Sameer Naina ki kahani beshak apni manzil tak dheere dheere pahunch rhi thi par iska safar bahut hi khoobsurat tha.
Par kehte hai na har khoobsurat chiz ko buri nazar bhi jaldi hi lag jati hai usi tarah inke khoobsurat safar ko bhi nazar lag chuki thi.
Ek taraf Sunaina aur Kartik jaise villains inke story ka hissa ban chuke the toh vhi dusri taraf halaat bhi inka sath nhi de rhe the.
Sunaina, Kartik aur inke halaat yeh teen pyaar ke dushman humare love birds ki zindagi mein bahut utar chadav lane wale the.In School
Sameer (to himself)- Char din ho gye aur yeh Naina ka kuch aata pata hi nhi hai.
Pata nhi yeh School kyu nhi aa rhi.
Ab pata bhi kaise karu na toh mere pass uska number hai aur aur na mujhe uske ghar ke baare mein pta hai.Then suddenly he saw Preeti crossing him.
Sameer- Preeti..
Preeti- Han bolo Sameer.
Sameer- W..wo..woh.. mujhe tumse Naina ke baare mein puchna tha.
Preeti- Tumhe kyu janna hai Naina ke baare mein.
Sameer (to himself)- Is Preeti ko bahut panchayat hai.
Preeti- Kuch kaha tumne?
Sameer- Woh Teacher ne mujhe bola tha ki yeh Topic ke baare mein main Naina se baat kar lu par woh aa hi nhi rhi.
Preeti- Ohh..acha.
Woh asal mein uski tabiyat thodi kharab hai actually thodi nhi kaafi kharab hai isliye woh School nhi aa rhi.Sameer- Oh God ab kaisi hai woh.
Preeti- Bhukhar toh abhi bhi hai. Par aa jyegi jald hi.
Sameer- Hmm.
In evening at Naina's House
Bela- Naina main mana kar rhi hu na toh manti kyu nhi hai tu meri baat.Naina- Par Mummy main aur chutti nhi le sakti.
Bela- Bhagwan jhuth na bulaye logon ke maa baap kehte hai ki humare bacche school nhi jate aur ek tu hai jiske Maa Baap use chutti dilaane par tule hue hai par phir bhi tu chutti nhi le rhi.
Naina(to herself)- Ab mummy main aapko kaise btayu ki char din ho gaye aur main Sameer se mili tak nhi yahan tak ki use dekha tak nhi.
Naina(to Bela)- Mummy ab main kaafi thik hu isliye ab mujhe school jane do.
Bela- Jaisi teri marzi.
Otherside at Sameer's House
Sameer (to himself)- Pata nhi kal bhi Naina aayegi ya nhi.
Hope so ab uska bhukhar shi ho.Vishakha- Sameer..Sameer..
Sameer- Han maa boliye.
Vishakha- Tujhe kya ho gaya tere mooh par kyu baarah baje hue hai.
Sameer- Woh maa mera ek dost bimar hai.
Vishakha- Kon Munna?
Sameer- Nhi.
Vishakha- Phir Pandit?
Sameer- Nhi maa
Woh Nai....Vishakha- Kya naam btaya.
Sameer- Wo..woh.. Nai..Nai..Naitik naam h uska.
Vishakha- Acha..
Toh phir tu apne dost ka haal chal jake puch aa.Sameer- Woh maa mujhe uska address nhi pata.
Vishakha- Toh Phone par baat kar le.
Sameer- Mera pas uska Number bhi nhi hai.
Vishakha- Kamaal ka dost hai tu bhi Sameer. Na number hai aur na hi address.
Chal bhagwan use jaldi shi kar dege.Sameer- Haa maa.
(to himself)- Please Bhagwan ji meri Naina ko thik kar dijiye.
Mere liye na shi uski khatir hi. Woh toh aapko kitna manti bhi hai.Raat bhar dono karwate badalte hue sone ki koshish kar rhe hote hai.
Ek taraf Naina jise sirf bimaari wala bhukhar hi nhi tha balki Pyaar ka bhukaar bhi tha jis wajah se woh Sameer se dur nhi reh pa rhi thi. Aur vhi dusri taraf Sameer Naina ke liye pehli baar duaayein maang rha tha.Next Day in School
Mundit- Kya yaar Sameer kitne dino se dekh rhe hai tu humesha murjhaya sa rehta hai.Sameer- Kuch nhi yaar bas shayad thodi tabiyat nhi shi.
Someone- Toh..tumhari bhi tabiyat nhi shi.
Sameer(happily)- Naina tum..
Munna- Dekh rha hai Ponga kitne din baad iske chehre par hasi dekhi hai.
Pandit- Han chenu daal meim kuch toh kaala hai.
Naina- Han woh Preeti ne btaya ki tumhe mujhse koi topic puchna tha.
Sameer- Konsa topic?
Preeti- Arey vhi topic jo kal tum mujhe dikha rhe the ki Naina se puchna hai.
Sameer- Acha woh topic.
Woh sab chodo pehle tum yeh btayo ki ab tumhara bhukhar kaisa hai.Naina- Han ab pehle se better hai.
Then Sameer checks her forehead.
Naina- Sameer kya kar rhe ho.
Sameer- Relax sirf dekh rha tha ki tumhe ab bhi toh kahin bhukar nhi hai.
Naina- Toh dekh liya aapne Dr. Sameer Maheshwari.
Sameer- Han dekh liya aur abhi bhi lag rha hai thoda toh tum aaram karo.
Zyada padhai mat karna.Naina- Okay.
Then she smiles wholeheartedly.
Otherside
Sunaina(to herself)- Toh phir se yeh Naina School aa hi gyi.
Itne din nhi aayi thi toh kitna acha lag rha tha. Sab mujhe puch rhe the mere aage piche ghum rhe the.
Par ab is Naina ke aane ke baad sab ispar hi dhyaan dege.
Iska kuch toh karna hi padega waise bhi abhi yeh bahut kamjor hai. Aur yeh hi shi waqt hai ise aur kamjor karne ka.Sirf Sunaina hi nhi balki koi aur bhi tha jise Naina khatakti thi.
Kartik(to Naina)- Oh Welcome Ms. Aggarwal.
Aap nhi janti ki kitna yaad kiya hai humne aapko.Naina- Ohh. Really BHAIYA.
Kartik- Lagta hai bimar hone ke baad bhi akal thikane nhi aayi.
Sameer- Kartik Mind your tone.
Kon aise ek ladki se baat karta hai.Kartik- Arey Sameer tujhe kya ho gaya hai. Main toh apni moohboli behan se baat kar rha hu.
Sameer- Chal ab yahan se.
Jaate waqt Sameer Naina ko ek assurance de jata hai ki woh hai uske sath.
Kartik (to himself)- Tumhe toh main dekh hi lunga Naina Aggarwal. Aur Sameer tujhe bhi.
Naina's VO
Woh bhi kya din the jab bina galti ke bhi bahut log mere; actually mere nhi mere aur Sameer ke pyaar ke dushman bane baithe the.
Ek toh mera bhukhar aur dusra ek se badhkar do do dushman.
Par yeh baat toh mujhe tab bhi pata thi aur aaj bhi pata hai ki Sameer ke hote hue Kartik Sunaina ya koi aur mera kuch nhi bigad sakta tha. Par koshish bahut ki thi unhone khaskar us umar mein jab yeh baatein hum bacche soch bhi nhi sakte the.Kartik aur Sunaina jaise log har ek ki zindagi mein hote hai. Par unka samna karne ke liye Sameer aur Naina bhi hote hi hai.
Jitna gehra inka pyaar tha utni hi inke pyaar mein adchane bhi thi. Jo inke Ishq ki daastan ko aur majboot bna rhi thi.।तेरे लिए।तेरे लिए।
![](https://img.wattpad.com/cover/192914268-288-k855729.jpg)
आप पढ़ रहे हैं
𝐓𝐄𝐑𝐄 𝐋𝐈𝐘𝐄
फैनफिक्शनTERE LIYE - A Love saga; a story that binds two souls. When a person become part of your dreams, when in all your prayers your beloved resides, and with every shooting star you wish to be together, then you are intoxicated by love. When you finally...