Pyaar Ke Nagme

614 107 59
                                    

True Love means that they don't give up when the things get hard.

Kuch rishtey aise bhi ho jate hai yeh us daur mein Sameer Naina ko dekhkar andaaza hua. Na toh woh rishtey saath chod rhe hai aur na hi saath nibha rhe hai. Na khamosh hai aur na hi dhang se bol pa rhe hai.

In Hospital
Sameer(to Bela)- Mummy, Naina theek hai ab. Aur Doctor bhi Delhi se kal shaam tak aa jayege. Ab aap bikul pareshan mat hoiye.

Bela- Acha hua tumhari baat maan gayi Naina.

Sameer(to himself)- Manti kaise nhi, badle mein itna bada vaada jo liya hai.
(to Bela)- Ab se har baat manegi, waise Papa kahan hai.

Bela- Ghar gaye hai, keh rhe the kuch jaruri kaam hai.

In Naina's House
Anand is looking for some papers in the cupboard. And after finding them, he is leaving from there but stops seeing Sameer in front.

Anand- Sameer tum yahan..vahan Naina ko tumhari jarurat hogi.

Sameer- Vahan use jarurat toh aapki bhi hogi.
Aur yeh kagaaz lekar..aap is waqt..

Anand- Woh..kuch khaas nhi chodo.

Sameer- Dikhaiye jara.

He takes the paper out of his hands.

Sameer- Registry..yeh toh ghar ki. Iska aap..

Anand- Loan lene wala tha iske against.

Sameer- Treatment ke kharche ki wajah se na. Papa main hoon..

Anand- Janta hoon, par tum already bahut kar chuke ho Sameer, itna toh mera apna beta hota toh woh bhi nhi karta.
Treatment ka amount zyada hai aur meri Savings kum. Isliye socha Ghar girvi rakhke..

Sameer- Koi jarurat nhi hai yeh karne ki. Main manage karta hoon.

Anand- Mujhe mera baap hone ka farz nibha lene do Sameer.

Sameer- Toh mujhe bhi mere pyaar ka farz nibha lene dijiye Papa. Aaj agar meri aur Naina ki shaadi hui hoti toh bhi aap mujhe mana karte. Nhi karte. Janta hoon aapke jitna haq nhi hai mera us par aaj, par pyaar toh bahut hai.

Anand- Nhi Sameer, Please baat mano meri.

Sameer- Agar Naina ko yeh pata chalega ki uska ghar uske ilaaz ke liye girvi rakha gaya hai, use zyada bura lagega. Isliye aap yeh mat kariye, aapko Naina ki kasam.

Anand- Yeh galat hai..Sameer.

Sameer- Beta mante hai na mujhe, toh mat rokiye aaj mujhe.

Anand- Par tum itne paise kahan se layoge.

Sameer- Aap us ghar ko girvi rakhne wale the jisse aap sabki itni yaadein judi hai, main us ghar ko bech dunga jisme aaj tak koi yaad hi nhi bani.
Subah tak paiso ka intezaam ho jayega Papa.

Next Day
Naina- Papa aur Sameer kahan gaye hai Mummy. Subah se dikh hi nhi rhe.

Bela- Pata nhi beta batakar hi nhi gaye.
Le aagaye.

Sameer- Lagta hai koi hume bahut yaad kar rha tha.

Naina- Kahan gaye the aap dono.

That's when a wardboy comes inside their ward.

Wardboy- Sir yeh aapki receipt.

Naina- Kaisi receipt.

Wardboy- Madam woh..

𝐓𝐄𝐑𝐄 𝐋𝐈𝐘𝐄जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें