Lafzo mein hai taareff ek chehre ki,
Ek Mehboob ki muskuruhat se chalti hai shayri dusre mehboob ki.Kitna ajeeb tha na ki Sameer aur Naina ko ek sath do do ehsaas hue. Jahan ek taraf mohabbat mein hone ka ehsaas hua toh vhi dusri taraf Pyaar aur Pasand ki paheli ka bhi ehsaas hua tha.
Par phir bhi Pyaar toh hona hi tha. Aisa nhi tha ki woh roz milte the ya roz baatein karte the par jab bhi woh takrate the woh din yaadgaar ban jata tha. Aisa hi ek yaadgaar din inki zindagi mein aaya tha jisne inke rishte mein aur mithaas bhar di thi.In School
While climbing stairs of school.Sameer- Hi!
Naina- Hi!
Tumhe yeh chashmah kab laga.Sameer- Kal hi laga par tum itna kyu shock ho gayi.
Naina(laughing)- Ab toh tum bhi meri tarah Chashmish ho gaye ho.
Sameer- Han tumhari tarah.
Par mera yeh Chashma utar jayega jaldi, samjhi Moti.Naina- Don't call me that, Chashmish.
Sameer- Main toh kahuga Moti..Moti..Moti.
Naina- Mujhe baat hi nhi karni tumse Chashmish.
Sameer- As your wish Moti.
Sameer's VO
Us din main yeh baat maan hi gaya tha ki History repeats itself.
Tabhi toh us din usi jagah par vhi baat Naina ne mujhse kahi jo maine usse kuch saal pehle kahi thi. Pehle main use Chashmish kehke satata tha aur us din se usne bhi mujhe yeh kehke chidana shuru kar diya tha.
Par yakeen maniye uska aise chidana aur mera majak bnana mujhe bilkul bura nhi lagta tha. Balki uski hasi dekhke toh mano mera dil bhi hasne lagta tha.In Classroom
Teacher- So Students abhi aap sab bacchon ko niche ek programme ke liye ground mein ekattha hona hai. Aur yeh T-Shirts aap apni Uniform ke upar pa lijiye jisse aap sab us social cause ke dress code ko bhi follow kar payege.
Am I Clear to you.Students- Yes Mam.
Munna-Yaar acha hua kum se kum is programme ki wajah se aaj ka Test toh tala.
Sameer- Sirf aaj ke liye tala hai kal toh hoga hi.
Pandit- Kya Sameer tune suna nhi ki kal kisne dekha hai.
Sameer- Chal ab yeh sab baatein chod aur yeh T-Shirts pehan ke niche chalte hai.
Everyone gets ready, reaches to the playground and stands according to their height, where Naina stands at the forefront while Sameer stands at the last. All the students starts chanting the prayer with their eyes closed.
Naina(to herself)- Jab jab aankhein bandh karti hoon bas Sameer hi nazar aata hai.
She couldn't able to concentrate and then opens her eyes with a jerk.
Naina- Tum..Yahan?
Sameer- Haan main Yahan.
Naina(to herself)- Yeh kya aankhein bandh karti hu toh bhi yehi najar aata hai aur aankhein kholti hu tu bhi yeh hi najar aata hai.
Naina(to Sameer)- Tum yahan kya kar rhe ho, Mam ne kaha tha na ki sab height ke according hi khade honge.
Sameer- Janta hoon par woh line lambi ho gayi thi toh Mam ne hi mujhe yahan aage baithne ko kaha hai.
Naina- Ohh..acha.
Umm.. waise tum is T-Shirt mein ache lag rhe ho aur is chashme mein bhi. Kaafi handsome lag rhe ho.
(to herself)- Yeh kya keh diya maine ab pata nhi kya sochega mere baare mein.Sameer- Ohh.. Handsome..Thank You. Waise tum bhi achi lag rhi ho is mein. I mean aur cute lag rhi ho Moti.
Naina- Yeh taareff thi ya phir taana.
Sameer- Umm.. taareff hi samjh lo. Achi lag rhi ho. Ab toh khush.
Sameer's VO
Galti se hi shi par Pehli baar Naina ne meri taareff ki thi. Us din uske mooh se apne liye Handsome sunna kisi Oscar Award ke jeetne se kum nhi tha mere liye. Hota bhi kyu nhi apni Mohabbat se Pyaar bhare shabd sunna aisa tha jaise Registaan mein Gulaab ka khilna.
Waise taareff toh maine bhi ki thi uski. Woh alag baat hai ki use achi nhi lagi thi. Kitna chidata tha main use Moti kehke. Infact aaj tak chidata hoon.
Chahta toh tha uski taareff mein aur bahut kuch kahu par phir khayal aaya ki ek line mein apni Naina ke kiye kaise kuch keh pata. Par jante hai sabse zyada kya pasand hai mujhe Naina mein, uske Naina, uski aankhein; kyuki jab kabhi unhe gaur se dekhta tha toh un mein main hi nazar aata tha.Kehte hai na ki kahin baar ek poori zindagi bhi choti pad jati hai jeene ke liye aur kahin baar sirf ek lamha hi kaafi hota hai jeene ke liye.
Aise hi Pyaar bhare lamhe Sameer Naina ne us din jiye the ek dusre ke sath jisne inki Mohabbat mein taareff ka ek aur rang bhar diya tha.
Woh din unki zindagi ke yaadgaar dino mein se ek tha. Kyuki us din pehli baar unhone ek dusre ki taareff jo ki thi. Sirf pyaar karna hi kahin baar kaafi nhi hota balki use dikhana bhi padta hai khaskar tab jab apke pyaar ki shuruat ho.।।तेरे लिए।।
आप पढ़ रहे हैं
𝐓𝐄𝐑𝐄 𝐋𝐈𝐘𝐄
FanfictionTERE LIYE - A Love saga; a story that binds two souls. When a person become part of your dreams, when in all your prayers your beloved resides, and with every shooting star you wish to be together, then you are intoxicated by love. When you finally...