Tujhe paane ki khushi mujh mein aaj bhi hai gulzaar,
Tere saath ki ravangi ka mujh mein aaj bhi hai khumaar,
Ilm na hai mujhe gham ka kyuki zindagi jo hai tere saath,
Sochu bhi tujhse bichadne ka toh yeh saansein hai dushvaar.Saath tera jabse hai mila..main khud se hi ho gaya judaa,
Saath mein tere maine..khud ko hi hai bhula diya,
Tere naam se apne naam ko aur teri saans se apni saans ko,
Jod diya aise ki jism kya apni rooh ko bhi tujhse mila diya.Teri haan mein meri haan hai aur teri naa mein meri haar,
Chaand taare tod du bas itna hi karta hoon tujhse pyaar,
Teri chah mein jo din kate
lagti hai woh zindagi bekaar,
Aur tere sang jo shaam dhale uspe toh hai jaan bhi nisaar.Chote-bade, Tedhe-medhe, ya Toote-phoote, Waqt-bewaqt, Wajah-bewajah hume bas apne khwaabo ko har roz saja lena chahiye..itna ki mano har din khushiyon se bhara hua ho aur har raat agle din ke naye khwaabo se. Ek aisa hi Khushiyon wala Din chupke se Sameer Naina ki zindagi mein dastak dene wala tha..jo vakaai dher saari khushiyaan laya tha.
On one late night, in Balcony Naina was seated on the swing and Prem was sleeping soundly in her lap. Just then Sameer comes from behind and scares her.
Naina- Offo kya kar rhe ho Sameer..aise kon darata hai. Aur Prem bhi jaag jata..pata hai kitni mushkil se soya hai. Baap banne wale ho lekin nhi..bachpana abhi tak nhi gaya tumhara.
Sameer- Bhadak kyu rhi ho. Shaant Naina Devi Shaant. Kitna gussa karne lagi ho aajkal..par koi baat nhi..ab tumhare Mood Swings main nhi jheluga toh aur kon jhelega.
He also sat down there besides her, and she rests her head on his shoulder.
Naina- Sameer..baby kyu nhi aaya ab tak. Doctors ne jo do dates batayi thi, usme se ek toh aaj hi thi. Par dekho na baby aaj bhi nhi aaya. Kitna intezaar kara rha hai na hume.
Sameer- Iska matlab hai ki meri Princess thodi si tum par bhi ja rhi hai. Ab intezaar karane ki aadat tumse jo seekh rhi hai.
Naina- Haww..maine kab intezaar karwaya tumhe.
Sameer- Poori list hai mere pass Madam.
School mein apna naam batane mein intezaar, phir Dosti ka haath aage badhane mein intezaar, phir saalon ka judaai ka intezaar, aur toh aur I Love You bolne mein bhi kitna intezaar, aur Suhagraat bhi koi Shaadi wale din nhi manayi thi usmein bhi kitne dino ka intezaar karwaya tha tumne mujhe.Naina- Shukar hai baby mujh par bhi ja rha hai, warna agar sirf tum par jata toh poora ka poora besharam banta.
Sameer- By the way I know ki Princess hume itna intezaar kyu karwa rhi hai.
Naina- Acha..toh bataiye Princess ke Papa.
Sameer- Princess ki Mumma ki Godhbharai jo nhi hui ab tak.
Naina- Godhbharai..ab yeh kahan se naya bhoot sawaar ho gaya tum par. Aur tumhe pata bhi hai kuch iske baare mein.
Sameer- Maine aaj hi Godhbhari ke baare mein tumhari un Dharm Sha..Sha.. I mean Religious Scriptures mein padha tha, ab aur baki ka tum bata dena.
Naina- Pehli baat toh Dharmik Shastra kehte hai unhe. Aur dusri baat Godhbhari ki rasam 7th month mein hoti hai. Mera toh 9th month bhi complete hone wala hai. Toh isiliye tumhara Godhbharai ka Logic Fail.
आप पढ़ रहे हैं
𝐓𝐄𝐑𝐄 𝐋𝐈𝐘𝐄
FanfictionTERE LIYE - A Love saga; a story that binds two souls. When a person become part of your dreams, when in all your prayers your beloved resides, and with every shooting star you wish to be together, then you are intoxicated by love. When you finally...