School hi shayd woh jagah hai jo humari zindagi ko ek nayi zindagi deti hai, vhi us zindagi ke beej ko ropa jata hai, vhi par dosti ke phool khilte hai, vhi par milli hui nayi seekh humari zindagi ke ped ko roz sinchti hai, vhi shayad hum mein se kuch logon ko apna pyaar bhi milta hai jo us ped ke phal ki tarah hi meetha hota hai.
Agar koi mujhse kabhi puche ki mohabbat karne ki sabse shi umar konsi hai toh mere khayal mein woh bachpan hi hai jo hume sache pyaar ka sacha ehsaas karwa sakta hai, manti hu is umar mein hum jaane anjaane bahut si nadaniyaan aur galtiyaan bhi kar baithte hai par ishq ke liye woh sachai, woh masoomiyat, woh beparwah koshishe, woh nirdosh mastiyaan bhi toh isi umar mein hi hoti hai.
Aisa sacha aur masoom pyaar hi toh kiya tha Sameer Naina ne, jahan ek duje ke sath hone ki umeed se zyada agar kuch unke liye mayne rakhta tha, toh woh tha ek duje ka sath hone ka khwab jo woh khuli aankhon se ek duje ke sath hi dekh rhe the. Aur inki School life inhe milane ki, inke khwab mein dhero rang bharne ki hazaaro nakamyab koshishe bhi kar rhi thi.In Classroom
Mam- So students har saal ki tarah is saal bhi apka school annual function organize karne wale hai next week. Aur is baar humari class religious stories ko usmein dikhane wali hai.
Toh aaj uske liye characters ki selection hai niche hall mein, jismein aap sabko aana hoga.After Class
Munna- Bhai main toh koi aisa character karuga jismein mujhe zyada kuch karna na pade, bas aaram hi karta rahu.Pandit- Toh tu kumbhkaran ban jaiyo, usmein tujhe kuch nhi karna hai, bas sote rehne hoga.
Munna- Oye Ponga, zyada uchal mat. Humare school ka ekmatra kumbhkaran toh tu hi hai. Bhukaad kahin ka.
Sunaina- Main toh is baar koi positive character karugi, jaise Sita ka, Radha ka.
Mundit(whispering)- Shakal aur Soch toh Sharupnakha jaisi hai aur role karna hai inhe Sita wala.
Kartik- Arey role chahe kuch bhi ho, bas mazaa aana chahiye.
Preeti- Han toh tum Raavan ban jana, din bhar haste rehna.
Kartik- Tum toh..
Mundit- Chod yeh sab, Sameer tu bhi kuch bol na, tujhe kaisa role chaiye.
Sameer(inaudibly)- Role chahe kuch bhi ho, bas Naina ke sath hone chahiye.
Preeti- Aur Behan tu bhi bta na tujhe kaisa role chahiye.
Naina- Jo bhi role mile hume bas use dil se karna chahiye. Aur waise bhi humare decide karne se kya hoga.
Kuch der baad sab selection ke liye niche pahunchte hai.
Mam1- Dekhiye yeh Savitri ke role ke liye toh mujhe Naina shi lag rhi hai.
Mam2- Aur Satyvaan ke liye mujhe Sameer aur Kartik dono shi lag rhe hai.
Mam1- Toh in dono mein se kise lena hai.
Ek kaam karte hai dono ke sath karke dekh lete hai ek baar, phir soch lenge.Mam sabko characters ke baare mein bata deti hai.
Mam1- Naina tum apna role rehearse karke dekh lo ek baar Sameer aur Kartik ke sath.
Phir un mein se hum ek ko select karege tumhare opposite.Naina- Mam Kartik ke sath?
Mam2- Kyu koi problem hai kya.
Naina- Mam shayad main uske sath comfortable feel nhi karugi yeh role karte hue. Toh agar aapko koi problem na ho toh aap Sameer ko hi woh role de dijiye.
Mam1- Theek hai. Waise bhi humne use shortlist kiya hi tha.
Sab rehearsal start kar dete hai.
आप पढ़ रहे हैं
𝐓𝐄𝐑𝐄 𝐋𝐈𝐘𝐄
FanfictionTERE LIYE - A Love saga; a story that binds two souls. When a person become part of your dreams, when in all your prayers your beloved resides, and with every shooting star you wish to be together, then you are intoxicated by love. When you finally...