Zindagi ka bhi apna hi dastoor hai. Kabhi khushiyaan toh kabhi ghum de jaati hai. Kabhi hasee, toh kabhi aansuon se bhar jaati hai. Lekin har daur guzar hi jaata hai, zara itminan toh rakho, jab khushi hi nhi thehri toh ghum ki kya aukaat hai.
At Naina's House
Bela- Naina woh Pandit Ji aaye hai. Jara bahar toh aa.Naina- Pandit Ji kyu?
Bela- Pehle bahar toh chal tu. Aur dupatta ache se leke aa.
Pandit Ji- Aap ek kaam kariye, ek achi si Photo aur Kundli de dijiye ladki lk.
Anand- Bela jara Naina ki kundli aur ek Photo lana
Bela- Ji, abhi layi.
In Naina's Room
Naina- Mummy yeh kya ho rha hai. Aap meri photo aur kundli kyu de rhe ho.Bela- Shaadi ke liye aur kis liye dungi bhala.
Naina- Maine aapko kitni baar kaha tha na ki mujhe shaadi nhi karni. Phir yeh sab kyu.
Bela- Hum is baare mein baad mein baat karege Naina.
After Pandit Ji left.
Bela- Bhagwan jhooth na bulaye. Bas koi acha sa ghar bta de Pandit ji.
Anand- Haan lekin ghar se zyada ladka acha hona chahiye. Jo humari Naina ko khush rakh sake.
Naina- Kyu kar rhe ho aap dono yeh sab. Mujhe shaadi nhi karni hai. Na aaj, na kal, na kabhi aur. Aap mujhe khush dekhna chahte ho na toh uske liye meri yeh baat maan lo.
Bela- Kyu nhi karni tujhe shaadi. Kahin tu kisi aur ke saath...
Anand- Bela. Naina aisa kabhi nhi karegi. Yaad hai na usne humse vaada kiya tha ki humara vishwas kabhi nhi todegi. Mujhe is par poora bharosa hai.
Btao Naina kya baat hai aakhir.Naina- Koi baat nhi hai Papa. Bas mujhe shaadi nhi karni. Aur yeh mera aakhri faisla hai.
Bela- Itni badi nhi hui hai jo itne bade bade faisle akele legi.
Dekh rhe hai aap.Bela cries and scolds Naina.
Anand- Jao Naina andar apne kamre mein jao. Abhi tum dono hi gusse mein ho.
Naina(to herself)- Main kisi ko khush nhi rakh pa rhi. Na Sameer ko, na Mummy Papa ko aur na khud ko.
Main kaise kisi aur ke saath shaadi ke baare mein soch bhi sakti hoon.Main apna vaada nibha toh rhi hoon Mummy Papa. Main aapka vishwaas nhi tod rhi hoon, Sameer se durr hoon. Par kisi aur ko apne dil mein uski jagah nhi de payugi. Sameer ke alava kisi aur ko nhi..kabhi nhi.
Sameer se baat karu, Haan.She dials his Number but immediately cuts it.
Naina(to herself)- Nahi, use kya kehke baat karugi ki main shaadi kyu nhi karna chahti kyuki main usse pyaar karti hoon. Use koi aise sapne nhi dikha sakti jo poore nhi ho sakte.
Her phone rings and sees Caller ID in shock.
Naina- Hello.

आप पढ़ रहे हैं
𝐓𝐄𝐑𝐄 𝐋𝐈𝐘𝐄
FanfictionTERE LIYE - A Love saga; a story that binds two souls. When a person become part of your dreams, when in all your prayers your beloved resides, and with every shooting star you wish to be together, then you are intoxicated by love. When you finally...