Jab We Met

1.4K 146 6
                                    

Woh pehli mulaqaat bas hone ko hi thi, jahan nazre mili, palke bhi jhuki, labon par pyaari muskaan saji, pyaar ka sajdaa hua, har pal ek haseen lamha hua. Woh pehli mulaqaat bas hone ko hi thi, Ek safar ki shuruat bas hone ko thi.

Naina comes out after wiping her tears and goes to attend her next class. And on the other hand, it was the first day of school for someone else also.

In classroom
Mam- Naina Please bring some Chalks from the Office.

Naina- Yes Mam.
(to herself) Kahan phasa diya Mam ne bhi ab phir se 2 floors niche utro aur chado.

She was blabbering something and then suddenly she collided with someone, and was about to touch each other but both get stopped.

She was blabbering something and then suddenly she collided with someone, and was about to touch each other but both get stopped

ओह! यह छवि हमारे सामग्री दिशानिर्देशों का पालन नहीं करती है। प्रकाशन जारी रखने के लिए, कृपया इसे हटा दें या कोई भिन्न छवि अपलोड करें।

Naina's VO
Dhak Dhak..Dhak Dhak..yehi ho rha tha us din mere saath. Lekin yeh dil ka dhadakna do manzil seedhiyaan utarne ki wajah se nhi tha. Yeh toh usse takrane ki wajah se tha. Ek aisa ladka jisse main tab aisa takrayi ki aaj tak sambhal nhi payi. Uski aankhein jo kitna kuch keh rhi thi, uske maathe par aa rhe woh baal jo kitna kuch chupa bhi rhe the, uski woh teekhi si naak, uske chehre par woh bacchon wali muskuruhat. Ab woh baccha hi tha us waqt. Par us mulaqaat ka sab yaad hai mujhe aaj bhi, ho bhi kyu na. Woh 10 saal ka ladka 9 saal ki ladki ke dimag mein.. Sorry sorry dil mein us waqt kuch aisa chaya ki chah kar bhi bhula nhi payi. Woh ladka yani Sameer mera Sameer, humari kahani ka Hero, umm..mera Hero. Apne naam ki tarah hi ekdum hawaa ka jhonka banke aaya tha meri zindagi mein jo na jane kitne rango ki barsaat laya tha.
Us pal ko tab mera Topper dimag samjh toh nhi payi tha. Lekin haan mera dil..mehsoos jarur kar gaya tha. Us waqt mein sab tham sa jo gaya tha, main, Sameer, humare haath..jo ek dusre ko bus choone hi wale the, humari naazrein..jo sirf ek dusre par hi atak gayi thi aur humara dil..jo mano ruk hi gaya ho. Kuch is tarah hui thi humari pehli mulaqaat, na maine kuch kaha, na usne shuruat ki. Lekin aankhon ne aankhon se bahut kuch kaha tha, dil ne dil ko jarur chuaa tha, kho gaye the hum dono ek dusre mein kuch is tarah ki pehli hi mulaqaat mein hosh hum dono ko na rha tha.
Aisa lag rha tha jaise Gannu ji ne meri baat sun li ho aur aise kisi ko bheja ho jo meri adhuri kahani ko poora kar sakta tha, jo mujhe poora kar sakta tha. Hum dono kahin na kahin adhure the par us mulaqaat mein kahin na kahin poore ho gaye the.
Na jane us ek pal mein maine uske sath kitne khwaab bun liye the, kitne sapne sanjoy liye the.
Par woh khwaab poore honge ya tootege yeh nhi pata tha tab. Kyuki sab kuch tham jane ke baad woh wahan se chala jo gaya tha, bina dobara milne ki umeed diye. Us waqt main bas yehi soch rhi thi ki main kabhi dobara usse mil bhi payugi, kya kabhi use dobara dekh payugi. Sawaal bahut the lekin un sawaalon ka jawaab mujhse durr ja rha tha.

Then she reaches to classroom with chalks as well as with thousands of thoughts and sit alone silently.
But within a moment, Sameer entered and that too without teacher's permission. And here a big smile appears on Naina's face.

In classroom
Mam- You, tumhe manners nhi hai jo bina permission ke class mein andar aa rhe ho woh bhi class ke beech mein. Aur woh bhi bina Bag aur Uniform ke.

Sameer- Sorry Mam, woh aaj mera pehla din hai aur hum aaj hi yahan shift hue hai Delhi se.
(to himself, seeing Naina smiling) Yahan mujhe daant pad rhi hai aur yeh ladki dekho kaise hass rhi hai. Ajeeb hai abhi mujhse takrate takrate bachi aur ab yahan aise hass rahi hai.
Par kuch bhi kaho hai toh bahut cute ek dum Golgappe jaisi, nhi nhi Laddu jaisi.

His thoughts broke when teacher said something to him.

Mam- Its ok. You can sit with her.
(Pointing towards Naina).

Sameer- Yahan?

Mam- Kyu koi probelm hai. Aur hai bhi toh koi aur seat vacant nhi hai.

Sameer- Yes Mam.

Naina was nervous at that time but was constantly smiling seeing him

ओह! यह छवि हमारे सामग्री दिशानिर्देशों का पालन नहीं करती है। प्रकाशन जारी रखने के लिए, कृपया इसे हटा दें या कोई भिन्न छवि अपलोड करें।

Naina was nervous at that time but was constantly smiling seeing him.
While, Sameer was thinking why everyone was looking at him.

Sameer(to himself)- Sab aise kyu ghur rhe hai mujhe, jaise main Alien hoon. Aur yeh ladki bhi sabki tarah bas mujhe hi dekh rhi hai. Kitna ajeeb lag rha hai.

Naina(to herself)- Mujhe ise aise nhi dekhna chahiye, kya kya sochega mere baare mein. Par main darr kyu rhi hoon, insaan hi toh hai, koi Alien thodi hai.

Naina's VO
Alien..Hero bana Alien. Yeh tha Sameer ka pehla din, jahan har koi use ghur rha tha. Khaskar ladkiyaan, sirf mera hi nhi balki Class ki har ladki ka Hero ban gaya tha apne hi pehle din mein. Par Mr. Hero ne toh meri taraf ek baar bhi mudkar dekha tak nhi tha. Ab har koi meri tarah pehli mulaqaat mein deewana thodi ban jata hai. Aisa nhi tha ki mujhe bhi use dekhkar pehli nazar mein hi pyaar ho gaya tha par haan kuch toh jarur hua tha jo na use dekhne se pehle kabhi hua tha aur na hi kabhi use dekhne ke baad hua. Shayad uski pehli nazar mein qaid ho gayi thi main. Kabhi Kabhi pehli nazar kuch aise hi rishtey bana deti hai jo aakhri saans tak chudane se nhi chutte.
Lekin tab na mujhe khabar thi na hi use ki yeh pehli pehli nazar ki humari pehli pehli mulaqaat ek tarfa mohabbat banegi ya do dilon ki daastaan, ek adhura kissa banega ya ek poori kahani. Nhi pata tha ki manzil milegi ya nhi par haan itna jarur tay tha ki safar behadh khoobsurat hone wala hai.


Pehli Pehli si mulaqaat thi, Pehli Pehli si baat thi, Baat kya karte kuch khabar hi nhi thi, Shayad yehi pehle pyaar ki pehli shuruat thi.

Aagaz ho chuka h ab bas Anjaam baaki hai..

।।तेरे लिए।।

𝐓𝐄𝐑𝐄 𝐋𝐈𝐘𝐄जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें