Bade Ache Lagte Hai

162 37 33
                                    

Mera tumse baatein karna,
Dil ka haal sunate rehna,
Acha lagta hai..
Kitni mohabbat hai tumse,
tumko baar baar batana..
Acha lagta hai.

Apne saare khwaab dikhana,
Mann ke taale kholte jana,
Acha lagta hai..
Yuh hi baaton baaton mein, pehro ka badalte jana..
Acha lagta hai.

Tere liye kasme khana,
Roz tujhse kiye vaade nibhana,
Acha lagta hai..
Bahut si baatein bolkar,
baki aankhon mein padh lena.. Bas..Acha lagta hai.

Acha lagta hai na..aise hi shabdo ko padhkar kisi ke baare mein sochke bas muskura dena, kisi ke kandhe par sir rakhkar apne bachaye saare aansoo baha dena, kisi ko gale lagakar sukoon ki neend so jana, aise kisi ka haath thamna jo kabhi na thake aapka haath pakadne se. Lekin acha nhi lagta toh faasla, duriyon mein woh kamiyaan..jo kisi ke na hone se hoti hai. Sameer aur Naina bhi aisa hi kuch jee rhe the, kuch acha, aur kuch nhi.

Sameer- Kya kar rhi ho Naina, itne saal ho gaye lekin aaj tak tumhe meri Tie baandhni nhi aayi.

Naina- Isiliye nhi aayi kyuki tumhe sabkuch Tie baandhte waqt hi jo soojhta hai. Tumhara yeh hilna-dulna, tumhara yeh Romance, aur phir meri har roz daant khaana bhi.

Sameer(to himself)- Isiliye toh soojhta hai, taki tum har subah yuhi daant lagayo, aur phir yuhi mooh phulakar Tie baandho.

Naina- Lo bandh gayi aapki Tie Mr. Maheshwari.

Sameer- Waise Romance se yaad aaya aaj toh Tiffin mein kuch meetha pack karogi na.

Naina- Haan haan bilkul, sab meetha pack karugi, aur phir tumhari Diabetes la level thoda aur badhayugi. Phir tum Doctor ki aur kadwi kadwi dawaaiyaan khayoge. Ya phir Injection kaise rahege is baar.

Sameer- Chale..late ho rha hai. Maine bhi galat insaan se galat sawaal puch liya. Kadwa kya jaane Meethe ka swaad.

She giggles, and turns to go. But next moment, he stops her by pulling her hair stick to let her hairs fall.

Naina- Sameer..ab yeh kya kiya. Roz nikal dete ho.

Sameer- Jab pata hai ki main roz nikal hi dunga, toh lagati hi kyu ho.

Naina(to herself)- Isiliye toh lagati hoon, taki tum roz nikal sako.

Sameer- Chaliye ab..aise hi Mrs. Maheshwari.

While crossing the road, Sameer turns Naina to his left to which she smiles lightly. One of the best feeling in life is being loved back by the person you love. Afterall to love and to be loved is all that the heart needs. This heart that we all possess isn't just an organ that pumps blood but it's a home that only belongs to someone.

Sameer- Kitni baar kaha hai is taraf chala karo.

Naina- Acha baba..
Lo aa gayi manzil..Samaina..

Sameer- A world of words..

Sameer's VO
Samaina..A world of words; meri aur Naina ki Rishikesh mein basayi humari khud ki ek nayi manzil. Ab koi na koi apni ek duniyaa basani hi padti hai..roz jeene ke liye. Humne bhi apni yeh ek choti si duniyaa basayi thi, jahan Sameer Naina yani Samaina bas kuch baccho ko taiyaar karte the unki aane wali zindagi ke liye. Kabhi shabdo ko likhna seekhate the, toh kabhi jeena, aur kabhi kabhi apne Maa-Baap ko na bhulna. Kyuki zyadatar yehi umar hoti hai jab bacche Maa-Baap ko bas ek seep samajh kar chod dete hai, lekin seep ke andar chupe moti ko chodne ka afsoos bhi kal ko wohi bacche karte hai. Vriddha aashram banaye jaate hai taki ek aasra mil sake, jabki main aur Naina bas yeh koshish kar rhe the ki koi apne bacche hote hue bhi kabhi us aur rukh na kare.

𝐓𝐄𝐑𝐄 𝐋𝐈𝐘𝐄जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें