Ishq Hai!

595 82 18
                                    

Kon kehta hai ki anth acha nhi hota. Agar anjaam aapko ek duje ke kareeb le aye, ek duje ke sath lakar khada kar de; toh har woh anjaam acha lagne lagta hai. Woh anjaam jisme ishq shaamil ho, jisme mohabbat se bhare panne ho, jisme pyaar ki likhawat ho, woh har kahani aur uska anth acha hota hai.
Sameer Naina ki kahani ka aagaaz mohabbat se hua tha toh usi kahani ke ek padaav ka anjaam bhi mohabbat se hi hona tay tha. Woh mohabbat jo har pal, har lamhe mein shamil thi. Woh mohabbat jo unhe ek dusre se chahkar bhi dur nhi hone de rhi. Woh mohabbat jisne 16 saal ki Naina aur 17 saal ke Sameer ko poori tarah se badal ke rakh diya tha. Ab waqt tha usi mohabbat ke sabse ahem lamhe ka.

In School
Mam- So students aap sab ko pata chal hi gaya hoga ki kal humare school mein Farewell Party hone ja rhi hai. Waise toh yeh party mainly 12th class ke students ke liye hai par aap log bhi ismein invited hai kyuki ho sakta hai ki kisi wajah se aap mein se bhi koi is saal School ko chod kar kahin aur chala jaye.
Aur waise bhi iske baad sirf aapki ek din ki class aur hogi kyuki uske baad se toh aap sab ke exams start hone wale hai jisme sabke exam centers alag alag honge. Isliye aap sab log kal ki farewell party mein jarur aaye aur khoob enjoy kare.
Aur kal ke liye dress code toh aap sab ko pata chal hi gaya hoga.

All Students- Yes Mam!

Naina(to herself)- Baki sab ke liye shayd yeh sirf ek party hogi, par mere liye yeh school ka aakhri function hoga sab logon ke sath. Sirf 2 din aur bache hai mere is School mein. Pata nhi iske baad main kisi ko kabhi mil bhi payugi ya nhi. Bas kuch bhi karke kal ki Party mein mujhe Sameer se durr rehna hoga. Nhi toh main apne aap ko sambhal nhi payugi khaskar us din Holi wale incident ke baad toh main uske samne jane se bhi katra rhi hu.

Next Day in School
Munna- Bhai tu yahan kya kar rha hai. Ja wahan jake dekh bhabhi kya mast lag rhi hai.

Pandit- Han yaar ek dum maal....

Sameer- Oye bhabhi hai teri.

Mundit- Hume maaf kijiye bhrata shri.
Ab yahan khada mat reh aur ja jake dekh aa apni Juliet ko, aur ho sake toh apne dil ki baat bhi bol aiyo. Aur sun zara sambhal kar jana, bhabhi ko dekhne ke chakkar mein kahin phisal mat jaiyo.

Sameer- Tumhe toh main baad mein dekhuga, pehle jise dekhne ke liye subah se taras rha hu use toh dekh aayu.

Otherside
Naina(to herself)- Hey bhagwan kahan phasa diya is saree mein. Kitna mushkil hai ise sambhalna. Pata nhi baki ladies kaise pehanti hai ise roz roz.

Naina apne saree mein uljhi hui aur Sameer use dekhne ki uljhan mein phasa hua aage badhta hai, dono ek dusre se takrate hai waise hi jaise School ke pehle din takraye the.
Dono ke hath ek dusre ko pakadne hi wale hote hai, par ruk jate hai. Hath na shi par naazrein ek dusre ka sath chod nhi rhi thi.

 Hath na shi par naazrein ek dusre ka sath chod nhi rhi thi

ओह! यह छवि हमारे सामग्री दिशानिर्देशों का पालन नहीं करती है। प्रकाशन जारी रखने के लिए, कृपया इसे हटा दें या कोई भिन्न छवि अपलोड करें।
𝐓𝐄𝐑𝐄 𝐋𝐈𝐘𝐄जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें