Pehle Pyaar ka Pehla Ehsaas,
Dil ke pass aur behad khaas,
Badhti Dhadkane, Rukti Saans.
Koi bana jeene ka zariya,
Kuch bana yaadon ka dariyaa.Din guzarte gaye aur is beette waqt ke sath bahut kuch badha jaise Munna Pandit ki sharartein, Preeti ki bhukh, Sameer ka yaarana, Naina ki baatein, Sunaina ki jealousy aur bhi na jane kya kuch.
Par ek chiz nhi badhi woh thi Sameer aur Naina ki mohabatein.
Kyuki the toh woh bacche hi, pyaar ka ehsaas kya hota hai woh nhi samajh pa rhe the. Pehla pyaar kya hota hai woh nhi samajh pa rhe the.
Nhi samajh pa rhe the woh ki kyu unke dil ki dhadkane badh jati hai jab woh ek dusre se takrate hai.
Nhi samajh pa rhe the ki aakhir kyu ek dusre ki sirf ek jhalak pate hi unka waqt tham sa jata hai.
Shayad tab samajh pate toh yeh kahani ka rukh thoda tezz ho jata.In Classroom
Today the result of 4th class exam was going to be declared.Preeti- Naina itna kyu khush ho rhi hai.
Naina- Arey Preeti aaj exam ka result aane wala hai toh khush hone ki toh baat hai na.
Preeti- Han behan tu toh topper hai tu toh khush hoyegi aakhir tere liye abhi poori class taaliyan jo bajane wali hai aur hume galiyaan milne wali hai.
Naina- Aisa kuch nhi hai.
Sameer was sitting behind Naina's bench.
Sameer(to himself)- Pata nhi aaj itna darr kyu lag rha hai.
Upar se yeh Sir kitne khatarnak hai. Aur inke thappad toh inse bhi zyada khataranak hai.Sir distributes the exam sheet one by one and also give the gift of slap to those who secured less marks.
On seeing this, Sameer gets scared even more.Sameer- Hey Bhagwan bas aaj bacha lena.
Main sab kha sakta hu bas is Sir ke thappad nhi kha sakta.Naina hears everything and starts smiling. Seeing her smiling face in such situation, he couldn't stop himself and asks her.
Sameer- Tumhe bikul bhi darr nhi lag rha kya Naina.
Naina- Nhi toh.
Tumhe lag rha h kya?Sameer- Han..par sirf thoda thoda.
Naina- Hmm...
Waise tum chaho toh apna darr bhaga sakte ho.Sameer- Aur woh Kaise.
Naina- Ek kaam karo apni fingers cross karo 🤞 aise.
Sameer- Isse kya hoga.
Naina- Arey tum karo toh shi.
He obeys her and crosses his fingers.
Naina(innocently said)- Aisa karne se na hamesha sab shi hota hai.
Aur dekhna tumhara result bhi aisa karne se jarur acha aa jayega.Sameer- Aisa kuch nhi hota..phir bhi chalo dekhte hai.
Sameer's VO
Fingers Crossed...pta nhi aisa karne se kuch hota hai ya nhi par yakeen maniye us din se lekar aaj tak mere zindagi ke har imtehaan mein meri ungliyaan apne aap crossed ho jati hai.
Isliye nhi kyuki isse kuch khaas hota ha balki isliye kyuki yeh kisi khaas; Meri Naina ne mujhse jo kaha tha. Aur uska kaha mere liye kabhi bhi kaise galat ho sakta hai. Poora ek saal ho gaya tha tab hume, aur yeh humari pehli detailed baatcheet thi. Aur sach kahu toh acha lag tha uske saath, usse baatein karke, uski masoomiyat dekhke.Sir call's Sameer name to announce his result.
At that time she looked more scared than him.Naina(to herself)- Please Gannu ji Sameer ko bacha lena uska result acha aaye aur use koi maar bhi na pade. Please Please Please Gannu ji.
Sir- Very Good Sameer.
Bahut ache marks aaye hai tumhare. So class clap for him.The whole class claps and Naina is as happy for Sameer as she might not even be for herself.
Sameer- Thank You Naina.
Naina- Isme Thank you kya. Tumne mehnat ki aur dekho tabhi tumhara result bhi acha aaya. Aur maine kaha tha na ki aise karne se sab acha hota hai.
He smiled widely not because of his result but because of Naina's innocence.
Sameer(to himself)- Khud jitni pyaari hai baatein usse bhi zyada pyaari karti hai.
Now Sir announces Naina's name and again Fingers are crossed, this time not by Naina but for Naina; and that was done by Sameer.
At that moment, he did not even know why he did it, why he wanted Naina's results to be even better. He did not even have an answer to this why.Naina's VO
Jitne sawaal us waqt Sameer ke mann mein the usse bhi kahin zyada sawaal mere mann mein bhi chal rhe the ki kyu maine Sameer ko woh stupid si trick ke baare mein btaya, kyu main uske liye Gannu Ji se dua maang rhi thi, kyu apne result se jyada main uske result ke liye dari hui thi, kyu uska result sunte hi main usse bhi zyada khush thi, aakhir KYU; ho kya rha tha mere sath.
Itne sawaal the hum dono ke mann mein hi aur jawab sirf ek tha, infact sirf ek shabad aur woh tha PYAAR. Mujhe mere sawalon ke jawaab beshak na mila ho par Sameer ko main Pyaari jarur lagne lagi thi, Pyaar na shi, Pyaari hi shi.
Yeh humara ek dusre ki fikar karna, ek dusre ke liye duaayein maangna, ek dusre ke liye khush hona; yeh sab Pyaar ki taraf humara Pehla Kadam tha jo hum tab samjh hi nhi pa rhe the.
Tab hume realize hi nhi hua ki hum kis raah par chalne wale hai. Aur yeh Pyaar ki raah hume kitni khushiyaan degi ya kitni mushkilen yeh toh aage pata chal hi jayega par itna jarur tay hai ki yeh Pyaar ka safar bahut khushnuva hone wala hai.Pyaar mein badha pehla kadam jisme laga poora ek saal. Poori 4th class ka time sirf unki Hi, Hello, Thank You aur Fingers Crossed par aakar simat gaya tha.
Par kehte hain na neev jitni buland hogi imaarat bhi utni hi buland banti hai. Usi tarah Pyaar ki taraf badha yeh pehla kadam ek majbut rishte ki neev rakh rha tha.Do anjaan badhe
Ek dusre ki ore,
Na jane kab ban gayi inke
Prem ki Dor..।।तेरे लिए।।
आप पढ़ रहे हैं
𝐓𝐄𝐑𝐄 𝐋𝐈𝐘𝐄
FanficTERE LIYE - A Love saga; a story that binds two souls. When a person become part of your dreams, when in all your prayers your beloved resides, and with every shooting star you wish to be together, then you are intoxicated by love. When you finally...