Ek Vivaah Aisa Bhi

224 45 50
                                    

Nazar ne nazare toh
bahut dekhe,
Par us jaisa manzar
phir na dekha.
Din, mahine, saal badalte toh bahut dekhe,
Par mohabbat jaisa dar
phir na dekha.
Nazm likhte aashiq bhi
bahut dekhe,
Par nazre jhukakar ikraar karte phir na dekha,
Noor chalakte taare bhi hazaar dekhe,
Par us jaisa aab yaar ka
phir na dekha.

Aisa hi nazare ka manzar phir dikhne ko tha, mohabbat ka dar milne ko jo tha, ek ikraar phir se hone ko tha kyuki noor kuch khaas hone jo wala tha. Sameer Naina ka phir se Ek Vivaah Aisa Bhi hone ko jo tha.

Munna- Toh kaisi kati poori raat Bhabhi ke bina.

Pandit- Arey arey..dukhti rag pakad li tune toh apne bhai ki.

Munna- Lekin Sameer tu na tension na le, ab shaadi karni hai toh har rasam nibhani toh padegi hi.
Pandit- Aur janta hai na aakhri rasam..Suhagraat.

Munna- Waise Ponga 25 saal baad wali shaadi mein bhi Suhagraat manane ka provision hota toh hoga na.

Pandit- Sochne wali baat toh yeh hai Chenu ki 25 saal baad wali shaadi mein Honeymoon manane ka provision hota hai ya nhi.

Munna- Agar hai toh main abhi ticket book karata hoon..Ooty chalega na Bhai.

Pandit- Laddu phute mann mein.

Sameer- Ho gaya tum dono ka ya abhi bhi baki hai. Jayo ab.

Pandit- Ja rhe hai..hum toh bas tujhe teri Haldi ke liye bulane aaye the. Chal Chenu.

Sameer- Ruko..woh main keh rha tha ki Ooty ka idea itna bura bhi nhi hai waise.

Munna- Tu nhi sudhrega.

They three shared a close hug,

Otherside
Preeti- Oye hoye raat ki tanhayi ke baad bhi chehra kya chamak rha hai..dekh rhi hai Swati.

Swati- Mujhe toh lag rha hai Bhabhi ko aaj Haldi lagane ki jarurat hi nhi padne wali.

Preeti- Waise sochne wali baat hai aakhir aise kaise, Jijaji ke bina tera chehra itna khila khila hai.

Swati- Kahin daal mein kuch kaala toh nhi hai.

Naina- Peela hai..I mean aaj Haldi hai na aur woh toh peeli hi hoti hai. Kyu.

A while later, Sameer and Naina were sitted in the hall for their Haldi, with a curtain between them.

Sameer- Ab is Parde ki kya jarurat thi. Saari decorations hi kharab ho gayi.

Samar- Papa nhi chalega yeh paitra, ab aap Mumma ko seedha Mandap par hi dekhiyega. Aur tab tak gaaiye, woh konsa gaana tha..

Maina- Tum rehne do, Papa ko aata hi hoga woh gaana. Aata hai na Papa..

Sameer- Konsa gaana?

Parda hai parda,
Parda hai parda,
Parde ke pichhe
parda nashin hai,
Parda nashin ko
beparda na kar du toh,
Akbar mera naam nahi hai.

Naina- Gaana bajana ho gaya ho toh, Haldi ki rasam kare.

Maina- Haan par pehle aap dono ko Haldi main lagayugi.

𝐓𝐄𝐑𝐄 𝐋𝐈𝐘𝐄जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें