Love is the most expensive
and
yet least appreciated asset.Waqt beetta gaya, din gujarte gaye, Class badalti gayi par inka Rishta, inka pyaar vhi ka vhi khada tha.
Dono ko apne pyaar ka ehsaas toh hua par us ehsaas ko woh aage nhi badha pa rhe the. Isme galti unki bhi nhi thi, umar ke us daur mein woh is jajbaat ko mehsoos toh kar pa rhe the par use samajh nhi pa rhe the.In School
Preeti- Chal Hema, Kamya, Naina hum sab milke kuch khelte hai.Naina- Par khelege kya hum log, bahar toh baarish ho rhi hai?
Preeti- Haan toh yahin khelte hai na aur tumhe pata hai maine na ek nayi game ke baare mein suna hai, hum sab vhi khelte hai.
Aur us game ka naam hai 'Truth and Dare'.Kamya- Suna toh humne bhi hai is game ke baare mein toh chalo vhi khelte hai.
Preeti turns the bottle and stops at Kamya.
Preeti- Toh Kamya Truth ya Dare.
Kamya- Umm..Truth.
Preeti- Acha toh phir tu yeh bta ki tera Crush kon hai. Aur sach sach btaiyo.
Kamya- Woh apna Senior hai na Rahul woh.
Preeti- Ohho..
Naina gets very confused after seeing all this.
Naina- Preeti jara chal na mere sath mujhe tujhse kuch baat karni hai.
Preeti- Kya Naina abhi game chal rhi hai na.
Naina- Please chal na Preeti.
Preeti- Acha chal bata kya ho gaya.
Naina- Woh Preeti ma..mai..
Preeti- Tujhme Bakri ki aatma toh nhi aa gyi jo kab se mai mai kar rhi hai
Saaf saaf bol na Naina.Naina- Yeh crush ka kya matlab hota hai.
Preeti(laughing)- Sach mein Naina tujhe Crush ka matlab nhi pata. Tu shi mein class ki topper hi hai na.
Naina- Ho gaya tera ab tu bta rhi hai ya main kisi aur se puchu.
Preeti- Pagal ho gyi hai kya agar tune kisi aur se pucha na toh sab hasege tuhpe.
Hmm.. toh tujhe Crush ka matlab janna hai.
Crush matlab jab aap kisi ko pasand karte ho, use like karte ho aur samne wale ko yeh bta bhi nhi pate.Naina- Toh yeh toh Pyaar hua na.
Preeti- Nhi Buddhu Pyaar alag hota hai aur Crush alag. Dono mein bahut farak hota hai.
Ab samjhi meri Topper.Naina- Hmm..
(to herself)- Toh kahin jo main Sameer ke liye feel karti hu woh sirf ek attraction toh nhi. Kahin woh sirf mera ek Crush toh nhi hai. Jise main Pyaar samjh rhi hu kahin woh sirf meri Pasand toh nhi.Naina's VO
Us din main ek aisi do raah par khadi thi jahan par mujhe aage ka raasta nhi dikh rha tha.
Main Pyaar aur Pasand ke beech mein phasi hui thi. Nahi samjh pa rhi thi ki jo main Sameer ke liye mehsoos karti hu woh Ishq hai ya sirf ek infactuation.
Aisa nhi tha ki yeh duvidha sirf mujhe ho rhi thi balki aaj tak jisne bhi kabhi pyaar kiya hoga uske mann mein yeh sawal hamesha aaya hoga ki kya woh asal mein Pyaar hai ya phir sirf ek Pasand.
Ab isme galti meri bhi nhi hai, main jin Hindi Movies ko dekhkar badi hui thi un Filmon mein Pyaar jaanne ke tarike toh bahit btaye the par kabhi Pyaar aur Pasand ke beech mein fark karna nhi btaya. Agar btaya hota toh us 11 saal ki Naina ko Crush ka matlab pata hota.On the other hand, Sameer had listened to Naina and Preeti talks and the dilemma that she was going through till now, he was undergoing the same.
Munna- Chal Sameer canteen chalte hai bahut bhukh lag rhi hai.
Sameer- Nhi Munna tum log jayo mera mann nhi hai. Aur main half day leke ghar ja rha hu.
Toh tum teachers ko inform kar dena.Pandit- Kya ho gaya Sameer, chal hum tere sath chalte hai.
Sameer- Nhi main chala jayuga tum yahan ka dekho.
In Sameer's House
Sameer- Maa kahan ho.Vishakha- Kya ho gaya aur aaj jaldi kaise aa gaya.
Sameer- Woh tabiyat thodi theek nhi lag rhi thi toh jaldi aa gaya school se.
Vishakha- Kitni baar bola hai ki apna dhyaan rakha kar. Chal aaja tujhe main sula deti hu.
He lies in Vishakha's lap.
Sameer- Maa ek baat puchu.
Vishakha- Han puch..
Sameer- Maa yeh Pyaar aur Pasand ek nhi hote, in mein kuch farak hota hai kya.
Vishakha- Tu aaj yeh sab kyu puch rha hai.
Sameer- Woh toh bas aise hi, aaj ek lesson mein yeh sab padha tha toh bas isliye pucha.
Vishakha- Pyaar aur Pasand waise toh ek jaise hi lagte hai par dono mein ek bareek sa farak hota hai.
Dekh jaise tujhe Sachin Tendulkar acha lagta hai toh woh sirf teri pasand hai, pyaar nhi.
Pasand toh sirf ek attraction hai jo ek pal mein ho jati hai toh dusre pal mein aap use bhul bhi jate ho par Pyaar.. Pyaar toh woh khoobsurat ehsaas hota hai jo jab hota hai tab aap us mein sab kuch bhul jate ho, par use kabhi nhi bhul pate.
Pasand toh sirf bahar ke guno ko dekhkar kiya jata hai par Pyaar woh toh kisi ke Dil ko mehsoos karke kiya jata hai.
Pasand toh kabhi bhi badal sakti hai par Pyaar woh toh khud aapko badal deta hai, aur behtar bna deta hai.
Pasand ko dhundna padta hai aur
Pyaar toh khud aapko dhund leta hai. Aur aise dhundta hai ki aap phir kabhi use aasani se chod nhi pate.
Kisi ki khoobiyaan janne ke baad agar koi acha lagne lage..toh woh Pasand hai. Aur kisi ki kumiyaan janne ke baad bhi agar koi acha lagta rahe..toh woh Pyaar hai.
Pyaar sirf kisi ko pana nhi hota balki kisi khaas mein khud ko khona hota hai. Pyaar mein koi haar jeet nhi hoti balki jise saccha pyaar mil jaye usse badi koi jeet nhi hoti. Pyaar ek aisa jajbaat hai jise shabdon mein bayaa nhi kiya ja sakta, ise toh sirf mehsoos kiya ja sakta hai, yahan Dil se.
Ab samjha Pyaar ke baare mein.Sameer- Haan maa. Ab sab samajh gaya. Thank You.
Sameer's VO
Us din Maa ne meri saari uljhane suljha di thi. Mujhe meri Life ka sabse bada gyaan jo diya tha.
Naina ke liye jo main feel kar rha tha aur jise main pyaar samajh rha tha woh pyaar nhi tha, lekin woh sirf ek attraction bhi nhi thi. Balki usse kahin zyada tha.
Sirf I Love You bolne se pyaar nhi hota. Yeh teen shabd kehne mein jitne aasan lagte hai, nibhane mein utne hi mushkil hai. Yeh baat mujhe us din samjh aa gyi thi.
Us waqt main zindagi ke us padaav par tha jahan meri gaadi teen "P" par aakar atak gyi thi. Pyaar, Pasand aur Padhai.
Jahan sab bache padhai mein lage hue the wahan main aur Naina Pyaar aur Pasand ke beech mein uljhe hue the.Dono Pyaar aur Pasand ki majdhar mein phase hue the. Nhi pehchan pa rhe the apni feelings ko. Jarurat pyaar ya pasand ko pehchanne ki nhi thi, jarurat thi toh sirf us lamhe ko jeene ki jo lautkar nhi aane wala tha. Jarurat thi toh sirf us rishte ko ek khoobsurat kahani bnane ki naki pyaar ya pasand ki paheli bnane ki, jarurat thi toh bas aur thode waqt ki jo inke rishte ko aur majboot bna sake, jo inhe inke Pyaar ki manzil tak pahuncha sake.
Mausam ka mizaaz
kuch aur hai,
Is daur ka aagaaz
kuch aur hai,
Upar wale ka andaaz
kuch aur hai,
Hum chahte kuch aur woh deta
kuch aur hai...।।तेरे लिए।।
आप पढ़ रहे हैं
𝐓𝐄𝐑𝐄 𝐋𝐈𝐘𝐄
FanfictionTERE LIYE - A Love saga; a story that binds two souls. When a person become part of your dreams, when in all your prayers your beloved resides, and with every shooting star you wish to be together, then you are intoxicated by love. When you finally...