Ek Duje Ke Liye

610 115 108
                                    

Thoda aasmaan mere andar hai,
Thode sitare le tum aana,
Thoda andhera tumhare andar hai,
Badle mein mera chaand tum le jaana.

Alfaaz kum ho toh chalega, lekin jazbaat kum nhi hone chahiye. Lab do hi ho toh chalega, lekin baatein kum nhi honi chahiye. Zindagi ek ho toh bhi chalega, lekin mulaqaatein kum nhi honi chahiye. Kuch aisi hi mulaqaatein chahte the Sameer aur Naina jisme zindagi kum nhi honi chahiye.

Naina's VO
Yeh pyaar milta badi aasani se hai, bas ek jawaab ki doori hi toh hoti hai..aur woh hai HAAN.
Par yeh shaadi karna utna hi mushkil ho jata hai kyuki rishton par sawaal karne wala yeh ek jawaab humesha haazir hota hai..aur woh hai NA.
Lekin ab jald hi is Haan Na ka faisla hone wala tha.

In Sameer's New House
Sameer(to himself)- Yeh Kaanji bhi ab tak nhi aaya, kab aayega, kab nashta banayega aur main kab Interview ke liye jayuga.

Doorbell Rings. He goes to open the door.

Sameer- Tu na ek din pitega mujhse. Pata hai kitni bhookh..

He opens the door and is shocked to find Naina in front of him.

Naina- Tum mujhe pitoge.

Sameer- Tum..yahan..is waqt..kaise.

Naina- Pehle tum mujhe btao tum mujhe pitoge kyu.

Sameer- Tumhe nhi keh rha tha, woh mujhe laga Kaanji hoga, woh yahan saaf-safai aur khaane ka dekhta hai.
Ab btao tum yahan kya kar rhi hoon.

Naina- Tumhari yaad aa rhi thi toh aa gayi.

Sameer- Kal ka poora din aur aaj subah tak main tumhare saath tha Naina..phir bhi meri yaad aa gayi.

Naina- Ab tumhe meri yaad nhi aati toh main kya kar sakti hoon.

Sameer- College nhi hai tumhara.

Naina- Chutti li hai aaj ki.

Sameer- Kyu?

Naina- Kuch adhure kaam poore karne the.
Ab tum saari baatein yahin darwaje par khade khade karoge ya mujhe andar bhi aane doge.

Sameer- Tum yahan andar aayogi is ghar mein, nhi nhi is makaan mein. Us din toh..

Naina- Pata hai us din kya kaha tha maine. Baar baar dohrane ki jarurat nhi hai. Ab agar tumhari permission ho toh main andar aa jayu Sameer.

Sameer- Ruko.

Naina- Ab kya..

He lifts her up and enters the house.

Sameer- Kuch sapne pehli baar mein na shi dusri baar mein toh poore kiye ja sakte hai.

Naina- Tum humesha aise hi sapne dekhte ho.
Thoda aur ghumao na aise, acha lag rha hai.

Sameer- Ohh Madam..tumhe acha lag rha hai aur tumhe uthane mein meri kamar jo toot gayi uska kya.
Naina..itna bhari koi kaise ho sakta hai. Ek kaam karo tum na thoda kum khaya karo.

Naina- Sameer..utaro..

Sameer- Ab kya ho gaya.

Naina- Paranthe..

Sameer- Phir se khana..

Sameer- Tumhare liye layi thi..thande ho rhe hai. Pehle kha lo.

𝐓𝐄𝐑𝐄 𝐋𝐈𝐘𝐄जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें