Saathiya

351 63 130
                                    

Acha lagta hai,
Meri baaton par tera
hasna aur khilkhilana,
Teri thaali se nivaala
haq se khaa lena,
Jankar anjaane se tujhe bas yuhi chuu jana,
Khaali raaste par tere sang yuh hi chalte rehna,
Bas..bahut acha lagta hai.

Acha lagta hai,
Tera mujhse hi meri dher saari shikayte lagana,
Pyaar bhare gusse se mujhe aankhein dikhana,
Teri behisaab baatein karna aur mera sunte jana,
Tere saath milke purane
geet gunganana,
Bas..bahut acha lagta hai.

Acha lagta hai,
Tujhe sochkar mera yuh kavitayein likhte jana,
Teri kahaniyon se apni khaali raatein ko sajana,
Tujh sang tasveeron ka hai jo anmol khajana,
Din ke kuch lamhe durr hokar bhi waqt tujh sang hi bitana,
Bas..bahut acha lagta hai.

Dil ki har baat koi jispe likh sake..woh kagaaz banna acha lagta hai, Apni mohabbat ki khairiyaat koi banaye rakhe..woh tabeez banna acha lagta hai. Yuhi bas..acha lagta hai aisa kuch karna us ek ke saath, jise Jeevan ka Saathi kehte hai. Sameer Naina bhi the ek duje ke vhi Saathiya..jo saath nibhate aaye hai ek dusre ka jaise ho baati aur diya.

Sameer- Naina, I am so so so so so..

Naina- Arey bas..

Sameer- So happy.

Naina- Janti hoon.

Sameer- Nhi, tum nhi janti. Main batata hoon tumhe ki main kitna khush hoon.

He lifts her up in his arms and twirls her around.

Naina- Sameer..utaro neeche Please. Main samajh gayi ki tum kitne khush ho..utaro ab.

Prem- Katti..

Both comes out from their own little happy world on hearing their little one.

Prem- Mujhe toh koi kuch bata hi nhi rha. Mumma aap bhi nhi. Isiliye main aap dono se katti hoon.

Both Sameer and Naina looks at each other. He makes her stand, and both bent down to Prem's height.

Sameer- Prem..aapki Mumma na phir se Mumma banne wali hai.

Naina- Haan..jaise aapke Papa phir se Papa.

Prem- Means?

Sameer- Means..aap Big Brother banne wale ho Prem.

Prem- Means main bhi phir Ishaan ki tarah big ho jayuga.

Sameer- Haan ekdum big wale big kyuki aapki Little Sister jo aa jayegi tab.

Naina- Shh..Little Brother bhi ho sakta hai.

Sameer- Tumhe ladka hi kyu chahiye.

Naina- Tumhe ladki hi kyu chahiye.

Sameer- Wajah toh tum hi ho. Ab batao beti kyu nhi chahiye.

Naina- Kyuki phir tum usse mujhse bhi zyaada pyaar karoge.

Sameer- Seriously?

He starts laughing on seeing her innocent pout.

Naina- Haso mat.

Sameer- Acha ek kaam karte hai Prem ko hi decide karne dete hai.
Toh batao Prem, chota bhai ya choti behan..kya chahiye aapko.

𝐓𝐄𝐑𝐄 𝐋𝐈𝐘𝐄जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें