Samay Ka Pahiya

191 37 36
                                    

Waqt ki gehrayi mein
bikhra sa hoon,
Hawayon ke rukh se main
sehma sa hoon,
Ek ujale ki talab si
lagti hai mujhe,
Kahin arse se andhere mein thehra sa hoon.

Kahin sapno ko bikharta dekhta hoon,
Kahin khwaisho ko khud hi kuchalta hoon,
In aankhon ko padhkar
dekho toh zara,
Kitne lafzo ki khamoshi
chupa ke rakhta hoon.

Kahin chehro ko roz
parakhta hoon,
Kahin yaadon mein tadap kar jeeya karta hoon,
Log badle hai aisa
ki kya hi kahu,
Badi mushkil se is
duniyaa ko samjha hoon.

Sameer aur Naina bhi aankhon mein thakkan bharkar kahin arse se ek andhere mein thehre hue the, bikhre sapno ko liye, tadapti yaadon ko jeeye..shayad ek ujale ki talab mein. Par ab sookh kar girne lagi thi, beete waqt ki sab pattiyan..jo pass aane dene lagi thi ujale ki kuch roshniyaan.

Naina- Sameer..rewind karo na ek baar aur. Mujhe phir se dekhna hai apni beti ko.

Sameer- Kitni pyaari lag rhi thi na woh us din.

Naina- Pyaara toh lagna hi tha, Pari jo bani thi aur phir Pari bankar pehli baar School ke Annual Function mein perform bhi toh kar rhi thi.

Sameer- Aur main uski vhi performance dekhne mein thoda sa late ho gaya tha.

Naina- Tabhi toh yeh Video record ki thi tumhare liye aur shayad apne liye bhi.

Their attention turned to the screen where an old video of their daughter was playing. Dressed in white fluffy attire, a five year old was dancing. And even after so many years, was spreading the smile on the faces of her parents. Memories are all consuming. Though, sometimes it is important to appreciate the moments and memories. Because that's all what we have.

Chanda ki doli mein,
Pariyo ki jholi mein,
Shehzadi aayi meri.
Chanda ki doli mein,
Pariyo ki jholi mein,
Khushiyan woh layi meri.

Palkon ke darr se woh,
Aankhon ke ghar mein rahe,
Khwaabo ko sach hone de.
Har ek duaa mein
usko hi maanga sada..
Woh bhi mujhe maang le.

Sameer- Na sirf apne us Annual Functiom par balki hum sabki life mein woh ek Angel, ek Pari bankar hi roh aayi thi. Lekin dekho aaj sirf yeh Videos hi reh gayi hai Naina humare pass.

Naina- Tumne kaha tha ki hum in yaadon ko dobara jeete waqt aise udaas nhi hua karege. Sirf apne bacchon ke us padaav ko yaad karege jis padaav ne hume sabse zyada hasya hai, sabse zyada khushiyaan di hai, humari life ke best din diye hai.
Arey Sameer, dekhna abhi tumhari entry hogi video mein. Aur yaad hai na Stage par tumhe dekhkar kaise chillane lagi thi tumhari beti. Mike par achanak bol padi thi..

"Mere Papa..", these words they both heard, and this time not from the screen in front of them. They turned backwards.

Maina- Yehi bola tha na Mumma maine us din stage se mike par..Mere Papa.
Us din aap late hue the Papa, aur aaj main late ho gayi. Us din aapko dekhke main chillane lag gayi thi ki..Mere Papa. Aaj aap mujhe dekh ke nhi bologe ki..Meri Princess. Tab aap mere pass bhaag kar aaye the aur aate hi mujhe godd mein uthakar hug kar liya tha, aur aaj main bhaag kar aapke pass aana chahti hoon, hug karna chahti hoon aapko. Karoge na.

𝐓𝐄𝐑𝐄 𝐋𝐈𝐘𝐄जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें