Poora ghar phoolon se saja huya hai.. pink and white flowers... because Karan's favorite color is White. And Bela's Sister loves pink.
There is nothing that Bela like about it. Sab log itne zyada sundar dikh rahe hain ke maano unki hi shaadi ho.. Bela's Mom is looking gorgeous in that red saree and Bela's twinning Tanya is looking super hot in that pink lehanga choli..
And Bela's Father is looking normal like always.. busy in his phone.
Bela' mom : aaj toh phone rakh do.. beti ki shadi hai!!
Aur uske Dad bina sune bahar chale jaate hain.. Mehmaan aa rahe hain.. par sab ko Baraat ka intezaar tha.. Tanya toh boht excited thi.
Everyone looking so happy..
2 ghante ke lambe intezaar baad finally Baraat aa gyi... aur sabke chehron par shine aa gyi..
Tanya, Dulhe ki saali thi toh vo Gate par apne hone wale jiju Karan ko rok leti hai..
Sab un dono ki pyari nok-jhok par hass rahe the... that's cute..
Aur Bela!! jiski shaadi hai, uske chehre par 12 bajje huye hain.... jab vo Karan ko itna jada khush dekhti hai...
Bela to herself : Yeh itna khush kaise ho sakta hai??
Voice from behind : come Bela yrrr koi tumhe dekh lega!! Fr mujhe daant padegi!! Chal ab!!
Acha toh lag raha hai Karan... vaise bhi ab poori zindagi hi dekhna hai!!! Toh chal ab!!
Aur vo ladki Bela ko kheench kar le jati hai..
Bela hadd se zyada sundar lag rahi thi.. that maroon lehanga is so-so beautiful that looks like it made only and only for Bela and its true.
Bela apne phone se Mahir ko call karti hai but vo phone nhi uthaa raha tha..
Aur Bela ki aankhon mein aansu aane ke chances badhte jaa rahe the.
Bela to herself with tears : pick up the phone idiot!!! Varna mujhe mere mayake aate waqt dekh liya karna!! Sab kuch pta hone ke baad bhi pta nahi kyu vo itni nervous ho rahi thi...
Aur door par Tanya aa jati hai, vo Bela ko phone mein busy dekh kar bolti hai -come Bela... aaj toh phone chod do.. dulhe raja bahar aapka wait kar rahe hain.. sab ready hai.. aa jao...
Bela - yeah... ruko I need to pee.
Tanya haste huye - sure.. bas bhaag mat jana!!
Aur bela ek fake smile karte huye Bathroom mein chali jati hai..
Aur mirror mein khud ko dekh kar aankhein band kar leti hain...
Aur Mahir ko yaad karne lag jati hai... usse pehle din se lekar ab tak ka sara safar yaad aata hai!!
Itni mushkil se toh usse koi aisa mila tha!!! Aur aaj vo usse khona nahi chahti thi.... kisi bhi keemat par nahi!!!
Bela bahar aa jati hai...
Tanya usse pakad kar neeche le jaati hai.. vo ghoor kar Karan ki or dekhti hai.. jo boht hass raha tha!!!
Bela ko dekhte hi vo ekdum se chup ho jata hai..
Vo boht zyada se bhi zyada sundar lag rahi thi... agar aaj koi bhi usko dekhta, toh apni kismat par pachtawa karta ke "itni sundar ladki agar us mil jati toh"
Vo Karan ke sath aakar khdi ho jati hai... pandit ji ke ishaare par vo dono baith jaate hain!!!
Aur Bela ki dil ki dhakan badh rahi thi!!!
Bela ko kuch samjh nahi aa raha tha ke vo kya kare?? MAHIR toh abhi tak nahi aaya tha!!! Ab lagta hai usse hi kuch karna padega!!!
Achanak se Bela ko vo baat yaad aati hai, jo Karan ko nahi pta thi...
Uske chehre par ek smile aati hai... aur vo apna chehra Karan... Ki or ghumati hai...
Bela - Karan......Karan smile karte huye usko dekhta hai - hmm
Bela - tumhe kuch batana hai??
Karan - abhi??
Bela - han.. boht important hai!!
Karan - jaldi bolo!!!
Bela - I can't be a mother of your children's!!
Karan usko hairaani se dekhta hai - kyu??
Bela - because I never can be a mother at all!!!.Karan ekdum se serious look usse deta hai.. aur phir hasne lag jata hai - are you kidding!!! Tanke main shadi tod doon??
Bela - no.. am serious!!! Ask my dad?? Ask my mom?? Ask to Tanya
Karan ab sach mein serious ho jata hai.... vo chupke se Bela ke papa ko apne paas bulata hai!! Aur uske kaan mein poochta hai!!
Yeh baat sun kar Bela ke papa ke hosh udd jate hain!!! Vo iska koi jawaab kaise dein.??
Karan unki chuppi se samjh jata hai, ke Bela sach bol rahi hai!!!
Aur Karan ke chehre se smile gayab ho h
Jati hai...
Vo Bela ki or dekhta hai, jo ussi ko dekh rahi thi...
Bela - relax hum bacha adopt kar lenge kissiiiiii aurrr kaaaaa!!Karan is par koi jawaab nahi deta!!! Vo aone papa ko paas bulata hai....
Jaise hi vo unko yeh baat batata hai... vo ekdum se chillate huye bolte hain "yeh shaadi nahi ho sakti!!!!"Bela ki toh hasi nikal jati hai!!
Sare log Karan ke papa ki or hairaani se dekh rahe the!!!
Bela ke papa - aap yeh kya keh rahe hain??.Karan ke papa - main toh pehle se hi iss ladki ke liye razi nahi tha!! Kya sanskaar hain iske??? Sabke saamne kisi anjaan ladke ke sath isne vo kya kiya tha!!!
Main phir bhi apne bete ki khushi ke liye maan gya!!!
Par ab aur nahi.....
Itni zaroori baat mujhe aaj pta chal rahi hai?? Yeh dosti nibhayi tumne Rahesh???,
Mujhe tumse yeh umeed nahi thi!!!
Tumahari beti kabhi Maa nahi ban sakti?? Yeh kyu chupaya???
Iska seedha mtlb kya hai?? Ke mere bete ke apne bache nahi honge???
Hamara khoon?????
Yeh shaadi nahi ho sakti!!! Main abhi, issi waqt yeh shaadi tod raha hoon!!
Utho... Karan!!!!!
Aur nahi........
Yeh log khud iss baat ko accept nahi kar sakte, toh humse toh umeed bhi mat rakhein!!!!Bela ko toh boht acha lag raha tha... usse toh koi idea hi nahi tha... ke iss baat se kaam ban sakta tha!!! Phir toh pehle hi bata deti hai!!!!
Karan - papa bacha adopt.....
Isse pehle vo apni line poori karta!!! Karan ke papa wahin usse rok dete hain "chup karo...... kya keh rahe ho tum?????
Tumahare andar koi kami nahi hai.... jo hum adopt karenge???,
Yeh bilkul nahi ho sakta!!!
Tum chup-chap chalo yahan se!!!!"Bela ke papa ke toh hosh hi udd jaate hain!! Itne saalon ki dosti aaj khatam hone jaa rahi thi, sirf ek baat par!! Vo ab apni itne millions ki property apni betiyon ke sahare chod nahi sakte the!!!
Karan ki family se achi usko kaun hi family milti??? Jo uska business handle karein??? Karan itna mehnati ladka tha!!!
Unko toh ab Mahir par bhi taras aa raha tha... ke usne kyu Karan ki baaton mein aakar aisa kiya???
Vo bhi toh acha ladka hi tha!!!Karan ke papa... apne bete aur baraat ke sath jaa hi rahe the ke Bela ke papa unko rok lete hain..
Karan aur baaki sab unko dekh rahe the!!! Ke ab yeh kya kahenge???

YOU ARE READING
Strangers (Behir)
FanfictionThis story about two strangers Bela & Mahir, who met each-other Intentionally. And how they fell in kinda different relationship that can't be described.