Tere Mere Sapne..Ab Ek Rang Hai

351 67 144
                                    

Chand panne hi toh the,
Phir bhi ek kitaab se hum,
Uski choti si kahani mein the,
Behadh aur behisaab se hum.

Par kitabon mein hasti kahan simat payegi uski,
Samundar jiski likhega kahani,
Mitaye agar pani..kahani uski,
Yeh ambar hi phir likhega
uske aage ki kahani.

Phir hua yuh kuch aisa ki koi rooh ko chuu gaya,
Bin ek lafz kahe apni ek  dastaan bun gaya,
Berang pade panne ko yuh hi koi satrangi kar gaya,
Dar badar bikhre lafzo ko mila ek dilkashi..kavita bun gaya.

Sameer aur Naina ki ghazal si ek mohabbat thi, nazmo ki tarah hi thodi si khoobsurat bhi thi, kalam ki siyahi pehchaan bane unki, un tamaam kahani ke kisso ko bas ek khwaab ki hi toh jarurat thi. Aisa khwaab jise dekha bhi gaya, buna bhi gaya, likha bhi gaya..nhi gaya toh bas use jeeya.

Sameer handovers a hot cup of tea to Naina, who was sitting at the study table and writing constantly since hours.

Sameer- Aur kitna likhogi Naina, saari kitaab aaj hi likh dogi kya.

Naina- Abhi tak ek chapter tak complete nhi kar payi hoon. Pata nhi poori book kaise likhugi.

Sameer- Diary toh itna sochke nhi likhti thi.

Naina- Kyuki use padhne wale sirf main ya tum hote the. Lekin ise log padhege, aur abhi toh yeh bhi nhi pata ki padhege bhi ya nhi. Aur pata nhi jo padhege bhi unhe humari kahani pasand aayegi bhi ya nhi.

Sameer- Logon ke liye mat likho..bas apne dil ke liye likho, phir dekhna tumhare un sab logon ko pasand aayegi.

As she sips the tea, she sighs and felt relieved.

Prem- Mumma..aapka Homework kab complete hoga.

Naina- Homework?

Prem- Papa ne bataya mujhe ki aapki Teacher ne aapko bahut saara Homework diya hai. Isiliye toh aaj Papa ne hi mujhe mera Homework kara diya.

She looks at Sameer, amazed.

Naina- Aapke Papa ne aapko yeh nhi bataya ki mere Teacher kon hai.

Prem- Kon hai?

Naina- Aapke Papa..
Pata hai ahut Homework dete hai mujhe.

Sameer- Woh toh isiliye taki aapki Mumma ke sab dreams poore ho jaaye.

Prem- Mumma..main abhi aaya..

She asked from Sameer, but he shrugged his shoulders. A moment later, Prem came back and gave her his plush teddy pillow.

Prem- Mumma..yeh mere Teddy Pillow ko aap apne chair par rakh lo..phir aap bhi ache se apne homework kar payoge. Main bhi toh apna Homework isi ke saath karta hoon na.

She picks and makes him sit on her lap. And kissed on his cheek.

Naina- Par Mumma ka Teddy toh Prem hai.

Sameer- Aur Pillow main..haina.
Waise Naina maine bhi toh tumhe chai lakar di thi, par tumne mujhe toh woh nhi diya jo Prem ko diya.

Naina- Kya nhi diya.

Prem- Kissie..
Haina Papa.

Sameer- Right.

Both father and son hi-five each other. She again kisses on his son's cheek.

𝐓𝐄𝐑𝐄 𝐋𝐈𝐘𝐄जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें