Pehle Pyaar ki Pehli HAAN

548 85 22
                                    

Pehla pyaar jitna khaas hota hai, usse bhi kahin zyada khaas hota hai us pehle pyaar ka ehsaas. Aur us ehsaas ko majboot karne ke liye jarurat hoti hai sirf ek Haan ki; Pyaar ki woh pehli haan jo umeed deti hai ek naye rishte ke janam ki, jo umeed deti hai do dilon ko milne ki, jo umeed deti hai aashiq ko aashiqui karni ki.
Woh haan sirf Sameer Naina ki nhi thi balki uski haan thi jisne inki pyaar ki gaadi ke liye kahin raaste khol diye the.
Sameer ke liye woh haan us insaan ki thi jiske liye woh sabse zyada mayne rakhta tha, Aur dusri taraf Naina ke liye haan uski thi jiske bina inke pyaar ka koi naam nhi ho sakta tha.

Sameer's VO
Sach kehte hai ki pehle pyaar ka nasha hi kuch aur hota hai. Aur yehi nasha mujh par aur Naina par is qadar haavi hua tha ki iske alava hume aur koi sudh hi nhi thi. Hum pyaar mein pagal toh ho hi chuke the par Naina toh isse bhi ek kadam aage nikal gyi thi tabhi toh woh Pyaar mein pandit  jyotish, pujari sab ban chuki thi.
Aur dusri taraf main apni mohabbat ko lekar abhi bhi confuse tha, Naina se durr hone ki koshish bhi kar tha par aisa kuch bhi chahta tha jisse main is pyaar ki dagar par ek kadam aur aage badh payu, apni Naina ke pas ja payu.
Har pal, har din kuch na kuch ho rha tha humari zindagi mein. Kabhi pyaar ke liye ek kadam piche hatta tha toh agle hi pal do kadam aage badha deta tha. Manzil ka toh andaaza nhi tha par phir bhi jo raah mujhe le chal rhi thi main us par chale ja rha tha, bina yeh jane, bina yeh samjhe ki yeh mujhe Naina se dur le jayegi ya phir uske aur kareeb.

At School Closing Time
Sameer(to himself)- Phir se jana padega tumhe chodkar Naina. Bilkul acha nhi lagta bina tumhe dekhe. School mein hum bolte kum hai par kum se kum tum meri aankhon ke saamne toh hoti ho. Par ghar par toh woh bhi possible nhi hai.
Roz yeh waqt mujhe apni love story ke villain jaisa lagta hai.

Sameer Naina ko dekhte dekhte School ke gate tak pahunch jata hai.

Someone- Sameer..
Sameer.
(loudly)- Sameer

Sameer- Aap yaha.
Sameer  bhag kar jata hai, unke pair chuta hai aur gale laga leta hai.

Sameer- Nani aap yahan, kab aaye.

Nani- Main toh aaj subah hi Delhi se aa gayi thi

ओह! यह छवि हमारे सामग्री दिशानिर्देशों का पालन नहीं करती है। प्रकाशन जारी रखने के लिए, कृपया इसे हटा दें या कोई भिन्न छवि अपलोड करें।

Nani- Main toh aaj subah hi Delhi se aa gayi thi. Socha mera nati toh mujhe yaad nhi karta, main hi kar lu.
Par dek rhi hu ki barkhudar ki nazrein toh kahin aur hi thehri hui hai.

Sameer- Nani kya aap bhi.
Chalo ghar chalte hai.

Sameer gaadi mein baith jata hai aur baar baar piche mudke Naina ko dekhta hai, taki aaj ke liye aakhri baar uski ek jhalak dekh paye.

Nani- Usko dekhna ho gaya ho toh ab mujhe bhi dekh le Sameer.

Sameer- Huh..Na..nani main toh bas..bas..w..woh.

Nani- Gayi woh toh aur ab tak toh apne ghar bhi pahunch gayi hogi.

Sameer- Kon nani. Kya bol rhe ho aap. Mujhe kuch samajh nhi aa rha.

𝐓𝐄𝐑𝐄 𝐋𝐈𝐘𝐄जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें