Bela apne ghar aa jati hai aur Karan ko bye bol deti hai...
Bela ko poori raat neend nahi aati, vo aaj ke bare mein hi soche jaa rahi thi....Doosri or Karan... Tanya ko milne ke liye usse ghar ke bahar bulata hai...
Tanya boht khush thi... usse kahin na kahin umeed thi ke Shyed aaj Karan usse finally purpose karega!!!
Vo bahar jati hai....
Karan apni car ke sath khda tha... vo Tanya ko aate dekh active ho jata hai...
"Listen Tanya...
I really wanted to talk about us!! "
Tanya usse khushi se dekh rahi thi..
"Tanya... you and me!!! It's not working!!! Maine boht try kiya...
Par ho hi nahi raha!!! Toh main tumhe andhere mein nahi rakhna chahta!!!
You should know this!! I don't love you!!!
Because I am still into Bela!!
I don't know what's wrong with me!! Par....
Tum samjh rahi ho na!!!"
Tanya ke chehre ki smile gayab ho gyi thi.. as always....
Karan ne aaj phir usse chose nahi kiya!!!
Because It's always gonna be Bela!!!
Vo thoda rukk kar bolti hai "it's okay Karan..
Mujhe khushi hai ke tumne honestly sab bata diya!!!
And yeah I understand!!
Aur toh kuch na sahi... tumahari dost toh hoon!!!"
Aur phir Tanya suspiciously usko dekhti hai.. "toh now you and Bela??"
Karan usko naa mein jawaab deta hai... "meri bhi itni achi kismat kahan!!!
Jaise tumhe apna pyar nahi mil raha...
Vaise hi mujhe bhi nahi mil raha!!!!
So iss liye behtar hai ke hum dost hi rahein!!
And thank you mujhe samjhne ke liye!!"
Tanya smile se "tumhe bhi thanks...
Tumne bhi toh itne efforts kiye hain!!"
Aur Karan usse good night bol kar chala jata hai...
Chalo Tanya dukhi toh thi... par sath mein hi relax thi!!
Ke agar isko main nahi mili toh acha hai.. Bela bhi nahi mili!!!
Aur vo bhi apne room mein jaakar lait jaati hai...Roz ki trah aaj subah bhi Mahir Bela ko call karta hai "kaisi ho??"
Aur Bela dheere-dheere usse kal ke bare mein detail mein batati hai... aur usse poochti hai ke ab vo kya kare??
Mahir ko toh iss cheez ke bare mein koi idea nahi tha...
Vo kafi sochta hai par decision Bela par hi chod deta hai... ke hamesha ki trah it's up to you!!! Jo sahi lage wahi karo...
Aur phir vo Bela ko apne trip ke bare mein batata hai...
Sab sahi tha par Bela confuse thi...
Aise hi 1 hafta nikal jata hai...
Aur like always Bela T.V. dekh rahi thi ke tabhi uske ghar par Tanya aa jati hai...
Jo ke unexpected surprise tha!!
Bela usko ghoorte huye "kya huya??"
Tanya pehle toh ghar ko dekhti hai phir jawaab deti hai "uss din jo dad ne jo bhi kuch kaha tha... vo Karan ke kehne par kaha tha!!
Usmein unka khud ka koi role nahi tha!!
Toh tumhe batane aayi hoon... papa ke jhaanse mein aakar freedom mat lose karo!!"
Bela iss liye toh itne din laga rahi thi... kyon ke usse bhi kuch doubt lag hi raha tha!! Aur vo hasti hai..
Dad will be Dad!!!
Aur Tanya usse apne aur Karan ke bare mein batati hai...
Jise sun kar Bela ka koi khas reaction nahi tha!! Kyon usse Karan ke expressions se idea ho gya tha...
Bela uski or dekhti hai "toh ab main tumahare liye kya kar sakti hoon??"
Tanya bina ek second gawaye bolti hai "Karan se shaadi kar lo!!"

YOU ARE READING
Strangers (Behir)
FanfictionThis story about two strangers Bela & Mahir, who met each-other Intentionally. And how they fell in kinda different relationship that can't be described.