Tere♥️Liye

662 99 119
                                    

Teri aankhon ke sab aansoo meri aankhon mein rehte hai,
Mohabbat yeh nhi, toh phir.. Mohabbat kise kehte hai.

Nazara kuch ho saamne
nazar mein tum hi rehte ho,
Ibaadat yeh nhi, toh phir..
Ibaadat kise kehte hai.

Khafa ho phir bhi baithe ho
mere pehlu se tum jud kar,
Shararat yeh nhi, toh phir..
Shararat kise kehte hai.

Tum aise muskurate ho ki
saansein ruk si jaati hai,
Tamazat yeh nhi, toh phir..
Tamazat kise kehte hai.

Sukoon milta hai bas mujhko
teri baahon ke ghere mein,
Aqeedat yeh nhi, toh phir..
Aqeedat kise kehte hai.

Teri aankhon ke raaste se
tere dil mein utarna hai,
Masafat yeh nhi, toh phir..
Masafat kise kehte hai.

School se shuru hua ek safar, Zindagi ki manzil tay karwa gaya tha. Bepanah chahne se lekar Bepanah chahte rehne tak ka woh safar. Aur us safar ki woh ghadi bas aa hi gayi thi jo dil ki ek rag ko choone wali thi, jo yaadon ko sanjone wali thi, jo mohabbat ko muqamaal karne wali thi.

At Sameer's House
Munna- Sameer, kya jarurat hai Shave karne ki. Halki phulki daadhi ke saath tu acha lag rha tha.

Sameer- Woh..Naina ko nhi pasand. Use chubhti hai.

Munna- Ohh..toh Bhabhi ke liye Clean Shave ho rha hai. Bhai tu toh is Pyaar mein gaya.

Pandit- Sameer..

Munna- Kya ho gaya tujhe Ponga.
Aise baasi Samose ki tarah kyu dikh rha hai.

Pandit- Tum dono ne aaj ki khabar nhi suni na.

Sameer- Kya ho gaya aisa.

Pandit- Bharat Bandh.

Sameer- Aah..

Hearing this Bharat Bandh, he gets distracted and gets a cuts due to the razor blade.

Munna- Bhai sambhal ke, itna bada cut maar liya.

Sameer- Yeh sab Bandh bhi aaj hi ke din hona tha.

Pandit- Bhai baat sirf itni nhi hai. Woh..

Munna- Ab aur kya ho gaya.

Pandit- Woh Phool wale ne Bidaai ki gaadi sajane ke liye mana kar diya hai.

Sameer- Par kyu?

Pandit- Arey is Bharat bandh ke chakkar mein na toh uske workers aa paye hai aur na hi phool.
Toh sajayega kaise.

Munna- Arey toh isme kya hai, gaadi toh hai na.

Sameer- Nhi, main Naina ko pehli baar aise bina saji hui gaadi mein nhi layuga.

At Naina's House
Bela- Bhagwan jhooth na bulaye ji aapne abhi tak uthaya nhi Naina ko.

Anand- Thodi der aur so lene do Bela humari beti ko, phir kal se toh..

Bela- Kaise rahege hum iske bina.
Mera toh yeh soch soch ke hi mann baitha ja rha hai.

Anand- Kab choti se itni badi ho gayi humari beti, Bela. Aaj humare ghar ki beti se kisi aur ke ghar ki bahu banegi. Meri ungli pakadkar chalne wali meri Naina aaj apne Papa se durr ho jayegi.

𝐓𝐄𝐑𝐄 𝐋𝐈𝐘𝐄जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें