Ek Haqeeqat..

584 84 21
                                    

Khwaab toh bahut se dekhe the, par haqeeqat toh ek hi thi. Sameer Naina ne ek khwaab buna tha, jisme woh ek duje ke sath the, ek duje ke pass the, ek duje ke the. Par haqeeqat..haqeeqat toh isse kahin juda thi jahan woh ek duje se alag the, ek duje se dur the, aur ek duje ke bhi nhi the.

In Sameer's House
Vivek- Vishakha aaj ghar par dinner ke liye mere bahut hi special guest aa rhe hai. Toh sab ache se hona chahiye aur apne laad sahab ko bhi zara yeh baat ache se samjha dena.

Sameer- Kya samjhana hai mujhe.

Vivek- Yehi ki apna yeh bartaav aaj shaam ko mere mehmano ke samne mat dikhana.

Sameer- Agar..

Vishakha- Sameer..bas.

In evening
Vivek- Aur kaise hai Mr. Parekh aap. Aur yeh aapki beti hai?

Mr. Parekh- Ji bhaisahab, meri beti hai yeh Sunaina.

Vivek- Badi pyaari bachhi hai. Aur yeh meri patni Vishakha aur yeh mera beta Sameer.

Sunaina- Ohh.. Hi Sameer.
Mujhe nhi pata tha ki main tumhare ghar aa rhi hu.

Sameer(to himself)- Mujhe bhi kahan pata tha ki tum hi mere param pujya pita ki special guest ho. Agar pata hota ki tum aa rhi ho toh kab ka bhaag gaya hota yahan se.

Vivek- Beta tum dono ek dusre ko jante ho.

Sunaina- Ji Uncle hum ek hi class mein padhte hai, balki hum toh ache friends bhi hai. Haina Sameer.

Sameer(with fake smile)- Hmm.

Vivek- Jao bachho tum hum bado mein rehkar bor ho jayoge. Apna jakar enjoy karo.

Sunaina- Ji uncle. Chale Sameer.

Sameer- Chalo.
(to himself)- Kahan fasa diya. Ab ise jhelo. Meri so called friend.

After bidding goodbye to unwanted guests.

Vivek- Sameer ek baat ab kaan khol ke sun lo tum. Mr. Parekh mere hone wale business partner hai aur Sunaina unki beti. Toh dhyaan rakhna ki mujhe koi shikayat na mile. Dekh rha tha main aaj ki tum kaise mooh chida ke us bechari bacchi se baat kar rhe the.

Sameer- Ab aap chahte kya hai ki main kisse baat karua ya kisse nhi, yeh bhi aapko decide karna hai.

Vivek- Vishakha samjha lo apne is shehzaade ko. Tumhari wajah se hi..

Sameer- Bas..maa ko kuch mat kahiye. Aap yehi chahte hai na ki main usse ache se baat karu..toh kar lunga.

Next Day in School
Preeti- Wah Naina..aaj toh tu kya kamaal lag rhi hai. Main kehti thi na ki agar tu thode apne baal katwa legi toh aur achi dikhegi.

Naina- Bas kar na Preeti, thoda sa hairstyle hi change kiya hai, koi heroine nhi ban gyi hu main.

Preeti- Par behan teri yeh zulfeein.

Naina- Tu bhi na bas kar yeh tareef karna.

Sunaina- Kiski tareef ho rhi hai.

Preeti- Tumhari...
Toh nhi ho rhi thi.
Woh Naina ne baat katwaye hai na toh bas..

Sunaina- Baal katwane se kya hota hai.
Choodo mujhe kya karna hai..
(shoutingly)- Sameer.

Sameer(to himself)- Phir se aa gyi yeh.

Sunaina- Hi..kaise ho.

Sameer- Jaisa kal tha Sunaina.
Main abhi aata hu Munna Pandit se milke.

𝐓𝐄𝐑𝐄 𝐋𝐈𝐘𝐄जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें