Imli Ka Boota

389 76 83
                                    


Chapter - 100th

Main maati tere tatt ki,
Mujhe tujhme ghulte rehna hai,
Tu hai sagar gehra,
Meri hasti tujhme khona hai.

Jab tak dil mein aas rahe,
Mujhe teri umeed
mein jeena hai,
Tu toote dilo ka hai marham,
Mujhe toot kar bhi
tera hi hona hai.

Meri rooh teri chhaya
se ho roshan,
Teri najro mein
mujhe khona hai,
Tere hone se mera hona hai,
Mujhe khaak hi
varna hona hai.

Khwaisho aur khwaabo ki manzil ka naam hai Kaash, anjaane raasto se jab guzarti hai zindagi, toh..ummed ki dehleez par bhi sukoon ki hoti hai aas. Unhi khwaisho aur khwaabo ka peecha kar rhe the Sameer aur Naina, jahan ke raaste jaane pehchanne nhi the par phir bhi ummed se jarur ghire hue the.

In Morning
Sameer- Naina..tum dusri baar vomit kar rhi ho subah se.

He rubs her back and helps in cleaning her mouth.

Naina- Sameer..sunana bandh karo na.

Sameer- Suna nhi rha hoon..Acha yeh lo yeh nimbu pani pi lo.. better feel karogi. Aur phir yeh tablet bhi kha lena.

Naina- Dawaai..chii..mujhe nhi khani.

Sameer- Haan haan tumhe toh Pao Bhaji khani hogi. Aur khayo bahar ki Pao Bhaji. Aur kya keh rhi thi raat ko..Bhaiya extra butter wali lana, zyade masale wali lana.

Naina- Sameer..Shh..abhi mat bolo kuch.

Sameer- Boluga..aur ab se tumhara ek hafte tak bahar ka khana bandh Naina. And this time..I am very serious. Maine abki baar jo keh diya na so keh diya.

Naina- Kya..bahar ka kuch bhi nhi.

Sameer- Ji..kuch bhi nhi. Aur mooh bandh karlo apna..nhi toh makkhi ghus jayegi.

Naina- Golgappe bhi nhi..

Sameer- Nhi.

Naina- Pizza..

Sameer- No.

Naina- Jalebi.

Sameer- Bikul nhi.

Naina- Aur Dawai.

Sameer- Woh bhi nhi.

Naina- Thank You.

Sameer- Naina..

Naina- Ab bhi apni baat par kayam rehna..Jo keh diya so keh diya.

Sameer- Dawaai nhi leni na mat lo par bahar ka toh phir bhi kuch nhi milega..woh bhi ek hafte tak.

She makes a sad pout.

Sameer- Bahut purana ho gaya hai Naina yeh paitra..ab yeh shakal banana tumhara kaam nhi aayega.

Naina- Tum na Office hi jayo. Vhi theek ho.

Sameer- Pehle haske dikhayo.

She shows her tongue to him.

Sameer- Yeh bhi chalega waise.

In Evening
Vishakha- Naina beta tum inse mili nhi na pehle kabhi..yeh meri  friends hai Mrs. Kapoor aur Mrs. Khurana. Swati ki shaadi par aa nhi payi thi.

𝐓𝐄𝐑𝐄 𝐋𝐈𝐘𝐄जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें