Mera aks tu, mera saaya tera,
Bas gaya hai mujh
mein yeh ishq tera.
Meri khamoshiyon ki aawaz tu,
Teri aankhein padh
rha hai dil mera.
Tere bharose tiki hai
duniya meri,
Mere saath pe
bharosa hai tera.
Bas ek hai duaa rab se meri,
Muskurata rhe
yeh chehra tera.
Tere bin main kuch bhi nhi,
Bas tujh tak yeh jahaan mera.Haath chootne se lekar haath thamne tak ka safar jeeya, Saath chodne se lekar saath nibhane tak ka safar bhi..badi badi baatein jee par un choti choti baaton ka kya..kya wahan bhi haath thama hua rahega, kya wahan bhi saath nibhaya jayega.
Vishakha- Swati aur Munna..yeh kya keh rha hai tu Sameer.
Sameer- Maa woh dono ek dusre ko pasand karte hai..toh usmein problem hi kya hai.
Vivek- Problem toh yeh hai ki woh Munna tumhara dost hai, tumhari tarah hi aawara aur gair jimmedar hoga. Aur aise ladke ke haath mein main apni beti ka haath de du.
Sameer- Yahan baat meri nhi, Swati aur Munna ki ho rhi hai. Usi par dhayaan de toh zyada behtar hoga.
Vivek- Tum mujhe mat batao mujhe kya karna hai ya kya nhi. Meri beti ki baat ho rhi hai.
Sameer- Meri behan ki bhi.
Naina intervenes between them to not heat up the argument.
Naina- Papa..aap baithiye pehle aaram se. Aur dekhiye ek baar Swati ki taraf. Manti hoon Munna Life ko lekar serious nhi hai zyada par humari Swati ko humesha khush rakhega. Jab zimmedariyon ko bojh uspar aayega toh woh peeche nhi hatega aur dekhiyega ek zimmedar insaan bankar dikhayega.
Vivek- Naina beta yeh dono ek dusre ke liye..
Naina- Bilkul shi hai Papa..kyuki dono pyaar karte hai ek dusre se. Aur kisi rishtey ko bandhane ke liye pyaar se majboot dor aur konsi ho sakti hai. Aur yeh dor toh saalon se chalti aa rhi hai kabhi Radha Krishan ke prem ke roop mein toh kabhi hum insaano ki mohabbat mein.
Aur rhi baat Munna ki toh uski guarantee uska dost lega na, Sameer se zyada aur kon jaan sakta hai use.Swati- Haan Papa maan jaiye Please. Bhabhi shi keh rhi hai, Munna bahut acha ladka hai.
Vivek- Vishakha tum kya kehti ho.
Vishakha- Meri beti agar khush hai toh isse badhkar main aur kya chahugi.
Vivek- Shi keh rhi ho tum..jahan humari beti ki khushi wahan humari. Toh phir haan hai humari.
Sameer- Main Munna aur uski Family se baat karta hoon.
Vivek- Munna ke gharwalo se baat main kar lunga..Swati ka baap.
Naina holds Sameer's arm and gestures him to not to react.
Swati comes and hugs both Sameer and Naina.Naina(to Sameee)- Ab tum bhi thoda sa muskura do, Swati ke liye hi kum se kum.
Sameer- Tumhe shauk hoga yeh Ghar Ghar khelne ka mujhe nhi hai.
आप पढ़ रहे हैं
𝐓𝐄𝐑𝐄 𝐋𝐈𝐘𝐄
FanfictionTERE LIYE - A Love saga; a story that binds two souls. When a person become part of your dreams, when in all your prayers your beloved resides, and with every shooting star you wish to be together, then you are intoxicated by love. When you finally...