Kuch Na Kaho

620 95 32
                                    

Judaai ke milan ke baad ka mazaa hi kuch aur hai, khamoshi ke baad baaton ka mazaa hi kuch aur hai. Pyaar ke dard ke baad pyaar ki hasi ka mazaa hi kuch aur hai.
Naya shehar tha par ishq vhi purana tha. Aankhein takrane ke baad ab waqt tha kuch baaton ka. Khamoshi bhari baatein.
Aur waise bhi khamoshiyon ka mazaa alag hai, kuch keh kar baat bigadni nahi chahiye.

Naina's VO
Mujhe nhi pata tha ki Mumbai mein meri life ka teesra phase shuru hona likha hai. Meri is kahani ke do panne kab poore ho gaye, mujhe pata hi nhi chala tha. Pehla chapter jisme mera pehla pyaar tha. Dusra chapter jisme judaai aur uska dard tha. Ab baari thi teesre phase ki jisme na jaane mujhe kya milna tay tha. Pyaar ya phir uska dard.
Lekin yeh phase, kahaani ka yeh padaav meri zindagi badalne wala tha. Aur Mumbai aana us padaav ki ek shuruat thi.

In Seminar Hall
Naina(to herself)- Ab tak nhi aaya woh, aur kahin dikh bhi nhi rha matlab ki yeh mera sapna hi tha. Agar yahan hota toh ab tak toh Seminar Hall mein aa hi jata. Sach mein uske chakkar mein pagal ho jayugi main kisi din.

Host- Good Morning Everyone present over here. First of all I on behalf of our College welcomes you all to this National Seminar with the Theme Entrepreneurship.
So let me introduce to today's Resource Person who is going to preside this Seminar's Sessions.
Is Seminar ke theme ko dimag mein rakhte hue hi humne aaj ke apne Resource Person ko yahan bulaya hai. Usually Resource Person ke liye Colleges ya Universities Professors ya Academicians hi aate hai. Lekin humne is baar ek Entrepreneur ko bulaya hai jo hume humare theme Entrepreneurship par Theoratical Knowledge ke saath saath Practical aspects ke baare mein bhi btayege. Itni kum age mein, itne kum time span mein inhone apna khud ka establishment taiyar kiya hai woh bhi is Mumbai shehar mein. He is a real Entrepreneur for us in true sense. So please give a big round of applause to Mr. Sameer Maheshwari.

Naina(to herself)- Sam..Sameer. Sach mein hai, Sapna nhi tha.

Sameer ko dekhke Naina shocked ho jati hai.

Sameer(to himself)- Toh Naina asli mein hai. Matlab main koi khwaab nhi dekh rha tha.

Host- Mr. Maheshwari baithiye na.

Sameer was continuously staring at Naina.

Host- Mr. Maheshwari...Mr. Maheshwari Please baithiye.

Sameer- Yes.

Dono ki nazre ek dusre ko nhi chod pa rhi thi.

Sameer's VO
Woh kehte hai na do cheezien zindagi mein kabhi nhi badalti.
Pehla Love for School. Aur dusra Love found at School.
Aur us din meri aankhon ke saamne woh dono cheezein thi. Naina ko dekhke mujhe mere school ke din yaad aa gaye the. Aur sath mein mera woh pyaar jo mujhe usi School mein mila tha, mera pehla pyaar, aur aakhri bhi. Us pal use dekhne ke baad mann kar rha tha ki bas use yuhi dekhta hi jayu. In fact mere liye toh tab us Hall mein aur koi exist hi nhi karta tha. The toh sirf hum teeno. Main, Naina aur humara Pyaar.

ओह! यह छवि हमारे सामग्री दिशानिर्देशों का पालन नहीं करती है। प्रकाशन जारी रखने के लिए, कृपया इसे हटा दें या कोई भिन्न छवि अपलोड करें।
𝐓𝐄𝐑𝐄 𝐋𝐈𝐘𝐄जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें