Love U Zindagi

579 88 15
                                    

Dil jarur do the, par dhadkan toh ek hi thi!
Raahein jarur do thi, par manjil toh ek hi thi!
Khwab jarur do the, par haqeqaat toh ek hi thi!
Ehsaas jarur do the, par mohabbat toh ek hi thi!
Saansein jarur do thi, par sargam toh ek hi thi!
Soch jarur do thi, par daastaan toh ek hi thi!
Sameer aur Naina jarur do shaksiyat the, par jaan toh ek hi thi!

Khwabon ki uljhan ke baad ab waqt tha ek aur naye twist ka jisne Sameer Naina ki kahani mein ek naya tadka lagaya tha.
Aur woh tha Drama Competition aur uske liye hone wali rehearsals.
Waise toh jab jab Sameer Naina sath sath hote hai toh bahut kuch hota hai
aur ab toh inke sath Preeti, Munna, Pandit, Sunaina, Kartik sab honge.
Ab yeh saat log jo ki Indradhanush ke saat rango jaise hai jab ek sath ayege toh pata nhi apne sath kya kya karname layege.

Naina's VO
Nahi janti thi ki humari kismat mein kya likha tha bas vishwas tha toh sirf apni mohabbat pe, apne Sameer pe. Aur isi vishwas ko ek dor ne bandha bhi. Woh dor thi Drama Competition jisne humare beech ke pyaar ki dhun mein naye sur jod diye the. Us drame ki wajah se jo ehsaas mujhe aur Sameer ko un dino mile the woh aaj bhi humare andar maujud hai. Par yeh raah utni bhi aasan nhi thi jitni lagti hai but jo bhi kaho Yeh hi toh baat thi un dino ki jisne in dino ko humare liye aur khoobsurat bna diya tha.

In School
Sabhi saat log Drame ki rehearsals ke liye ekathe hote hai.
Sameer- Toh tum sab log jante hi ho ki hum yahan kyu ekathe hue hai.
Sabse pehle main Drama ke baare mein btata hu jiski kahani maine khud hi sochi hai.

Mundit- Wah Wah! Wah Wah!

Sameer- Oh bhaiyo pehle mujhe bolne tob do.
Han toh humare Play ka naam hai "Love U Zindagi".
Toh basically yeh dosti ki ek kahani hai jiska plot college mein setup hoga, jisme thoda Love bhi hoga aur thoda Hate bhi.

Sunaina(to herself)- Aur yeh love aur hate dono mere pas hai. Love tumhare liye Sameer aur hate us behanji Naina ke liye.

Sameer- Han toh main pehle is play ke characters ke bare mein bta deta hu.
Pehla character hai Aditya ka jo ki College ka most eligible ladka hoga, apne dosto ke liye hi jeeta hai aur unhi ke liye kuch bhi kar sakta hai.
Aditya ke do dost hai jo ki sage bhai hai unka naam hai Sunny aur Bunny. Yeh dono bhi apni dosti ke liye kuch bhi kar sakte hai. Dono ke jokes jarur silly hote hai par hai dono hi zindadil.
Next character hai Kabir ka jo ki Aditya, Sunny aur Bunny ka hi dost tha par tha unse bahut hi alag. Baatein kum aur flirting zyada karta tha. Aur uske liye dosti sirf fayde aur nuksaan ke paimane par hi maapi jati thi. Woh college ka playboy tha.
Then character aata hai Aashna ka College ki most stylish girl jiske mann mein Aditya ke liye dosti se kuch zyada hi feelings hai, jiske liye woh koi bhi hadd paar kar sakti hai.
Next character hai Mehar ka jo is Group ki jaan hai ya yuh kahiye is group ki aan, baan aur shaan hai. Har kisi ki achi dost hai woh.
Aur Ab last character hai....

Yeh kehte waqt Sameer Naina ki taraf dekhta hai kyuki yeh character usne Naina ko sochkar hi toh likha hai.

Sameer- Toh last character ka naam hai Akanksha.
Apne naam ke hi tarah hai woh. Apni values par chalne wali. Jise college ke pehle din hi Aditya ke liye kuch feel hona start hota hai. Par woh confuse thi toh Aditya ki feelings ko leke. Bahar se jitni khoobsurat aur achi thi Akanksha usse kahin guna zyada woh dil ki bahut saaf thi. A girl born with a Golden Heart.
Toh yeh sab the is story ke characters. Yeh sabhi saat characters is story ke main hissa hone wale hai. Aur story bhi inhi ke around revolve hogi. Main chahta hu ki tum log khud apne characters chuno jismein tum sabko lagta hai ki tum fit baith sakte ho. Aur ek baat aur is story mein koi bhi main lead nhi hai, sabhi characters equally important hai toh apna role tum sab log aasani se choose kar sakte ho.

𝐓𝐄𝐑𝐄 𝐋𝐈𝐘𝐄जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें