Sunday hone ke kaaran Mahir aur Bela late uth te hain...
Breakfast ki jagah vo seedha lunch hi karte hain...
Tabhi Mahir Bela ko apne promotion aur trip ke bare mein batata hai...
Bela ko yeh jaan kar boht khushi hoti hai...
"Main iss par apni maa ke sath jana chahta hoon!!" Vo Bela ko dekhte huye bolta hai...
Bela iss par positive reaction deti hai "that's great!!! Unki health bhi theek hai ab toh, you should go!!"
Aur Mahir ko ek aur baar tassalli hoti hai..
"Mera bhi mann tha... par nayi job mili hai,
toh abhi se holidays!!!"
Mahir haan mein jawaab deta hai..
Vo khush tha!!
Aur aise hi Bela ka office start ho jata hai... pehle 3 month ki training thi... toh filhal vo seekh rahi thi...
Mahir apni packing karke seedha banglore chala jata hai...
Bela ka aaj uske bina dil nahi lag raha tha... poora ghar usse kaatne ko daud raha tha!!!
Toh vo apna thoda samaan lekar apne ghar rehne ke liye chali jati hai...
Tan ke usse Mahir ki yaad kam se kam aaye!!
Bela apne ghar ko theek karne mein lag jati hai...
Abhi 2 hi din huye the, Bela calendar par dekh rahi thi... Mahir ke aane mein abhi 15 din aur the!!!
Ke Tabhi uski doorbell bajti hai!!!
Jaise hi Bela darwaza kholti hai....
Vo hairaan ho jati hai....
Uske saamne uske Papa, Tanya, Karan aur uski maa khade the!!
Bela unko ek tak dekhe hi jaa rahi thi....
Tabhi Tanya excitement se bolti hai "kitne percentage mile tumhe???
Main 88% se almost 3rd top kiya hai...
Tera bta??"
Aur achanak se Bela ko yaad aata hai ke uska result aaya hai...
Usse yaad hi nahi tha!!!
Toh vo pehle unko andar invite karti hai, paani serve karke vo apne phone par result check karti hai.... "it's 85%"
Bela ko iski umeed nahi thi...
Yeh sab Mahir ki wajah se huya tha!!!
Vo unko apna score batati hai....
Tanya khush thi ke uske zyada aaye hain...
Tabhi Bela ke papa apni chuppi todte hain "jaisa ke tum dono ne hi graduation mein acha kiya hai...
Am happy for both of you!!!
Toh promise ke mutaabik hum aaj as a family lunch par jaayenge!!!
Aur raat ko shopping ke baad movie bhi dekh sakte hain!!!"
Tanya khushi se naachne lagti hai..
Bela ko kuch yaad nahi aa raha tha jis mein Tanya uski help karti hai...
In childhood unhone apne Papa se written mein promise karwaya tha iss treat ke liye!!!
Tanya usse vo paper dikhati hai...
Bela apni 10 saal purani handwriting dekh kar hass padti hai..
Aur Tanya usse jaldi-jaldi ready hone ko bolti hai...
Then vo sab sath mein lunch ke liye jaate hain...
Bela baar-baar Karan ko ghoor rahi thi... ke yeh sath mein kyu hai?? Yeh toh family bhi nahi!!!
Sab log apna-apna food order karte hain...
Kuch der tak toh sab chup hi hote hain...
Phir finally Bela ki maa bolti hai "Bela,
Tumahare Papa tumse kuch kehna chahte hain..."
Aur sab ki nazar Papa par chali jati hai...
Uske Papa apna khana chod kar Bela ko dekhte hain.... jo ussi ki taraf dekh rahi thi...
"Dekho Bela....
Hum maante hain ke humne boht galtiyan
ki hain!!!
Tumhe hurt kiya hai,
Aur hamein specially vo thappad toh bilkul bhi nahi maarna chahiye tha!!!
Tum humse yeh 8 mahine door rahi toh hamein yeh sochne ka samay mila, jiska hamein behad pachtawa hai....
Ke humne itni der kar di!!!
Hum maante hain.. uss din hum gusse mein aapko boht kuch bol gye!!!
Par kehne se toh kuch nahi hota na!!
Tum abhi bhi hamari beti ho, tumahare andar hamara khoon hai, lakh kehne par bhi vo badal nahi sakta!!!
Toh hum tumse aaj iss shubh din par maafi maangte hain.... Hum ek ache pita hone ka vaada toh nahi kar sakte kyon ke vo shyed hum ban bhi nahi paayenge!!!
Par him ek vaada zaroor karenge ke hum tumhe taqleef nahi denge!!
Agar tumahari icha ho, toh tum hamare sath wapis aa sakti ho... hamein koi aitraaz nahi... Hum chahte hain ke tum vo purani baatein bhool jao....
Aur ek nayi shuruaat karte hain..."
Bela ki maa bolna shuru karti hai "marzi ki baat hai....
Vo Bela ka hi ghar hai... jab uska mann hoga vo aayegi!!!
Hai na Bela!!"
Tabhi Tanya bhi bolti hai "han... you should come Bela!!!
We are a Family!!!"
Bela un sab ko dheyaan se dekh aur sun rahi thi...
Vo bas ek smile karti hai...
Iske baad vo mall mein jaakar shopping karte hain... par Bela kuch nahi leti....
Uske baad movie!!!!
Jo Bela ne already Mahir ke sath dekh li thi...
Aur finally it's time to say goodbye!!!
Aur boht zyada kehne par Karan usse drop karne chala jata hai... jo Tanya ko zyada acha nahi lagta!!!

YOU ARE READING
Strangers (Behir)
FanfictionThis story about two strangers Bela & Mahir, who met each-other Intentionally. And how they fell in kinda different relationship that can't be described.