Chapter 60

345 61 11
                                    

Jaise hi Tanya, Bela ko airport par!! Mahi ko gale lagate dekhti hai, toh vo gusse se bhar jaati hai!!!
Tanya ne Karan ko replace karke ab Mahir ko pasand karne lagi thi!!!
Par Bela yahan bhi beech mein aa gyi!! Ab sari purani baatein highlight ho jati hain!! Ke Mahir ne Bela ko chose kiya tha, Bela ka zikar aate hi, kyu Mahir thoda ajeeb sa behave karta tha!!

Tanya ke ek baar phir mooh ki khaani pad gyi, bechari... jis ladke ko pasand karti hai, vo uski Behan le jaati hai!!! Yeh doosri baar huya tha!! Tanya iss baar give up nahi karna chahti thi!!! Par usse khud par gussa bhi aa raha tha, kyon ke uske paas kitne hi mauke the, Mahir ko impress karne ke!! Par Karan ke chakkar mein usne sab kharaab kar liya tha!! Karan ki dhun mein vo aise khoyi huyi thi... ke aas-paas ka kuch dekha hi nahi... aur aaj usse hadd se zyada pachtawa ho raha tha!!!
Tanya wahin se wapis apne ghar chali jati hai!!! Ab tak uska dimaag bilkul blank ho gya tha, ke vo kare toh kya kare??? Karan ko vo apne mind se nikaal chuki thi... uske paas dobara nahi jana chahti thi... Ab usse Mahir acha lagta tha, par vo bhi Bela se pyar karta hai!!!
Vo apne bed par lait jati hai aur iske baare mein sochne lag jati hai!!!

Doosri or Bela Mahir ko itne dino ke baad mil kar hadd se zyada khush thi!! Sath mein Mahir ki Maa bhi thi, toh Bela ko apne reaction control karne pade!!!
Mahir ki Maa boht khush thi...
Vo teeno Mahir ke flat mein aa jate hain!! Jaise hi uski Maa itna acha ghar dekhti hai, uski toh khushi ka koi thikaana hi nahi tha!! Mahir unko phone par jaise batata tha, yeh ghar toh usse bhi kyi zyada sundar tha!!!
Bela un dono ko Pani serve karti hai...
Toh Mahir ki Maa Bela ko apne paas hi baitha leti hai...

Maa - toh tum ho Bela!!!
Mahir tumahare bare mein boht karta hai...
Bela smile karti hai!!!

Aur vo Bela se uski raashi, kundali, khaandaan sab poochti hai😂
Sab kuch sahi tha, par Bela Mahir se zyada ameer thi🤣🤣
Vo teeno sath mein duniya bhar ki baatein karte hain!!
Then Mahir ki Maa aur Bela sath mein khana banate hain... Bela ko zyada nahi aata tha, par jitna vo kar sakti thi usne kiya!!
Raat hote hi Bela apne ghar jaane ki sochti hai!! Mahir ki Maa ke yahan hote, rukna theek nahi tha!!
Mahir usse drop karne ke liye jata hai!!

Bela - kya-kya bataya hai tumne apni mom ko??
Mahir - ke yeh ladki boht chaalu hai, tumhe apne control mein rakhegi!!
Bela Mahir ke kandhe par 3-4 baar maarti hai!!!
Mahir uska mazzak bana raha tha!!!
Bela - acha teh batao... kaisa raha trip??
Mahir - amazing tha!! Boht mazza aaya!!
Bela - mere liye kya laaye??
Mahir - kuch nahi!!!
Bela iss par thoda sa mooh bana leti hai!!!
Aur uske baad vo koi baat nahi karti...
Mahir usse itna kuch bata raha tha, par Bela reply nahi karti!!
Aise hi vo dono Bela ke ghar pe aa jate hain!!
Bela jaldi se utar kar door kholne hi lagti hai ke Mahir peeche se uska hath pakad leta hai!!!
Bela peeche dekhe bina "leave my Hand"
Aur isse pehle vo kuch aur bolti... Mahir apne ghutnon par baith kar Bela ki ring finger mein ek Ring daal deta hai!!
Bela usko palat ke dekhti hai!!!

Mahir bolna shuru karta hai "toh Bela g.... kya aap mujhse shaadi karengi?? Main pichle 1 saal se aapke pyar mein hoon.. aur samay se hum date bhi kar rahe hain... toh
Will you marry me??"
Bela ekdum se hairaan thi... and she says "YES"
Yeh sun kar Mahir ke chehre par ek alg si khushi aa jati jai.. aur vo Bela ko apni baahon mein uthaa kar andar le jaata hai!!!

Yeh sab Karan aur Tanya door se dekh rahe the!! Un dono ke hi chehron par gussa tha!!!

Strangers (Behir)Where stories live. Discover now