Chapter 34

330 55 5
                                    

Bela poora din aise hi dukh mein padi rehti hai aur apne bare mein sochti hai...
"Pehle sab sahi tha... main buri thi... kisi ki
himmat nahi thi, mujhe kuch kehne ki...
aur ab jab main chup hoon toh sab
bakwaas kar rahe hain... even my best
friend!!!!  I can't believe on this!!! Yeh sab
acha hone ki hi galti thi.... okay... ab main
aur achi nahi banoogi!!! I am done!!! "
Dekhte hi dekhte Bela ka dukh gusse mein badal jata hai...
Aur ab Bela phir se achapan chodne ka sochti hai... vo pichle kyi din se kind bnne ka try kar rahi thi...aur uss par hi blame lag rahe the!!! Toh ab Back to basic!!
Aur Bela shower lene chali jati hai...
Mahir apne office se wapis aa gya tha.. ab uska iss shehar mein mann nahi lag raha tha.. vo Esha ko aane ke liye kehta hai par vo apne kaam mein busy hone ke kaaran nahi aa rahi thi... uski Maa ki health kharaab thi toh vo unko kuch nahi kehta!!!
Mahir apne pain ko avoid karne ke liye Office ke kaam mein hi lag jata hai... aur aise hi uske 2 din guzar jate hain... holidays par bhi uska koi plan nahi tha!!
Doosri or Bela poore kapde chod kar "short pants" par aa gyi thi, baal khule, high heels,  pair mein dard tha par phir bhi....., eyeliner, blush!!!! And she is ready for her college!!
Aaj Bela college jati hai toh sab log usse dekh rahe the!!! Par iss baar back-bicthing nahi!!! Uski body ki praise ho rahi thi...
Aur aaj vo bina kisi par focus kiye class mein baith ti aur zabardasti Sameer ko apne sath baithaa leti hai... Sameer ki nazar baar-baar uski legs par jaa rahi thi... iss liye nahi ke Bela hot hai!!! Iss liye kyon ke usne shorts wali ladki ko kabhi itni nazdeeki se nahi dekha tha!!!
Varun aaj Bela ka yeh hot look dekh kar head down karke baith jata hai... kyon ke usse ab pta chal gya tha ke Bela wapis se apne get up mein aa gyi... aur uski band bajayegi!!!!  Jo bhi usne kal suna!!!
Bela badla lene walon mein se thi....
Unki classes lagti hain... aur last half mein ek announcement hai...
Ke college mein ek technical company aayi hai apni games aur technology ko promote karne ke liye!!!
Vo sab computer engineering kar rahe the toh obviously sab ko iss cheez mein interest tha!!!
Sameer jaane ke liye tyar ho jata hai...
Bela - tum kahan chale?
Sameer - auditorium!!
Bela - tumhe yeh gaming mein kya kyu interest hai?
Sameer - I love games!!!! Iss liye toh yeh engineering li hai...tum bhi chalo... mazza aayega!!
Aur vo chalta hi hai Bela bhi uske peeche-peeche aa jati hai.. "Vaise Bela tumahare papa bhi iss platform mein hain na?? Unki company ki games kitna acha kar rahi hain!!
That'samazing!!"
Bela ko ismein koi dilchaspi nahi thi...
Aur vo auditorium mein jaakar baith te hi hain ke wahan THE INNOVATION company ke banner lag jate hain..
Sameer khushi se - hey.... yeh toh tumahare dad ki company hai!!
Aur Bela uth kar jane hi lagti hai ke Seminar start ho jata hai... aur uske Kaano mein ek boht jaani-pehchani awaz padti hai.. "Good afternoon everyone"
Aur jaise hi Bela mud ke dekhti hai... it's Mahir!!!!
Vo aaj usse 2 din ke baad dekh rahi thi...
Bela ki aakhon mein thoda paani tha aur vo peeche wali seat par baith jati hai....
Mahir bolna continue karta hai....
Vo apni banayi Game ki presentation sabke saamne rakhta hai... aur unko techniques batata hai...aur apna yahan aane ka actual reason batata hai... extra extra....
Kaise 2 ghante nikal jaate hain... Bela ko pta hi nahi chalta...
Mahir ka Seminar success hota hai... uski banayi huyi Game sab install karte hain, review dete hain... aur Mahir se question bhi poochte hain...
Zyada demand aane par Mahir sabke liye 1 ghanta common room mein baithne ke liye maan jata hai ke jiska iss technical industry mein interest hai vo unko guide  kar paye!!!
Sameer sabse pehle andar jata hai...
Bela ka bhi mann ho raha tha par......

Strangers (Behir)Where stories live. Discover now