...
Exam khatam hone ki khushi mein vo ek beer ki bottle khareed leti hai iss hope mein ke vo Mahir ke sath isse celebrate karegi!!
Aur ghar aate hi usse Mahir nahi milta!!
Call karne par bhi Mahir phone nahi uthaata!!
Jo ke Bela ko thoda ajeeb lagta hai...
Anyway vo uska wait karne ki sochti hai aur T.V. dekhne lag jaati hai...

Doosri or Mahir, Karan aur Tanya sath mein baithe coffee pee rahe the!!!
Tanya ke bhi aaj exam khatam ho gye the... toh Tanya un dono ko Coffee Cafe Day mein special invitation deti hai....
Mahir ki an Karan aur Tanya se achi banti thi,  Tanya usse attitude nahi dikhaati thi..
Karan toh khair theek hi hai!!!
Karan koshish karne par bhi Tanya ko pasand nahi kar paa raha tha... kyon ke shyed uske dimaag mein ab bhi Bela thi!!!
Par iss baat ko vo secret hi rakhta hai...
Mahir aur Bela ke relationship ke bare mein kisi ko bhi nahi pta tha!!
Karan - Tanya, ab aage kya plan hai??
Tanya khush hote huye "ab, main Papa se baat karke office mein help karne ki soch rahi hoon!!!"
Karan Tanya ke sath cooperate karne ke bare mein phir sochta hai ke shyed vo issi bahane se Tanya ko pasand karne lage!!! "Kyon na Tanya, tum meri company mein help karo, instead of your Dad!!
I'll pay you!!!"
Tanya ko iski umeed nahi thi... "woahhhhh
It's amazing....
I would love to do it!!!
Tum batao, kab join karna hai??"
Karan haste huye "aaj se hi kar lo!!!"
Iss par vo teeno sath mein haste hain!!!
Karan ka dheyaan Mahir ki or jata hai.. "vaise Mahir, tumahara kya status hai??"
Isse pehle Mahir kuch bolta Tanya usse kaat deti hai  "yeh single hai, kyon ke isne kabhi dhoondhne ki koshish nahi ki!!"
Iss par Mahir ki hassi nikal jati hai... ke ab vo in dono ko kya hi bataye!!!!
Karan smile karte huye "Tanya, Tumhe bda pta hai!!!"
Phir vo Mahir ko dekhta hai "kyu Mahir, kyu nahi dhoondha??"
Mahir ke paas iska koi exactly jawaab nahi tha "bas aise hi!!"
Tanya chedte huye "phir bhi, koi toh baat hogi??"
"Nahi, koi baat nahi hai... bas aise hi... abhi
mera mann bas kaam karne ka hai..."
Karan usko samjhaate huye "kaam ke peeche zyada mat bhaago, warna yeh time nikal jayega!!!
Phir meri trah pachatoge!!!!
Jo tumahare peeche bhaag raha hai, uspar dheyaan do!!!"
Mahir uski baat bakhoobi samjh raha tha!!! Aur galati thi bhi ussi ki!!! Time par Bela ko bhaao deta toh aaj yeh din na dekhna padta!!!
Par yeh Mahir ke liye toh acha tha!! Warna usse Bela kaise milti??
Vo bas ek halki si smile karta hai....
Tanya ko Karan ki baat achi nahi lagi "acha Mahir, tum batao??
Agar tumhe mauka mile....
Meri behan aur mujh mein se kisi ek chose karne ka.... toh tum kisko karte???"
Mahir iss par toh sure tha
"tumahari behan ko!!!"
Karan aur Tanya ke liye shocking answer tha vo dono sath mein poochte hain "kyu??"
Mahir unke reaction ko samjh gya "aise hi, Tanya ko toh main jaanta hoon, Bela ko jaan-na chahta hoon....
Toh iss liye main Bela ko chose karoonga!!"
Tanya ko yeh acha nahi lagta... kyon ke ismein usse chota mehsoos hota hai... ke koi bhi usse chose nahi karna chahta!!!
Sab Bela ko hi pasand karte hain!!!
Ab toh Bela uski zindagi mein nahi thi... phir bhi vo saaye ki trah..... uske peeche thi..
Aur vo wahan se uth kar chali jati hai...

Strangers (Behir)Where stories live. Discover now