Woh Kagaz Ki Kashti, Woh Baarish Ka Pani

217 41 57
                                        

Bin kahe hi..na jaane kitne alfaazo ka ek ehsaas tha,
Nazre milne se jab mohabbat ka hua karta aagaz tha.
Kuch unkaha, kuch unchah sa.. bewaqt intezaar tha.
Yeh un dino ka pyaar tha.

Bin baat hi..na jaane kitni
baaton ka ek saaz tha,
Mukhtalif se safar mein koi ek toh apna humraaz tha.
Kuch adhura, kuch poora sa..
bechain karaar tha.
Yeh un dino ka pyaar tha.

Bin geet hi..kitni surili sargamo ka gungunaya ek raag tha,
Jhuki nazron ke peeche chupa pehle ishq ka ikraar tha,
Kuch anjaana, kuch jaana sa..
beshumaar khumaar tha.
Yeh un dino ka pyaar tha.

Bin baarish hi..mitti ki saundhi khushboo ka ek aabhas tha,
Manchale mann ka apna hi mohabbat karne ka izhaar tha.
Kuch apna, kuch ajnabi sa..
beintehaan ikhtiyar tha.
Yeh un dino ka pyaar tha.

Bin mulaqaat hi..dil mein uthe toofano ka ek mahaz tha
Yaadon ke pehro mein dhundle pade kitne palo ka raaz tha,
Kuch anmol, kuch anmana sa..
bepanaah ishq ka sansaar tha.
Yeh un dino ka pyaar tha.

Waqt badal jata hai, insaan bhi badal jate hai..nhi badalti toh bas woh kuch yaadein. Kuch log saath chod jate hai, kuch log shayad chod jayege..magar har waqt jo saath nibhati hai woh hai bas kuch yaadein. Na woh guzre din vapis aayege, na guzaare lamhe saath ho payege..par jab bhi yaad aayegi woh kuch yaadein tab yakeenan sab muskurayege. Sameer aur Naina ki aisi hi ek yaadoon ki potli khulne wali thi..sabse purani yaadon ki potli.

Kaanji- Naina Bhabhi..aaj phir se koi chitthi aayi hai.

Naina- Sameer tumhara na sach mein kuch nhi ho sakta.

Sameer- Par maine kuch nhi kiya is baar.

Kaanji- Aaj toh inke naam ki bhi aayi hai..Bhabhi.

Sameer- Dikha jara..

Both tores the envelope. On reading the letter, a wide grin spreads on their faces.

Naina- Sameer..hum jayege na.

Sameer- Pakka jayege..Naina.

Kaanji- Kahan jana hai.

Sameer- School.

Kaanji- Huh..is umar mein.

Two Days Later
Both were standing outside a huge building, that was no longer a small school, even no longer an ordinary school. Looking at "theirs" special place, both realizes that it is always worth to remember your roots and coming back to it. Because no matter how much a tree grows, it remains always attached to its roots.

Naina- Kitna badal gaya hai na humara School, Sameer.

Sameer- Time ke saath kya nhi badalta, Naina..yeh toh phir building hai.
Chale ab andar..apne School.

Naina- Phir se.

Sameer- Lekin is baar ek saath.

Holding hands, both enters not into a building but to a lane of old memories. And it's good to come back to familiar places when we feel like we are forgetting ourselves.

𝐓𝐄𝐑𝐄 𝐋𝐈𝐘𝐄कहानियाँ जो दीवाना बना दें। अभी खोजें