Yeh Jawaani Hai Deewani

571 76 20
                                    

Waqt beet rha tha, usi tarah hum sab ki zindgiyaan bhi. School ka safar khatam ho chuka tha. Aur sirf School hi nhi badla, balki aur bhi bahut kuch badal rha tha. Sameer Delhi chala gaya tha apne college ke liye, hostel mein rehne laga tha, ghar, parivaar, Munna Pandit sab chut gaya tha uska, mili thi toh bas ek aazaadi. Jahan Sameer apne shehar se 300 km durr chala gaya tha, vhi Naina bhi College jane lagi thi par sirf 3 km durr. Woh aaj bhi usi shehar mein thi jahan uski kahani shuru hui thi. Sirf shehar nhi badal rhe the, ya sirf school nhi chut rha tha, balki aur bhi bahut kuch hua. Ab is kahani mein ek aur entry hui thi. Jisne do bichde premiyon ke dil ki dhadkan ko phir se tezz kar diya tha. Yeh koi insaan nhi tha, na hi koi nayi situation jo inki life mein hulchul leke aayi balki yeh thi ek movie. Yeh Jawaani hai Deewani; ek film jisne sab badal ke rakh diya tha. Sameer Naina ke andar chal rhe toofaan ko ek diye ki roshni jo mil gayi thi.

Naina's VO
Hum sabki life mein koi na koi jaroor hota hai jise hum apna ideal maante hai, jo humari zindagi ke kisi na kisi mod par humari prerna banta hai. Meri aur Sameer ki zindagi mein bhi aisi hi ek prerna thi jisne hume aur huamre pyaar ko ek nayi disha di. Aur yeh prerna koi shaks nhi tha balki ek movie thi. Ek filmy kahani jisne humari asli prem kahani ki kahani hi badal di thi. Waise toh main yeh nahi manti ki filmon ki wajah se hi pyaar ko pankh mile hai kyuki filmein banne se pehle bhi pyaar kiya jata tha. Par humare pyaar mein ek film ne bahut bada role nibhaya hai, jisne hume ek umeed di, dobara milne ki umeed, dobara zindagi ko khul ke jeene ki umeed, dobara hasne ki umeed, dobara ishq karne ki umeed.
Hum mein se kise pata tha us time ki superhit film humari prem kahani ke liye bhi superhit saabit ho jayegi. Kise pata tha ki ek film Yeh jawaani hai deewani; Naina(Deepika Padukone) Bunny(Ranbir Kapoor) ki kahani, ek aur kahani ko inspire kar jayegi. Kise pata tha ki main Maine Pyaar Kiya ke Prem ko chodkar Yeh Jawaani Hai Deewani ke Bunny ke sapne dekhne lagugi, waise Sameer ke bhi dekhti thi. Kise pata tha ki Sameer ki life mein ek aur Naina entry maregi, main nhi film wali Naina. Kise pata tha ki us film ka har dialogue, har scene hume humari kahani ko dobara jeene par majboor kar dega.
Is film ne bahut kuch badla, Pehle sirf Sameer ko Salman Khan se problem hoti thi, par dheere dheere uski hit list mein bechara Ranbir Kapoor bhi shamil ho gaya tha.

In Delhi (Sameer's Hostel)
Sameer- Yaaro mera bilkul mann nhi hai yeh film dekhne ka.

Friend1- Chal na bhai aur uske baad Bar bhi chlege. Aaj full on masti karne ka plan hai.

Friend2- Han Sameer itna kya bhav kha rha hai.

Sameer- Woh baat nhi hai. Mujhe is romantic film mein koi interest nhi hai. Tum logon ko toh pata hai na ki na toh mujhse yeh pyaar bhari baatein suni jati hai aur na hi dekhi jati hai. Sab drama hai, pyaar jaisi koi cheez hoti hi nhi hai. I hate this love.

Friend1- Han Sameer pata hai kitna hopeless romantic insaan hai tu. Par bhai meri girlfriend ko yeh film dekhne jana hai. Woh toh film dekhegi par main toh bore ho jayuga. Isliye tum dono ko le jana chahta hoon apne sath. Ab tu apne dost ke liye itna toh kar hi sakta hai na

Friend2- Chal na bhai. Uske baad apni party bhi toh hai. Uske liye hi chal le.

Sameer- Tum log bhi na. Chalo.

Otherside in Rishikesh
Naina- Mummy Papa chalo late ho jayege. Film shuru hone hi wali hogi.

Bela- Jee chaliye, mujhe film ka ek scene bhi nhi chodna.

𝐓𝐄𝐑𝐄 𝐋𝐈𝐘𝐄जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें