Aagaaz-e-Mohabbat

2.5K 138 11
                                    

Life is a journey, and if you fall in love with the journey, you will be in love forever.


Pyaar, Prem, Ishq, Mohaabbat, Love..kisi bhi naam se pukaro magar ehsaas toh ek hi rehta hai. Ek aisi hi dastaan ek dil ne likhi thi..dusre dil ke liye, us dil ki har dhadkan ne likhi thi bas ek naam ke liye. Na thodi, na zyada, bas behisab likhi thi..usi ehsaas ke liye jise Pyaar, Prem, Ishq, Mohabbat, Love kehke pukara jata hai.

Yeh kahani hai NAINA ki..Naina Aggarwal ki.

The kisse uski apni hi duniya ke anokhe, rehte the jisme sirf woh aur uske Mummy Papa ke hi rishte

ओह! यह छवि हमारे सामग्री दिशानिर्देशों का पालन नहीं करती है। प्रकाशन जारी रखने के लिए, कृपया इसे हटा दें या कोई भिन्न छवि अपलोड करें।

The kisse uski apni hi duniya ke anokhe, rehte the jisme sirf woh aur uske Mummy Papa ke hi rishte.

The kisse uski apni hi duniya ke anokhe, rehte the jisme sirf woh aur uske Mummy Papa ke hi rishte

ओह! यह छवि हमारे सामग्री दिशानिर्देशों का पालन नहीं करती है। प्रकाशन जारी रखने के लिए, कृपया इसे हटा दें या कोई भिन्न छवि अपलोड करें।

Arey koi toh hai jo reh gaya hai peeche, uske BFF Gannu ji bhi toh hai uski is kahani ke hisse.

Na koi bhai, na hi koi behan. Na zyada dost hai aur na hi zyada logon ki hai pehchaan. Apni isi choti si duniya mein basa hua hai uska apna hi ek poora jahaan.

Bahar se dikhne mein toh hai phool ki tarah hi masoom magar andar se hai shayad usse bhi zyada nazuk.

Pahai mein hai topper magar khelkud mein ekdum hi fisaddi. Teachers ki hai favourite aur gharwalo ko hai sabse pyaari.

Bholi si hai surat, aankhon par bada bada chashmah, gaal hai gubaare, aur mooh mein rehta hai jiske har waqt khana..bas kuch aisi hi toh hai humari Naina.

Ab yeh baat toh hui kahani ki heroine ki, par apne hero ke bina toh woh bhi hai ekdum adhuri.

Toh chaliye milate hai Naina ke Pyaar se, Naina ki Mohabbat, Ishq, Prem, Love aur usse jude har ehsaas se - SAMEER, Sameer Maheshwari kehte the jinhe.

Toh chaliye milate hai Naina ke Pyaar se, Naina ki Mohabbat, Ishq, Prem, Love aur usse jude har ehsaas se - SAMEER, Sameer Maheshwari kehte the jinhe

ओह! यह छवि हमारे सामग्री दिशानिर्देशों का पालन नहीं करती है। प्रकाशन जारी रखने के लिए, कृपया इसे हटा दें या कोई भिन्न छवि अपलोड करें।

School ka tha most handsome ladka, dikhne mein tha thoda thoda Salman Khan ke bhi jaisa.

Yaaro ka tha yaar, aur Naina ka banne wala tha jald hi saccha pyaar.

Padhai, Dance, Acting, Sports, Music har chiz mein tha avval, par Bhagwan ki bhakti par the inke apne hi alag sawaal.

Laadla tha apni Maa..karta tha tabhi toh unse bada pyaar, lekin apne Papa se rehta tha always jung ko taiyaar.

Ab dekhna toh yeh tha ki yeh dastaan konsa rukh legi jab poorab aur paschim ka milna hoga tay

ओह! यह छवि हमारे सामग्री दिशानिर्देशों का पालन नहीं करती है। प्रकाशन जारी रखने के लिए, कृपया इसे हटा दें या कोई भिन्न छवि अपलोड करें।

Ab dekhna toh yeh tha ki yeh dastaan konsa rukh legi jab poorab aur paschim ka milna hoga tay. Jab 10 saal ka ladka 9 saal ki ladki se milega toh shuru hogi koi Prem Kahani ya phir hogi Tu Tu Main Main.

Sameer aur Naina jab dekhege ek dusre ko pehli baar, tab chalegi ishq ki hawaayein ya phir aayega koi toofan.

Sameer aur Naina jab dekhege ek dusre ko pehli baar, tab chalegi ishq ki hawaayein ya phir aayega koi toofan

ओह! यह छवि हमारे सामग्री दिशानिर्देशों का पालन नहीं करती है। प्रकाशन जारी रखने के लिए, कृपया इसे हटा दें या कोई भिन्न छवि अपलोड करें।


Aagaaz-e-mohabbat ka anjaam yeh deewane kya jaane.
Ishq dariyaa hota hai aag ka,
Mohabbat ke musafir
yeh aasani se kahan hi maane..

।।तेरे लिए।।

𝐓𝐄𝐑𝐄 𝐋𝐈𝐘𝐄जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें