Fighting with Fate

597 104 85
                                    

Ae Khuda..tu likh de mera use,
Meri qismat mein,
Meri rooh mein,
Mere har ek kal mein,
Mere har ek aaj mein,
Mere har ek lamhe mein,
Mere har ek pal mein,
Meri zindagi ke
har ek hisse mein,
Meri kahaani ke
har ek kisse mein,
Mere har dard mein,
Meri har duaa mein,
Meri har khushi mein,
Mere har ghum mein,
Meri har khamoshi mein,
Mere har saans mein,
Tu likh de mera use..Ae Khuda!

Dard halka hai, saans bhari hai aur jeeye jane ki rasam jaari hai. Ab yehi toh zindagi ka dastoor hai. Jise Sameer Naina jee rhe hai, ek dusre ke itne pass hoke bhi, ek dusre se durr hone ke saaye mein.

Sameer returns to her without finding the hope from anywhere.
Naina feels relieved to see him.

Sameer- I am Sorry Naina.. Maaf kardo mujhe. Kuch nhi kar pa rha main. Har jagah har kisi se pucha par kisi ne ek umeed tak nhi di. Kya karu main ab Naina. Btao na kya karu.

He puts his head on her lap and sobs constantly and uncontrollably. She caresses and gently strokes his hairs, trying to sooth his pain.

Naina(to herself)- Kya bolu Sameer..ab toh yeh bhi nhi keh sakti ki main hoon tumhare saath, sab theek ho jayega. Kaise sambhalu tumhe, tumhe is halaat mein kaise chod kar mar jayu main. Itna pyaar bhi nhi karna chahiye Sameer kisi se ki aap us dard ko sehan hi na kar payo jab woh aapko chod jaye.

Sameer- Main tumhe nhi kho sakta Naina, par samajh nhi aa rha ki kaise bachayu tumhe. Kyu humare saath hi yeh sab ho rha hai. Kyu mil nhi pa rhe hum. Kyu ek nhi ho pa rhe hum. Itne imteehan toh de chuka hai humara pyaar, ab yeh imteehan kyu. Har kisi se lad sakta hoon main tumhare liye, par tumhare us Bhagwan se kaise ladu. Jo hume milne hi nhi de rha. Har baar hume ek dusre se durr lakar khada kar deta hai aur is baar toh itna durr ki phir se milne ki umeed bhi nhi mil rhi. Naina..main nhi..

He chocked while saying this.

Naina- Sameer..

Sameer- Main..main nhi reh payuga tumhare bina. Aur bardasht nhi ho rha mujhse. Sach keh rha hoon mar jayuga.

Naina- Chup..bilkul chup. Pata hai tumhe aise dekhke kitni taqleef hoti hai mujhe. Kuch bardasht karne ki jarurat nhi hai tumhe..samjhe. Idhar dekho..yeh aansoo ainde in aankhon mein mujhe dikhe na toh..toh main tumhe gudgudi karugi.

Sameer- Naina tumhe majaak sujh rha hai is waqt bhi.

Naina- Toh kya chahte ho tum..main apni maut ka intezaar..

Before she could say anything, he held her face and kissed her, kiss away all the pain rolling down their cheeks. After a while, he placed his forehead on hers.

Sameer- Tum mera sab kuch ho aur humesha rahogi. Aainda mat kehna yeh shabd.

She agreed to him but her eyes were brimmed with tears.

Sameer- Ab tum kyu ro rhi ho. Koi pehli baar nhi kiya tha kiss tumhe.

Naina- Janti hoon, par isme tumhare pyaar se zyada tumhara gussa tha, tumhara dard tha, tumhari bebasi thi. Kyu mujhse pyaar karke apne liye aur mushkilen badha rhe ho Sameer.

Sameer- Shi keh rhi ho bahut mushkil hai pyaar karna khaskar tumse, magar tumse pyaar na karna usse bhi zyada mushkil hai.
Ab aise mat dekho, varna aur pyaar ho jayega tumhe bhi mujhse.

𝐓𝐄𝐑𝐄 𝐋𝐈𝐘𝐄जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें