Mahir ke kehne par Bela ek do companies mein apna resume deti hai... aur interview ki wait karti hai....
Mahir aur Karan jis game par itni mehnat kar rahe the... finally aaj vo launch hone wali thi... jiske liye vo dono hi boht khush the!!!!
Karan haste huye "main duniya ka pehla boss hoon... jisne employee ke sath mil kar game banayi hai...
Warna mera kaam toh chose karna hota hai, aur reject karna!!!"
Mahir haste huye "tumko hi mera sample acha laga tha aur behtar banane ke liye khud hi beech mein kood pde!!!"
"Kyon ke mujhe yeh shooting games boht achi lagti hain!!!" Said Karan.
Tabhi wahan Tanya aa jati hai.. "toh Karan this is your last day in our office!!
Kal se apne yahan chale jaoge!!!"
Karan usko thoda gaur se dekhta hai... usse yeh baat achi nahi lagi thi... Tanya khud bhi jaanti thi ke Karan hi iss company ko handle karega!!!
Tab bhi yeh betuki baat kar rahi thi!!! Isse pehle vo kuch bolta....
Mahir uska hath pakad leta hai... jisse Karan ko pehle wali baat yaad aati hai....
Vo apne chehre par ek smile banata hai "hanTanya... kal ko tum bhi mujhe wahan
join kar rahi ho... iss company ko chod
kar!!"
Tanya smile karti hai....
Karan dheere se Mahir ke kaan mein bolta hai "it's tough!!!"
Mahir haste huye "han... par ho jayega!!! Usko notice karo....
Look at her eyes, lips, clothes or whatever you want to look at!!!"
Yeh keh kar Mahir wahan se chala jata hai...
Karan sach mein Tanya ko pasand karne ki koshish mein tha... par Bela pta nahi kahan se aa jati thi😂
Unki Game "Shooting shootouts" ek aur badi success thi!!!
Youth ko yeh game pasand aa rahi thi...
Iska theme, story, concept sab fantastic tha!!! Toh koi pasand na karne ki koi wajah hi nahi thi!!!
Jis par Mahir ko dedh saal mein doosra promotion mil raha tha!!!
It's amazing!!!!!
Uski Salary badh gyi, aur uske liye ek special holiday voucher arrange kiya jata hai...
A Trip to Norway!!!!
That's brilliant!!!
Mahir 2 voucher maangta hai... kyon ke vo sath mein apni Maa ko lekar jana chahta tha....
It's been one and half year ... usne apni maa ko gale nahi lagaya tha, uska khana nahi khaya tha!!!
Aur unse mila bhi nahi tha!!!
Karan Mahir se uski family details leta hai... aur usse tabhi pta chalta hai ke Mahir ki ek behan bhi hai!!!!
Karan hairaani se "you are so secretive!! Tumahari Behan bhi hai....
Bataya kyu nahi???
Aur kaun-kaun hain???"
Mahir smile karta hai "bas yhi 2 hain..."
Karan khushi se "teen book kar raha hoon... apni Behan ko bhi le jana!!!
Company kharcha kar rahi hai... isse badi baat kya ho sakti hai...
Aish karna!!"
Mahir preshaani mein "nahi, Vish nahi jaa payegi!!!"
Karan gambheerta se "Vish???"
Mahir samjhane ke lehje se "Vishakha!! Urf Vish!!!
Meri badi behan!!"
Karan - kyu nahi jayegi vo??
"Usse ghoomna pasand nahi..."
Karan ko yeh baat hajam nahi hoti "mujhse baat karwa!!!
Main manata hoon..."
Mahir naa mein jawaab deta hai... par vo zabardasti uska phone cheen leta hai!!!
Aur call logs mein sabse ooper Bela ke naam ka contact usse nazar aata hai....
Jisse dekh kar Karan ko 440 volt ka jhatka lagta hai!!!
YOU ARE READING
Strangers (Behir)
FanfictionThis story about two strangers Bela & Mahir, who met each-other Intentionally. And how they fell in kinda different relationship that can't be described.