Rab Ne Bana Di Jodi

566 83 140
                                    

Nhi jante..Pyaar kya hota hai?
Jo khud ko bhi
pata nhi hota hai,
Shayad aisa hi kuch hota hai.

Galon pe halki si laali
de jata hai,
Chehre pe mand mand muskaan chod jata hai,
Shayad aisa hi kuch hota hai.

Jab kisi ko khone ka darr har pal satata hai,
Aur yeh mann kehne se bhi ghabrata hai,
Shayad aisa hi kuch hota hai.

Ek dusre se baat kare bina hi,
Yeh jo humesha ke liye 
reh jata hai,
Shayad aisa hi kuch hota hai.

Kabhi saatve aasmaan par,
Toh kabhi zameen par
patak jata hai,
Shayad aisa hi kuch hota hai.

Par jisko bhi hota hai,
Ek sundar ehsaas de jata hai,
Jo shayad..Pyaar kehlata hai!

Ishq mein beshak ek intezaar hota hai, phir bhi ek itmenaan hota hai. Shayad yehi uska ek imtehaan hota hai, bina ijhaar ke bhi jahan ek iqraar hota hai. Yehi toh iska ikhtiyar hota hai, is ibadaat se badhkar kahan koi inayaat hota hai. Vhi rehmat, vhi ruhaniyat Sameer Naina ko milne ko thi, ek qurbat hone ko thi, ek ulfat phir se jo hone ko thi.

At Coonoor Railway Station
Sameer- Naina hum saara aaj mein nhi ghoom sakte. Ek toh bina mujhe btaye Return Ticket ek din jaldi karwa di. Upar se do din ka ghoomna ek din mein karna chahti hoon.

Naina- Agar main tumhe btati toh tum kya prepone karte. Aur sirf ek din ka Honeymoon chota kiya hai Sameer woh bhi isilye kyuki mujhe sabki yaad aa rhi thi, usmein itna kyu chilla rhe ho.

Sameer- Baat mat karna tum mujhse ab, aur ab apna Password bhi change kar lunga main.

Naina- Change karne ke kya fayda, rakhoge toh mujhse hi juda kuch.

Sameer- Chalo ab yahan se Toy Train bhi aa gayi hai. Lekin yaad rakhna bolna mat mujhse.

Both settled down on their respective seats of the Train. She looks at him with mischievous eyes and pulls his cheeks.

Sameer- Naina pareshan mat karo.

Naina- Ab maan bhi jayo na Sameer. Ek din Honeymoon ka Trip karne par itna naraaz rahoge kya. Subah se ladd rhe ho mujhse.

Sameer- Kaha na nhi baat karni. Samajh nhi aata. Ab tum bhi chupchap baith jao nhi toh mujhe kahin aur jakar baithna padega.

She turns her face to the window side of the train and makes a Sad Smiley on the misted glass.
He saw this and leaning on her side writes something on the same misted glass.

Sameer- I.L.U.

He pressed her gently and whisper these three letters into her ears. She again puts over the mist on the glass and this time draws a Happy smiley on it.

Sameer- ILU..ILU..ILU..

Naina- Yeh ilu ilu kya hai yeh ilu ilu..

Sameer- Jab baag mein koi
Phool khila toh bhavre ne kaha Ilu ilu ilu ilu,
Jab parvat pe chhayi kaali ghata toh boli hawa Ilu ilu ilu ilu.

𝐓𝐄𝐑𝐄 𝐋𝐈𝐘𝐄जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें